Karan: Baby ne bataya tha...khush hoti ho to hug karti ho logo ko aur udaas hoti ho toh peedon ko....itna bura gaya kya maine???...waise baby toh yahi kehti h ki aapko gana nhi chahiye. Dekho Monami mujhe pata hain meri aur Faizi ki baat tumhe kaise sound ki ho hogi, par waisi thi nahi. Maine tumse tumhare baare mein tent mein jo bhi kaha, woh bilkul sahi tha. Hospital me in Ladkiyon ki jaan bachane ke liye bahut himmat chahiye....lekin mujhe yeh bhi lagta h ki tum practical nahi ho. Ek commando ka practical hona bahut zaroori hai, dil se pehle dimaag ke sunna.Police waha thi,apna kaam kar rahi thi... kya jarurat thi violent hone ki??
Monami: Commandos bhi insaan hote hai Karan aur insaan hamesha dimaag se hi nahi kabhi-kabhi dil se bhi sochta hain. Maine uss ladke ko thappad isiliye maara kyuki mujhe laga usse batana chahiye tha ki usne jo kiya, galat kiya. I know main rich family, privileged family ko belong karti huhu, kabhi-kabhi mere decisions galat bhi hote hain par trust me main unn logon mein se nahi hu jinke wajah se tumhare bhai ko problem hui thi
Karan: Tum mere bhai ke baare me, unke saath kya hua unke baare kuch nhi janti..stop it.
Monami: Pata hai nhi janti lekin itna janti hu ki tum apne bhai ke bahut close the aur unke jaane ke baad tumhare andar kuch badal sa gaya hai... hamesha ke liye shayad..it has just changed you.
Karan: Iss baare mein ab koi baat nhi karni Monami(trying to leave but Monu...)
Monu: Kyu Karan? Kyu baat nhi karni? Kyu apne andar itna sab kuch daba kar rakha hain tumne?...aur baat karna zaroori hain..kyuki uss wajah se baaki logon ko aur mujhe tumhare dekhne-samajhne ka nazariya effect ho raha hain.
Karan: Mujhe na toh mere baare mei koi baat karni hai...aur nahi tum mere baare mein kuch bhi jaanti ho.Lets just keep it like that.