Akshara Goenka: She borne thorns but she is the rose

beautifulus09 thumbnail
Dazzler Thumbnail 3rd Anniversary Thumbnail
Posted: 3 years ago
#1

Kaise dundho aapko... Chode nahi aapne koi Nishan


Ye dil dhadka aapke wajah se tha

Mujhe iss duniya mein laa kar

Mujhe Akshara Goenka banaya aapne tha

Jis din aapka saath choota

Uss din hua har koi dooja

Jise laad pyaar se bada kiya

Usko Prem mila adhura

Jise laad pyaar se bada kiya

Uska hua na koi apna


Apno se bhare ghar mein

Ek kone mein chhip par roti hun

Dard mein ho kar bhi

Sirf muskati hun

Jaanti hun dard baatna chahiye tha

Par unko bhi toh samjhna chahiye tha

Maanti hun ki unke gale se lag kar rona chahiye tha

Par unko bhi toh meri jhoothi muskurahat ko pehchaan na chahiye tha

Sach hai ki mujhe khud ke liye khada hona chahiye tha

Par Maa-Paa aapko bhi toh mere saath hona chahiye tha


Do pal aur thehar jaate

Kuch hasi khushi ke pal apni Akshu ke saath aur beeta lete

Do pal aur thehar jaate

Mujhe bhi gale se laga kar chup kara dete

Kuch pal ke liye hi laut aao

Apni Akshu ke liye laut aao

They were supposed to be her shield but all they are now are twinkling stars. And all 'their' star could do is look up as she finds solace in the lit night sky.

*****

Rishton ke kuch alag naam


Unse rishte todun toh todun kaise

Jinhone paal pos kar bada kiya

Unse naata chodu toh chodu kaise

Jinhone roti, kapda aur makaan diya

Adhura hi sahi par mujhko pyaar diya


Muskurahat jo di unhone

Uska bhi toh karz chukana tha

Sar par haath phera jinhone

Unka saath bhi toh nibhana tha

Toh aasun chupaye apne aur muskayi main

Jinhone khushi se gale lagaya

Unke liye waqt ke tarazoo se pehle badi hui main


Maine uska pyaar paane ki bohot koshish ki

Uska diya har vish, main amrit samajh kar pi

Uski khushi mein khush aur

Dukh mein dukhi Hui main

Phir bhi uske liye main

Uske gulaab si zindagi mein

Sirf kaaton ka roop rahi

Uski galtiyon par parda daal daal

Uski main dhaal bani

Phir bhi apni Aaru ke liye main

Sirf Akshara Goenka rahi

Jis se uska rishta sirf naam ka hai

Aur judaav sirf khoon ka hai...

She needed them to be their for her but she felt like a liability whose pot of favours are getting filled... So to return it, she grew up.... Before time!

