Originally posted by: surabhi01
Galti sirf uski nahi hoti jo blind trust kar raha hai. Galti uski bhi hoti hai jo kisi ke trust ka faayda uthana
It is said ki kavya ko vanraj pur trust nahin karna chahiye but i am saying ki vanraj ko kisi ke bharose ka faayda nahin uthana chahiye
Kyonki bharose pe hi duniya kaayam hai. Hum kahan kahan tak kis par doubt karenge
To aacha yahi hoga kisi ka bharosa, na toda jaaye
Vanraj ka sabse fault ek aur ki woh bharosa todat hai jo use nahin karna chahiye
Agar koi apne ghar ke darwaja band karna wala bhul gaya aur chor aa gaya to iska matlab yeh nahin ki chor ki galti nahin hai
For eg ghar mein Ladies dopaher ko akeli rehti hain aur mostly cooking gas dopaher ko aata hai to kya Ladies ko akela hone ki wajah gas lene ke liya gate nahin kholna chahiye ki kahin gas wala uske saath batamiji na kare
Ladies gate kholti hain kyonki gas wala bharosa nahin todta
To duniya bharose pe hi chalti hai aur doosre ka bharosa nahin todna chahiye
Gaswala fir bhi unknown hota hai so intentions judge nahi kar sakte 1 moment mai, kavya ka bf vanraj 8 saal se hai, 8 long year is very much enough to judge that person is doing timepass with you or not.
Maine kabhi nahi kaha ki galti sirf blind trust karnewale ki hoti hai, but eyes close kar ke baith jane se kuch nahi hota hai or na he psycho bann jane kuch hota hai or na he samar/anirrudh par jutha case dalne se kuch hota hai. Sirf blind trust karne ke baad personal benefit ke liye bichare samar/anirrudh ke against planning plotting bhi kiya.
Muje lagta tha kavya vanraj se better hai at least uske husband ko pata hai ki kavya ka affair chal raha hai jo vanraj ne kabhi anupama ko nahi inform kiya tha lekin jab maine dekha ki kaise usne bichare samar ke against plotting kar k usko jail bheja ,i got it this lady is completely psycho who can go to any extent for her personal benefit. She did the same with aniruddh by falsely trapping him in domestic violance case just make her way inside anupama's house.These both incidents were strong sign of her psychoness.
3