Originally posted by: Srilata.Mineil
Duryodhan ne atleast use dost ke layak samjha but pandavo ne or bheeshm ne jo uske saath kshtriya na hone ke baare me uski capabilities pe bola, being the world's best warrior use humesha uske caste ke hisaab se great kiya...and duryodhan ne bhale hi apne fayde ke liye but he atleast saw his capabilities as a human....even draupadi ne bhi uska apmaan kiya tha swayamwar ke waqt....wo galat tha...iss sabne use aisa banaya tha....
Mahabharat me koi doodh ka dhula nahi tha...
Me ye nahi bol rahi ki me pandva ka paksh le rahi hu...
Actually mujhe koi bhi pasand nahi hai
Na kaurav na pandava
Par dusryodhan ne thodi na usko apna sachcha dost mana tha yar
Karn ne jab arjun ko challenge kiya tha...tabhi duryodhan ko pata chal gaya tha ki ye karn sabse shreshth hai...isliye usne us waqt karn ka sath diya aur usko dost bana liya
Mujhe draupadi pe bhi gussa hai jab usne swayamvar me karn ka apman kiya...
Haa...mujhe sympathy hai karn ke saath ki uske saath bar bar bura hua hai...
Par humare sath galat hua hai to hum bhi phir galat ka hi saath dene lage...
Sabse zyada gussa to mujhe yudhishthir pe hai...kaise wo apani biwi ko daau pe laga sakta hai yar
Ye sab bahot hi zyada complicated hai😂
Kon sahi kon galat
Hey bhagwan maine kyu dekha ye sab
Edited by Manisha_IF - 4 years ago