*****

Aadat


Toh sab ke khushi ke liye

Apne baabul ka aangan choda maine

Apni Aaru ki muskurahat ke liye

Apne har dukh ko chupaya maine

Nahi usse fark nahi padta hai

Par muskurane se dard mujhe thoda kam lagta hai

Main dur hui sabse


Khud ko khud hi sambhala maine

Girkar uthna aur uthkar chalna

Sab kuch seekha maine

Kuch yun hi guzre teen saal

Aur wapas lauti main apne shehar

Jhuth ke neev par wapas aayi thi

Maine apna har dukh bhula kar

Uski khushi mein jhoomne aayi thi

Par shayad main aaj bhi sirf uske liye kaanta hi thi


Toh ek baar phir, dehleez laangi maine

Apne har dukh ko chupaya maine

Kyunki seekha hai ki parivar se badhkar kuch nahi

Aur apne vaade se mukarna seekha hi nahi kabhi

Aakhiri saas mein vaada kiya tha maine apni Sirat Maa se

Ki dungi Aarohi ka saath apne aakhiri saans Tak

Nahi chodungi uss ka haath main aakhiri dum Tak

Isliye uski galati mein bhi haan mein haan milaya maine

Kyunki kisi ne ye galti hai meri, mujhe batlaya hi nahi


*****


Darmiyaan


Toh alag hui, chup chaap sab kuch sahi

Darr se saamna akele hi ki

Chuppi mein main khud se mili

Sangeet mein main uss se mili

Aur duniya ke shor ke sannate mein

Hum mile

Abhimanyu aur Akshara mile


Wo pehli nazar ka takrana

Aur uska mujhe ek takk tak taakna

Mujhe uss lamhe ka, har ek pal

Bohot ache se yaad hai

Kyunki uss pehli nazar mein kuch aisi baat thi

Ki maano aaj tak har nazar

Uss ek nazar ke saamne phiki padi

Uss se mil kar kuch aisa laga

Ki maano anjaano ke shehar mein koi apna mila

Banjare ko kisi ne ghar diya


Ab milna julna aur takrana hone laga tha

Chalte chalte baatein karna aam ho gaya tha

Usko dekhte hi Mera bas yun hi muskurana

Aur meri dhadkane jo uske aas paas hone se hi tez ho jaati thi

Mujhe ek naya ehsaas dila rahi thi

Bas meri jhuki palkon ko aur gaalon ki laali ko

Naam dena baaki tha

Mujhe bas mujhe uss se mohabbat hai ye quboolna baaki tha


Ab uss se mohabbat ho bhi kyu na

Wo anjaan ho kar bhi apna tha

Mera kuch na ho kar bhi sirf mera tha

Maine khud ke liye ladna jaana hi nahi

Aur usko mere liye khade hone ke bawajood

Maano aur Kuch aata Hi nahi

Wo peshe se bohoton ke dil sambhalta hai

Par kehta hai

Uske dil ki marham sirf main hun

Wo sirf chhup chhup ke pyaari pyaari baatein nahi karta

Waqt aane par a-e-laane ishq bhi karta hai

Wo mujhe har pal ye batlata hai ki kaise main uski poori duniya hun

Aur main nahi toh wo kuch bhi nahi hai

Par aisa thodi hota hai!

Waqt toh nahi rukta kisi ke liye

Sab aage badh hi jaate hai

Kyunki koi nahi marta kisi ke thukrane se


*****

Ab toda dil humne toh bawal kya kare


Meri har na ne uss se thoda aur toda hoga

Kya uske toote Dil ke tukde ne usse tatola hoga

Mere tootne ke aawaz pahuchi thi uss tK

Iss liye toh shayad wo vaari tha mere na par

Apna sab kuch kurbaan karne ke liye taiyaar hua

Dhaal ki tarah wo mere izzat ke liye khada raha

Koi aanch na aaye mere daaman mein

Isiliye apna maan sammaan sab tyaag diya


Par mohabbat toh main bhi karti thi na?

Kaise dekhti usko apna sab kuch mujh par lutate huye

Isiliye maine bhi uska saath diya

Par phir apne shabdon se maine uss par vaar kiya

Toote uske dil ke tukdo ko maine hi choor choor kiya

Ek baar nahi har baar usse na kaha

Maine hi joda tha aur maine hi todne ka naam liya

Aur jab maine izhaar-e-ishq kiya

Tab thi uski aankhein moondi

Aur issi ka maine sahara liya


Usne toh maut se bachakar pehli saans li

Woh bhi mere naam ki li

Aur maine apne jhooth se uski wo saans bhi cheen li

Chubhti hai meri khud ki khamoshi mujhe

Par kya karun

Apne vaade se kaise hatun?

Jiski har galti par parda daala hai

Uska hi kaise main pardafaash karun?

Aur bacchi toh main bhi thi na?

Toh kya hua agar waqt se pehle badi hui main?

Agar main galti kar rahi thi Aaru ki galti chupa kar

Toh kyu nahi Toka kisi ne meri galti par?

Par galti ko kya dusri galti se Dhaka jaa sakta hai?

Wo mere liye pyaar mein barbaad hone ko taiyar tha

Aur kismat ka khel dekho

Ek aise mod par aa khadi hun

Ki jhooth bol kar

Sach chupakar

Main jo thi uska savera ab wahi hun jisne diya hai usko andher apna


*****


I am not sure how it turned out to be... And I am sorry if it's below your guys expectations :) No tomatoes please. It's too expensive 😊 healthy criticism is always welcome 🤗

Edited by ishqdinoorhai9 - 3 years ago

Created

Last reply

Replies

37

Views

3.2k

Users

12

Likes

33

Frequent Posters

ChhalkiSyaahi thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 3 years ago
#2

Akshara is really going through a lot.

reeyacute thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 3 years ago
#3

Hayeee!!!!

Madam thorn hi bear karna chahti hai

Abhimanyu can give her a life of betterment but alas

Eternized_Blues thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 3 years ago
#4

leh! What happened here? I am waiting.

beautifulus09 thumbnail
Dazzler Thumbnail 3rd Anniversary Thumbnail
Posted: 3 years ago
#5

Originally posted by: Eternized_Blues

leh! What happened here? I am waiting.


The poetry is up 🤗

Eternized_Blues thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 4
Posted: 3 years ago
#6

What an excellent way to sum up the story of Abhira till date.

Let me edit this


EDITED


KAISE DHUNDHON AAPKO...CHODE NAHI KOI NISHAAN


You captured Akshara's sentiments so well here. She has everyone yet no one. They love her, adore her and protect her yet its never enough as no one wants to be blamed for having differential behavior so they spoil Aarohi and give into her wrong demands as well. Since Akshara takes that injustice will a smile as she is conditioned to put Aarohi first no one tries to see her pain. I wish someone taught Akshara that when you share- pain always decreases and happiness always increases.

Also no one puts her first as Akshara does not put herself first. Also Goenka's should have been able to see her pain. They should have been protected her enough that she should have felt safe to come to them with her pain without feeling guilty. I love this line:

Do pal aur thehar jaate

Mujhe bhi gale se laga kar chup kara dete

Kuch pal ke liye hi laut aao

Apni Akshu ke liye laut aao


These lines have my heart Noor. Akshu's plea, her pain and her cry for help is so evident in these lines. Why can't these people see! How do you manage to put such wonderful words together.



