Hello!
Since the separation is close and we are all mentally preparing ourselves, I just wanted to pen my thoughts...
Judai hamesha kyon tadpata hai
Judai hamesha kyon tadpata hai
Bichadte toh hai do log
Par kyon auro ko bhi satata hai.
Guzara hua kal yaad aata hai,
Chehre pe muskaan lati hai,
Dard bhare aasoon beh jaate hai,
Jab dil yun bikhar jaate hain.
Khushiyan kuch pal ki mauhtaaj kyun
Dard ka dastak kyon roz mandarata hai,
Pyaar karne waalon main,
Takarar kyon leke aata hai.
Dushman hai zamana unka
Jinka pyaar bekaran hai,
Kyunki woh sab kayam kar jata hai,
Par kisi ke aane ki aahat se
Kyon dagamaga jaata hai.
Pyaar ek ehsaas nahi
Pyaar zindagi hai
Khushhali ka woh Sandesh hai
Jisse raunak ka saver hai
Par kyon kaale badalon ka saya
Darata hai pyaar ke bandhan ko
Kyon pyaar waalon ki kadar nahi karta yeh jahan.
Juda hoke bhi ek rehte hai woh log
Juda hoke bhi ek rehte hai woh log
Unki yaadein jab tak dilo main zinda hoti hai,
Kuch bhol jaate hai iss zamane ko
Aur kuch bhol jaate hai khud ko aise
ki pyaar ke bina zindagi na guzare
Bikhar jaate hain log aise..
Judai hamesha kyon tadpata hai
Judai hamesha kyon tadpata hai.
I just felt like writing something sad knowing what is coming.. sorry to start the day off in such a somber mood. ❤️
Hum ek doosre ka sahara hain iss pal main 😔