Originally posted by: IamRaj96
Yes ..... Woh kaafi details me research karte hai
Actually woh iss baat pe research nhi karte ki kitne log kharidte hai
But jab trp meters install karte hai tab homes select karte time poora survey karte hai ki ghar me kitne log hai , income kitna, cars kitni, flat hai ya bunglow etc. So iss hisaab se unko pata chalta hai ki yaha ke log actual me unka product kharid sakte hai ya nhi
Then inn homes ka jab data advertisers ko milta hai so ussi hisaab se woh apni ads place karte hai
For ex sp urban rich areas me jada dekha jata hai jaha logo ki economical condition achi hai toh sp pe mehengi car ya expensive products ki ads place kar sakte hai
If u see english channels pe mostly bahut expensive products ki ads aati hai but regular GEC pe nhi ....why?? Bcz english GEC dekhnewala audience kaafi urban nd rich hota hai
Whereas local regional channels pe tum agarbatti , saste sopas inki ad dekhoge bcz woh channels jadatar rural log dekhte hai but tum wahi agarbatti ki ad kisi english GEC pe nhi dekh paoge
Advertisers ko bahut detail me data milta hai ki yeh channel kounse kounse economic condition ke ppl dekhte hai nd ussike according woh apni ads place karte hai nd jitne jada log dekhte hai utna jada rates milta hai
1k