Parvaane zindagi ke
Baccha tha jab pehli baar papa ko maa par aawaz uthate dekha tha
Apni maa ka main raj dulara tha
Jab pehli baar papa ko maa par haath uthate dekha tha
Darr lagta tha toh maa ke aanchal mein chhip kar so jata tha
Aankhon ka taara tha main maa ka
Chamak uthti thi unki ankhein jab main maa maa keh kar unke ird gird ghumta tha
Baccha tha jab bada hua main
Jiski aanchal mein chhip kar soya karta tha
Ab uss ke aanchal ka maan rakhna tha
Jiska raj dulara tha
Uske laad ka maan rakhna tha
Isiliye bada hua main
Waqt ki sui ko peeche chod
Aage badha main
Jeet ka junoon kuch aisa tha
Ki hadh se guzar gaya main
Meri maa se pyaar aisa tha
Ki waqt se pehle bada hua main
Baap ka haath pakad kar chalna seekha tha
Aur unhi ke wajah se bhaaga hun main
Saath chahiye tha mujhko
Par unhone haath chudhaya tha
Saya bankar rehna tha jinka
Unse hi tha main sabse juda
The ones who were supposed to protect him from darkness had pushed him into abyss. A place where darkness became his abode.
*****
Par aaya koi... Uski andher mein roshni ban kar
Wo mere andher mein naya savera lekar aaya tha
Kaale andhere baadlon mein, wo Neil kayi rang apne saath laaya tha
Kho chuke huye Abhimanyu mein
Muskurahat apne saath laaya tha
Beete huye kadwahat bhare lamho mein wo
Mithaas apne saath laaya tha
Haare huye mujh mein Jeet ka paigam wo laaya tha
Chuppi bhari zindagi mein
Hasi ki thitholi wo laaya tha
Many called Abhiamanyu, Neil's protecter but only he knows... It's Neil who is his guardian angel. A brother everyone wants but to no one gets and maybe Abhimanyu Birla is the luckiest man alive.
Neil: mere bhai ke six packs abs hai. Kuch kam nahi hai wo!
*****
A life so monotonous
Girte, padte, sambhalte aur sambhalte bada hua main
Aur mohabbat se mohabbat sirf maa se hui mujhe
Darr lagta tha ki jab ye toota hua dil kisi ko dunga
Toh kya pata wo choor choor kar de
Ya kya pata sirf ek hisse se wo pyaar kare..
Our fears stopped us from experiencing some of the most beautiful things in our lives but then something happened and every shackles breaks apart.
*****
Ek pari aayi... Khawabon si sundar aayi
Kuch issi darr ke saath
Apne dil ko sambhale huye apne paas rakha hua tha maine
Apne hi dard ki raah par chal raha tha
Jab pehli baar usko suna maine
Maano pichle ghaav bharr rahe ho
Jaise jo sab bikhra hua, Jud raha ho
Uski aawaz mein kuch aisi madhoshi thi
Ki nashe mein ho kar bhi main, hosh mein tha
Dil ke taar kuch aise Jude they
Ki ek baar phir bhaga tha main
Iss baar zindagi ke peeche
Shayad zindagi se wapas haath milane
Par kismaton ki kashish thi
Dekh kar bhi nahi dekh paaya
Main uss se mil kar bhi nahi mil paaya
Par ab Tak wo mera sukoon ban chuki thi
Toote huye mujh mein
Wo mera hissa ban chuki thi
Par nahi chahiye tha mujhe pyaar
Nahi karna tha mujhe kisi se prem
Dekha hai maine logo ko toot kar pyaar karte huye
Aur ussi pyaar mein toot jaate huye
Dekha hai maine Ishq mein sab gawate huye
Aur khud ko tanhayi ke aalam mein rehte huye
Par khud ko rok nahi paaya jab usko wapas suna
Maano dil aur dimaag ek hi adhahaye par aa gire ho
Kisi ne meri darr ki suni hi nahi
Aur chal diye mere kadam uski aor
Jaise baandhe huye ho humein koi dor
Dekha maine usko
Aur dhadkne kuch aisi badhi
Ki maano
Fisli wo par gir main Gaya
Sambhli wo par sambhal main Gaya
Phir usko jaana maine
Alag thi wo sabse
Duniya ki iss bheed mein
Wo apne mein hi chalti thi
Shor mein nahi
Chuppi mein khud ko paati thi
Alfaazo mein nahi wo aankhon se bohot kuch keh jaati hai
Apne dil ko bhi chipa ke rakhti hai
Shayad wo bhi tootne se darti hai
Muskurahat uski shayad uss se zyada pyaari hai
Shayad isliye meri jaan uske aasun par nikal jaati hai
Mohabbat se darr tha aur ishq mein barbaad hua main
Prem se anjaan tha
Aur uske hi naam hua main
Sadqe sirf uske hi naam hua main
She came and slowly and steadily became part of him. By piecing back his broken self, she became the catalyst who keeps his heart together and now... Abhimanyu ki har Dhadhkan Akshara ke naam!