RISHTON KE KUCH ALAG NAAM

Omg Noor that is what her relationship is with Goenka's. She has no security. You can not deny that they don't love her they do, they just don't know her. And you captured the fundamental difference between Aarohi and Akshara so well here. Aarohi feels entitled whereas Akshara feels indebted and that is where all of their actions originate from. She grew up before her time because she understood the blessing that was given to her and she wanted to share the burden with her grandparents.

Toh ek baar phir, dehleez laangi maine

Apne har dukh ko chupaya maine

Kyunki seekha hai ki parivar se badhkar kuch nahi

Aur apne vaade se mukarna seekha hi nahi kabhi

Aakhiri saas mein vaada kiya tha maine apni Sirat Maa se

Ki dungi Aarohi ka saath apne aakhiri saans Tak

Nahi chodungi uss ka haath main aakhiri dum Tak

Isliye uski galati mein bhi haan mein haan milaya maine

Kyunki kisi ne ye galti hai meri, mujhe batlaya hi nahi


She also feels indebted to Sirat and that freaking promise did not mean she should sacrifice her happiness for Aarohi. Someone should have told Akshara to not take a grieving child's accusations so seriously as she was both their mother. And after a while the family should have sorted Aarohi out rather than sending Akshara away!


DARMIYAAN


Noor you described their meeting so well and what they mean to each other. I am at a loss for words. You have woven magic with your words and I relived their story one more time. Their chemistry, attraction and the pull these two have towards each other is this poem. You showed how pure and unconditional their love is for each other. I can not pick a favorite part in this poem as this entire poem has my heart. ❤️🤗Abhimanyu is completely, irrevecobly Akshara's and you captured that beautifully. He is there to protect her no matter what. How well you captured Akshu's emotions for Abhimanyu- Bas Dil le le mera!


AB TODA DIL HUMNE TOH BAWAL KYA KARE


And them came the heartbreak, for both of them. I like your Akshara better. I want your Akshara in the show.! Noor take a bow cos you are a magician. You know that even though I understand Akshara I am also upset with her but your poem takes that away too. Main ab usse gussa kaise karun. Sometimes silence makes the loundest sound and that is the sound Abhimanyu hears. That is sound that keeps bringing him back to her

Chubhti hai meri khud ki khamoshi mujhe

Par kya karun

Apne vaade se kaise hatun?

Jiski har galti par parda daala hai

Uska hi kaise main pardafaash karun?


And here in lies the whole problem. Its no one's fault yet its everyone's fault.


Noor this is so precious to me that I can not even tell you, So thank you for writing this! I will be forever grateful!


Love,


BLUE BLUE!

Edited by Eternized_Blues - 3 years ago
Bhavisweet03 thumbnail

Team Abhimanyu (Gen 3)

Posted: 3 years ago
#7

Noor🤗


Really you are too good in making Poems. And Don't worry no one would dare to throw any Tomato😉


It turned out too good👏


The way you have described Akshara's character here just fabulous😳

Mushfika_01 thumbnail
5th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 3 years ago
#8

umm excuse me but why do i not know about this??? It says you posted 2 days ago and i'm coming across it just now? what is thi behavior noor. you know how excited i was for akshu's part of the poetry😳

Anokhi01 thumbnail
Explorer Thumbnail
Posted: 3 years ago
#9

absolutely beautiful. i'm a fan of your writing.

beautifulus09 thumbnail
Dazzler Thumbnail 3rd Anniversary Thumbnail
Posted: 3 years ago
#10

Originally posted by: Mushfika_01

umm excuse me but why do i not know about this??? It says you posted 2 days ago and i'm coming across it just now? what is thi behavior noor. you know how excited i was for akshu's part of the poetry😳


Well, I did tell in the AT about the poem being published... Aur kaise batati main? 🙂


And well, it was not upto the mark I guess...

Related Topics

Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Thumbnail

Posted by: A_Star39

17 days ago

Swarna Goenka-Tribute to immortal vampire!

Miss Swarna Goenka.A women who has eaten lives of her sons,Daughter in laws,Granddaughters and their husbands,even great grand son in laws and...

Expand ▼
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Thumbnail

Posted by: BangBang_Shilpa

19 days ago

Manish Goenka ki zindagi

I was watching old episodes (Akshara's death sequence Gen 1) where both Akshara's (Hina) dadi and Manish Goenka were shown in the same episode....

Expand ▼
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Thumbnail

Posted by: MsWhiskerson

4 months ago

Team The Immortal Fossil Manish Goenka - please moderators

https://youtu.be/6WLTaRagAIo?si=r_WHbXytBssEt-yA Manish slapped Abhir and earned my undying support with this Moderators, why is there a team...

https://youtu.be/6WLTaRagAIo?si=r_WHbXytBssEt-yA
Expand ▼
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Thumbnail

Posted by: shahsb_26

1 months ago

Akshara - Abhir - Abhinav :: A perfect Family moments

Those days were they had perfect family! Absolutely no one in this generation can even come close to precious rishta these three had! No...

Expand ▼
Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".