Originally posted by: Aleyamma47
Very true, meine pechle 2-3 episodes dekhe nahi hain!
Phir bhi, I 100% agree with u!👍🏼
In fact, I WAS ATTRACTED TO THE SHOW because OF IT'S EXTREMELY REALISTIC NATURE,
Mujhe sirf woh VANRAJ KA ACHANAK SE PHIRSE SUPER-EVIL hona wala part pasand nahi hain,
Not because I ship ANURAJ,🤢
Arrey, uss ghatiya Vanraj ki ek min mein Anu se Kavya palatne ke baad toh
Rather, I would say ki Vanraj should HAVE NO ANUPAMAA NOR KAVYA,
(Because as Anupama said in the show Vanraj is egoistic narcissist who JUST LOVES HIMSELF, NO ONE ELSE) 🤢
Usse toh Narak mein sadna chahiye, such a creep that man is! 😡
Kyunki, jaise meine MENTION kiya tha,
Mere RELIGION mein REPENTANCE AUR FORGIVENESS mein BELIEVE KARTE HAIN,
Aur, I don't know jaise ITV shows mein bure log hain,
Reality mein Bure LOG COMPLETELY BURE NAHI HOTE, unme bhi acchai chippi HOTI HAI,
Bas, hum log unn bure logon ki ACCHAI DEKHNA hi nahi chahte!
Aur jiss tarah tumne yahan Vanraj, Baa aur Kavya ke baarein mein baat kiya,
I am SO GLAD WITH THAT TAKE! 👍🏼
Marathi wala toh anupamaa se dus guna jada realistic hai.....matlb aisa lagta hai pados ke ghar me hi chal rha hai sabkuch
I think hindi me thoda jada dramatic nd cliche hai bcz hindi audience loves dramatic shows (thanks to ekta "K" shows) but thats not case with marathi audience thats why marathi one is much more relatable
Btw maine real life me bhi aise bahut saare characters dekhe hai like anupamaa jese jo 24/7 housewife rehti hai.....vanraj jese jinko ghar wali nd baaharwali dono chahiye....baa jesi saas jo taane bhi maarti hai nd bahu se pyaar bhi karti hai
Nd kids se toh mai khud relate karta hu.....kya hum sab apni mom ko granted nhi lete....there was time in my childhood jab mai mom ko school le jaane me sharam aati thi bcz mummy jada padhi likhi nhi so papa ko le jaata tha nd wahi sab anupamaa me bhi dikhaya through pakhi's perspective.....i also relate to samar nd toshu character....im also mumma's boy like samar jo mom se sabse jada pyaar karta hai nd toshu jese anupamaa se kabhi kabhi chidta tha waise mai bhi irritate hota tha bcz hamari aur mom ki generation ka jo gap hai uski waja se kuch cheeze mummy nhi samjhti toh irritate bhi hota hu
Waise most of boys mummy se jada close hote hai & girls papa se.....same like samar-anupama & vanraj-pakhi .....mere ghar me bhi yahi haal hai .....im close to my mummy nd my sis is close to my papa
Then maine kavya type bhi character dekhe hai real life me home breaker but woh bhi completely negative nhi hote (like ekta's vamps) .....unka bhi apna perspective hota hai like kavya.....agr woh kisi ke liye buri hai toh kisi ke saath achi bhi hoti hai .....total negative bilkul koi nhi hota
Vanraj jese toh bahut log dekhe hai.....jinko ghar me kaam ke liye gharwali aur baahar maze ke liye baahar wali chahiye
(But that doesnt mean agr uski biwi aag me fasi ho toh woh apna concern nhi dikhayega as usne apne 25 yrs gujare hai biwi ke saath.....25 saal patthar ke saath raho toh usse bhi rishta banta hai yeh toh phirbhi uski biwi hai)
Baa jesi saas toh bahut si dekhi hai.....jisne bete ne galti karne pe pahle thappad bhi maara nd ab woh apna beta bhi wapas chahti hai nd usse lagta hai bahu aur bete ke saath sabkuch pahle jesa thik ho.....issliye woh anupamaa ko daat ti rehti hai ki usse phirse vanraj ke saath wapas rehna padega .....ek maa ne jo bacche ko 9 months me pet me rakha hai woh kitna bhi naalayak ho maa ko toh lagega hi na ki usske saath sab kuch thik ho, apna beta wapas ghar aaye, bete ka basa basaya ghar na ujde
Anupamaa is little unrealistic character but still its ok.....imean maine aisi bahut auratein dekhi hai jo apna pati ka affair open hone ke baad ussko accept karke maaf karke phirse pati ke saath rehti hai but.....anupamaa ko thoda unrealistic dikhana show ki necessity thi bcz show ka message hi yahi hai ki cheater husband ko maaf na karke toxic relation se move on karna
Aisi bahut auratein hoti hai jinko yeh mid-life crisis se gujrana padta hai but woh hanesha bacho nd family ke liye chup rahti hai so unko inspire karne anupamaa ko aisa dikhana jaruri tha....its like aap mid 40's me bhi toxic relation se move on kar sakti ho.....har baar family, bache inn sabki wajase aise toxic relation me rahke atyachaar sahne ki jarurat nhi
Kaafi aurate independent naa hone ki wajase pati ke saath rahti hai so unke liye bhi anupamaa inspiration hai ki aap 40's me bhi kuch na kuch kaam dhoondhke apne pairo pe khade reh sakte ho
Sirf yahi reasons hai jiski wajase mujhe anupamaa kaafi prpgressive nd inspiring show lagta hai that too with realistic take
Waise anupamaa me sabke costumes bhi OTT nhi hote .....kaafi day to day life costum lagte hai phir chahe tum anupamaa ke costume dekho ya vanraj yah unke bache.....evn inki jewellary me bhi latpath bhare nhi hote yeh log (aur same time tum ekta ka molkki show dekho)
@bold vanraj ka positive se negative turn bhi justified tha.....look vanraj kaafi comfortable tha apni puraani life me ek taraf biwi khayal rakhti thi acha acha khana bana ke deti thi aur dusri taraf office me kavya ke saath woh maze leta tha....but accident ke baad jab ghar aaya tab usko pata chala ki apni pahli jindagi kitni comfortable thi aur ab kavya ke ghar bread butter ke alawa kuch nhi milta....kaam bhi khud hi karne padte hai.....so woh pyaar anu ke liye nahi balki ussko khud ko phirse wahi comfortable life chahiye thi iss liye tha.....ekbaar phir sab set ho jaata toh im sure woh phirse kavya se affair shuru kar deta
Sorry for long post.....but yeh baat mai yaha kaafi din se kehna chahta tha
1