Kya pyaar hota hai is duniya mein ye sawaal mann mein hai,
Agar hai to kyun badal jaata hai wo pal pal,
Har Rishta beimaan hai kyun yeh duniya dikha jaati hai,
Pyaar ki kya aukaat yeh zindagi bata jati hai,
Jaante hai Toot rahe hai hum lamha-lamha ,
Samjh bhi maat khaa jati ki kyun hai hum tanha
Udaas aaj yeh dil bhi kehta hai,
Kyun pyaar ke naam par zakhm ye khaata hai,
Kehta hai na yeh rishte sacche na saccha hai pyaar,
Phir kyun har dafa dil yeh jaata hai haar!