Originally posted by: libran90
Exactly the point I am trying to make. I posted it in another thread as well.Ek to Veer apni harkatein karta hai, aur khud ko kabhi bhi explain nahi karta, clarify nahi karta. Arre bhai, bandi ko reason to do tum par vishwas karne ki. Itna sharp aur swift hai, lekin gharwale kya kya karte hai usse uska koi lena dena nahi hai, kuch pata nahi hai, kaise???
Pyaar karne ka daawa karte ho, lekin bharosa karne ka ek reason nahi dete. Bhale hi Bani judges him for the past, par shuru to nafrat present se hi hui hai na. Badtameezi karke usko pyaar kehte ho. Jisko woh pyaar kehta hai, usko chichorapan kehte hai, especially all that happened before marriage. Veer has never given a reason to Bani to like or trust him.
Come to think of it, Jai too hasn't given, but she still likes him, because he did not do things as Hriday would do, he did as Jai. Jai came off as a soft well-intended person. Veer was never. Bani liked Jai overall, and that is reinforced by Naageshwari's love for Hriday.
Of course, mujhe Veer ke liye bura lagta hai, but Veer iss situation ke liye kaafi hadh tak khud bhi responsible hai. I mean, uska impression as Veeranshu Singhania hi itna kharaab hai Bani ke nazar me, aur Bani ko pata hai ki wohi Aakesh hai. Kalyug ki dislike kam thi, ki Satyug ka added baggage hai uss par. Veer has never taken onus for his actions, hasn't ever tried to show himself in a positive light. Bolta hai ki "Main villain hi thik hu", to thik hai bhai jhelo iss pagli Naagin ko. Ab agar Veer ko yaad aa gaya ki woh Aakesh hai, tab shayad woh apne actions ko sudhare. Warna koi chance nahi. As he said, shaadi ek two-way street hai - agar chahte ho ki bandi tumhare paas aaye, to apne phailaye huye raite ko khud sameto. Satyug ke bhi aur Kalyug ke bhi.