I am sorry but Mujhe nahi lagta iss sab main Karan ki koi galti hai...
1.Koel ka character bahot hi strong dikhaya gaya hai soJab tak Karan ko koel ke marks nahi dikhe tab tak usse laga bhi nahi tha ki Koel iss reason ki wajah se bhagi hai.... ek husband itna ghatiya kaise behave kar sakta hai....bcuz Koel is witty and shatir....Jab pehli bar Abhay academy mein aya tha aur wo Koel ke sath thoda harsh behave karta hai tab Karan hi Abhay se kehta hai ki easy man aur andar chalke baat kare.....
2.Iss situation mein most intelligently Karan ne socha hai...chahe kucch bhi,keh lo jab tak proofs nahi milte Koel Nikhi ko paa nahi sakti hai.....
3.Iss situation mein bhagana was the worst option jo Koel aur Monu ne chuna tha....
4.special agents ko bhi laws and rules follow karne padte hai koi superman nahi Karan ki chutki bajalo aur sab thik kar diya......
5.rahi baat Sanju aur Karan ki to I just loved sanju ne kAran ko kaha wo galat tha lekin jab Karan ne usse samjhaya ki wo akele Koel hi,nahi to Nikhil ko bhi lana chahta hai to wo samajh gayi.....aur accha hua usne bataya ki baat bharose ki nahi academy ki hai aur Karan Batra sir ke orders hi follow kara raha hai Monu ko na bata ke......
6.Karan ko bhi pata hai usse waha takleef ho rahi hai issiliye wo Monu se baat karta hai Sid se bat karta hai ki usse contact karke uski musibate mat badhao....usne lawyer se baat karke bhi sahi kiya hai........ha abhi Koel ko definitely takleef ho rahi hai but usse agar hamesha ke liya Abhay se chudana hai to thoda wait karke, soch samjh ke plan karne ki jarurat......har situation ko deal karne ka tarika alag hota hai......jab Karan ko pata chala Monami sach mein khatre mein hai tab usne batr sir ke orders, apna suspension ya fir uski enquiry kisi bhi tarah ki parva kiye bina Monami ko bachaya tha.....agar Karan khud ki jaan dav par lagakar Koel ko bacha sakta tha to wo bhi karta but ye yaha kafi nahi hai.... physically to Karan Koel ko abhi bhi bacha sakta hai lekin wo mentally bhi usse iss sab se bahar nikalana chahta hai.....
7.Emotions mein aakar galat decision lene se 100% better hai situation ko dekhe,samjhe soche aur phir action le.....warna unka ek galat kadam Koel aur Nikhil ko zindagi bhar bhugatana pad sakta hai....