*****
The heartbreak
Woh hai toh sab kuch hai
Aur woh nahi toh kuch bhi nahi
Shayad isiliye uske liye sab kurbaan kiya
Toote Dil ke tukde ko bhi uska naam diya
Izhaare ishq kiya maine
Aur usne badi saadgi se na kaha
Toota dil phir bhi uska naam liya
Main sadqe sirf uska hi hua
Ab jee Raha hu iss dard ke saath
Usne bola hum nahi ho sakte hain saath
Kehti hai hamara koi Mel nahi hai
Ki wo kuch nahi aur main sab kuch hu
Ab kaise bataun usse ki mera sab kuch bas uss se hi toh hai
Kaise bataun usse ki main ye tha hi nahi
Mujhko ye muskata Abhi banaya usne hai
Kaise bataun usko ki ... Main toh ye tha hi nahi
Main toh ek toota hua sa insaan tha
Jo andhero mein rehta tha
Par phir wo aayi aur
Wo apne sang khoye huye mujhko laayi
Soti raaton mein haseen sapne
Aur tooti hui si iss zindagi mein
Jaan aur kayi rang apne saath laayi
Jo dheere dheere mere saason mein ghol Rahi hai
Kaise bataun usse ki jab usse dekhta hun toh
Har dard ke dawa hone par vishwas hota hai
Aur jab door hota hun toh marham bhi bematlab lagta hai
Kaise bataun ki uske hone se main hu
Kaise bataun ki jab wo har dar (दर)par mujhse alag hoi hai
Toh chot lagti hai
Ye toota hua dil thoda aur toot jata hai
Bikhra hua main thoda aur khud se bichad jaata hai
Woh baatein chupati hai
Mujhse sach kya… Who toh jhooth bhi chupati hai
Ab wo nahi hai… Shayad zindagi mein Prem likha hi nahi hai
Toh ek bete ban ne ka kartavya nibhana hai
Jis ne har aasun seencha hai apne aanchal mein
Aaj unn aasuon ka karz chukana hai
Isiliye ek baar phir aage badha main
Toote huye dil ko
Yun hi bikhra hua choda maine
Kisi aur ka haath thama maine
Uska haath thama jo meri ishq ki jaan thi
Kya pata uske ehsaano ka
Jo usne mujh par har baar meri saansein bacha kar ki hai
Uss se utaar saku
Haan phir se mohabbat na kar saku
Par uski jaan ko main khush rakh saku
Par....
saason mein meri bas wo hai
Aankhon mein meri bas wo hai
Dard bhi wo hai
Dawa bhi wo hai
Meri humdam wo hai
Abhimanyu ki Akshara wo hai
Meri pehli aur aakhiri mohabbat sirf wo hai
Life without her is impossible but life with her in pain is unbearable...
A love story that surpasses all boundries is here to steal your heart. It will fill you with hurt, sadness, tears, happiness, smiles and love. So hop on and enjoy as we take you on the journey on love
*******************************************************
Poet's note- Three hip hip hurray for my best friend who is a family to me... Without her none of the words written here were ever be woven into a poetry. She challenges me, makes me put efforts, criticise me, hate me and loves me. She is my complete package. She is not on India Forums but this would not have been without her ... So a thanks to her.
Even though she loves this... I am still apprehensive because first- it's too long and posting it as separate posts did not feel right and secondly- it's on the spot and I am too lazy to edit.
So to everyone who asked me to write on Abhimanyu Birla... Here it is. From me to you. For you to cherish, love and for honest opinions.
I hope you all likes it 🤗
59