Posted: 3 years ago

'Dekhna ek din tumhe bhi ehsaas ho jaayega ki tum dono ek dusre se pyaar karne lage ho.'

Aai ki ye baat mere dimaag se nikalne ka naam hi ni le rahi. Kya ye baat sach hai?

Mai nahi jaanti.

Is khyaal ko maine apne dimaag ke aas paas kabh bhi ni bhatak ne diya. Magar aaj mera dimaag meri sun ne ke mood me nahi hai. Aaj mera dimaag shutdown hokar saara sochne samajhne ka kaam mere dil ko karne dena chaahta hai. Par apne dil par mujhe bharosa kabhi raha hi nahi.

Agar dimaag se pucha hota, ki kya mai Virat sir se pyaar karti hu, to dimaag ne seedha seedha jawab diya hota ki Virat sir ko pyaar karne ka mujhe koi haq ni hai. Hamari shaadi ek samjhauta hai, ek deal.

Par dil... dil ko deal ki maryaada samajh ni aati.

Agar dil se puch lu, ki kya mai Virat sir se pyaar karti hu, to ek aisa jawaab aayega jise sun ne ki himmat mujh me ni hai. Aur uska zikr karne ki ijazat bhi nahi hai.

Kis haq se kahungi Virat sir se, ki Virat sir mai, mai...

Nahi, ye sach mai Virat sir ko nahi bata sakti. Ye baat mujhe chupani hogi, Virat sir ke khaatir. Unhone ne mujhe apne vaade ke baare me pehle hi bata diya tha. Iss deal ko maine accept kiya tha. Mai apni baat se piche ni hat sakti. Virat sir ko pehle hi mere karan bohot kuch jhelna pada hai. Mai unke liye ek aur pareshaani ni badha sakti.

Zaroor Tai, Bua aur Aai ko koi galat fami hai. Virat sir mujh se pyaar ni kar sakte, vo to Pakhi didi se pyaar karte hai.

Karte hai na?

Lekin fir unhone mujhe ghar chod kar jaane se kyu roka?

Zimmedari ki wajah se?

Haa, yahi baat hogi. Aur kya ho sakta hai. Mai bhi naa kaise budhu jaisi baatein soch rahi hu. Mai sirf unki zimmedari hi to hu, unka farz, aur kuch bhi nahi.

'Tum mere liye bohot maayne rakti ho.'

To kya Aai ki baat sach ho sakti hai? Yaa fir unki baat ka matlab ye tha ki unke liye mere Aaba ko diya hua vada nibhana important hai. Kya mujhe Virat sir se baat karni chahiye?

Nahi, itna bada risk mai nahi le sakti. Virat sir ko wase bhi sabko khush karne ke liye apna man maarne ki buri adat hai. Mai unhe galti se bhi aisi situation me nahi daal sakti.

Bhul jaa iss baat ko Sai. Bhul ja. Normal ho jaa wapis. Normal, normal, normal, normal

"Sai?"

Normal, normal, normal

"Sai?"

"Normal, haa?"

"Normal? Ye kya bol rahi ho tum Sai?"

"Nai, kuch bhi to nahi. Aap kab aaye?"

"Jab tumhara normal kaa jaap chal raha tha."

*Both stare at each other*

Virat sir ki aakhein kitni sundar hai.

"Sai?"

"Sundar"

"Sundar? Ye sab kya bole jaa rahi ho?"

"Kya bole jaa rahi hu? Kuch bhi to ni bol rahi hu. Aapko zyada sunai dene laga hai."

"Baat kya hai Sai?"

"Kya baat hai?"

"Yahi to mai tum se puch raha hu ki hua kya hai?"

"Kya hua hai?"

"Kyu baat ko ghuma rahi ho Sai. Koi na koi baat to zaroor hai. Bolo kya hua hai?"

"Kuch nahi hua hai."

"Sai... kyu chupa rahi ho. Batao kya hua hai?"

"Aakhein."

"Aakhein? Thik se bataogi kya hua hai?"

Lagta hai aaj ye jaan kar hi manege. Bata du kya? Yaa fir na batau?

"Sai?"

"Wo..."

***************

The only experience I have in writing is harry potter fanfiction, so as you must have obviously recognized, this has been written by an "immature" writer (I know I am bad at humor). This is my first attempt at writing anything Sairat related. Agar kisi ko pasand na aaya ho to

*haath jodte hue*

'Mala maaf kara, maaf kara'

(In Virat's style)

Edited by hedwig_potter - 3 years ago
Posted: 3 years ago

Haha it’s so nice but why the cliffhanger 😭😅

Posted: 3 years ago

Love it! ♥️ Please write more. 

Posted: 3 years ago

that was so much fun and typical sai style. please continue.❤️❤️❤️

Posted: 3 years ago

Originally posted by notaquitter


Haha it’s so nice but why the cliffhanger 😭😅


Hehe... I like endings with cliffhangers.😉

Posted: 3 years ago

Thank you so much everyone, I am glad you liked it. As for another part, I'll see what I can do.❤️

Posted: 3 years ago

Very nice......👌 lovely.......

Please continue writing.....



Related Topics

doc-text Topics pencil Author stackexchange Replies eye Views clock Last Post Reply
SaiRat FF: Contract Marriage

pencil kavitha_r   stackexchange 11   eye 3314

kavitha_r 11 3314 27 days ago Fhkgc123
Sairat v/s ishvi

pencil Zonuzaya   stackexchange 0   eye 2052

Zonuzaya 0 2052 4 months ago Zonuzaya
SaiRat FF Always Been You

pencil Yazzi   stackexchange 0   eye 1240

Yazzi 0 1240 4 months ago Yazzi
Legacy of the never ending love between "SAIRAT"

pencil Ashane25   stackexchange 39   eye 9492

Ashane25 39 9492 5 months ago AninditaB

Topic Info

15 Participants 18 Replies 3237Views

Topic started by hedwig_potter

Last replied by laksh

loader
loader
up-open TOP