After tamasha before d neighbours sai left & Cgang too left to their respective room critising sai.
P- virat sai khaadi ki hui nataunki mein sab bhool gaye ki tum ne subah se kuch nhi khaya , meine bhi subah se kuch nhi khaya , mein hum dono ka khana tumhare kamre mein leke aati hoon saath mein kahenge.
V- khana mere kamre mein laane ki zaroorat nhi mujhe bhuk nhi hai , tumhe bhuk lagi hain tum kha lo apne kamre mein jaake.
P- kya agar sai tumse aise kehti to bhi tumhara yahi answer hota ?
Before virat could answer
A- sai or tume koi faraq nhi patralekha ?
P- main samjhi nhi Ashwani maami ?
A- tum kaha samajhti ho , to mein tumhe samjha deti hoon. Sai virat ki biwi hai or tum virat ki vahini, devar - vahini ke rishte ki hadd ko jitni jaldi samjh lo uthna hi tumhare or humare liye accha hain.
P- Ashwani maami mein bas virat ke khaane ka.
Before pakhi could complete virat left for his room.
A- mein tumse akhri baar bol rahi hoon virat se dur raho , uska khayal rakhne ke liye abhi uski aai zinda hai tum apne aap par dhyaan do samajhla.
Virat was standing near d window of his room , he start dialing number.
V- hello sankaar
S- arrey ACP sahab aap jai hind , kaise yaad kiya
V - Sai or usha mausi GC aa rahi hai
S - Sir aap bhi aa rahe hai ?
V - nhi , mein nhi aa raha hu bas mein ye chahta hoon ki agar sai ke GC aane ke baad uske pass koi khatra mandraye to tum mujhe inform karoge or yaad rahe ye baat tum Bheema koi bhi bata do or kissi ko nhi batana ki maine tumhe aisa karne ko kaha hain. Jai hind.
A - itni hi fikr thi to usse jane ko kyu kaha ?
Virat turn around only to see Ashwani standing there.
V- fikr mujhe kissi koi fikr nhi hain.
A - Godu tum aapni aayi se bhi jhoot bolne lage ho ?
V - Main koi jhoot nhi bol raha .
A - mujhe pata hai tumhe bahut bura lag raha ki jis tarah se aaj sai se pesh aaye ( while carressing virat's face & he was looking at her )godu tumhe uske saath aise pesh nhi aana chahiye tha , tumne usse ghar se nikal diya tumne uske saath sai nhi kiya
Before Ashwani could complete virat cut her off.
V - aapne ye to dekh liya ki maine uske saath kya kiya , lekin kya aapne ye dekha ki usne mere saath kya kiya ?
A - godu mein janti hu sai ko aisa nhi karna chahiye tha , lekin tumhe usse samajhna chahiye usko ek mauka dena chahiye tha.
V - samajhna aakhir mein hi kyu humesha sai ko or dusro ko samjhu , ye humesha sabko samajhne ki zimmedari mere hi kandho pe kyu aa jaati hai , mein kyu samajhu sai ko jab vo kabhi bhi mujhe nhi samajhti , sai ke liye sirf vo sahi hai baaki sab or khastaur se mein galat hai.
A - aisa nhi hai
V- aisa hi hain, mein humesha sai ki galtiyo ko dekh kar bhi undekha kiya hai , humesha usse samajhne ki koshish ki hai , lekin iss baar sai ne sirf mera bharosa nahi sai ne mujhe tod diya. Sai mujhe mein humesha kamal sir ko dhunti hai lekin mein kamal sir nhi hoon , mein virat Chavan hoon or sai ko nhi dekhta ki uski zidd se mujhe kitni chhot pahuchti hain kyunki vo dekhna zaruri nhi samajhti lekin ab bas bahut ho gaya agar sai apni mannmani kar sakti hain , apne zidd ko pura karne ke liye kissi bhi hadd tak ja sakti hai to phir mein bhi.
Before virat could finish Ashwani cuts him off
A - godu tum aise behave nhi kar sakte , is waqt tum bilkul apne baba ki tarah behave kar rahe ho or mera godu apne baba ki tarah bilkul bhi hai
Virat stares few moments to Ashwani.
V - mein sai ki baat kyu kar raha hu yaha to meri aai hi mujhe ek aisa insaan dhunti jo humesha dusro ko khush rakhe , jo dusro ki har galti ko dekh kar bhi undekha kar de , jisse khud khush rehne ka kissi se expectation rakhne or hurt hone ka koi haq nhi. Main sai ko kyu dosh de raha hu yaha to meri aai hi mujhe nhi samajhti
A - ( shocked ) aisa nhi hai godu.
V - aisa hi hain aai aapne ye to dekh liya ki sai kitni hurt hui lekin apke bete ko bhi chhot lagi hai vo nhi dekha hai. Mein janta hu ye chavan parivaar jo ye pyar mujhe dete hain ye sirf isliye hai kyunki mein ACP hoon, mujhe pata hai sai mujhe kabhi nhi samjhegi kyunki vo kyunki vo mujhe mein kamal ki chhavi dekhna chahti hai jo uski har galti ko theek kar diya karte varna vo mujhe accept nhi karengi, mujhe humesha usko samjhna hoga .
lekin aaj mujhe pata chala ki meri aai bhi mujhse meri buraiyo ke saath accept nhi karengi kyunki agar mein kuch galat karunga jo mein apne baba ki tarah hoon Coz unke godu ko to galat hone ke haq hi nhi agar vo galat hua to vo aapka godu nhi. Aai kya koi bhi mujhe vaise accept kar sakta jaisa main hoon ?
virat left d room leaving a teary aai.
( Ignore grammatical mistakes but I have a feeling everyone want to virat to behave in their way which please them , noone is ready to accept virat with his flaws)