Nice
Ani and Saudamini🤣
BonWasi👍🏼
Ani and roshogulla😆
thanks for writing 👍🏼
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 9th Oct 2025
Bigg Boss 19: Daily Discussion Thread - 10th Oct 2025
COURSE TOGETHER 10.10
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 10, 2025 Episode Discussion Thread
Deepika finally breaks her silence on exit from Spirit and Kalki
Anupamaa is currently the best show on Indian TV
Yeh Rishta Kya Kehlata Hai Oct 11, 2025 Episode Discussion Thread
Ba***ds of Bollywood: Manufactured hype?
🏏India vs West Indies,2nd Test: New Delhi, Day 2 🏏
A Beautiful Journey: Tum Se Tum Tak Deserves All the Love
THALI KA BAINGAN 11.10
Anupamaa 10 Oct 2025 Written Update & Daily Discussions Thread
Amaal deserves some appreciation
Janhvi - the nepo kid who dances
Khushi Kapoor- star queen
After effects of War 2
A beautiful story
Rumour - Alia Bhatt In Kalki 2
Karan Johar's Remarks On Homebound Irks Netizens
Appreciation Post for Jhanvi Kapoor
Nice
Ani and Saudamini🤣
BonWasi👍🏼
Ani and roshogulla😆
thanks for writing 👍🏼
Originally posted by: Bacillusbadius
Nice
Ani and Saudamini🤣
BonWasi👍🏼
Ani and roshogulla😆
thanks for writing 👍🏼
Thank you ❤️🤗
Pls post the next part soonish... Really.. After watching episodes.. Reading ur work help me feel better..
If not soon in show.. I can read Ani crying and repenting here..
Pls update soon
Originally posted by: Rashi_garg
Pls post the next part soonish... Really.. After watching episodes.. Reading ur work help me feel better..
If not soon in show.. I can read Ani crying and repenting here..
Pls update soon
Thanks you ❤️🤗
yah will update the last part of this sequence soon 😊
even i don't feel better after watching the episodes now a days so no wonder why i am writing all these 😳
Hey another idea if you want to write more can be after being thrown out of the Roy Mansion bondita is saved by a barrister more powerful than roy chaudhary and he helps bondita in getting her education and helping her becoming the best barrister and in the end she comes to serve divorce paper to ARC...🤪🤪
Sorry if the idea is too long but he needs a good jhatka to know bondita's importance...
Originally posted by: raveena0605
Hey another idea if you want to write more can be after being thrown out of the Roy Mansion bondita is saved by a barrister more powerful than roy chaudhary and he helps bondita in getting her education and helping her becoming the best barrister and in the end she comes to serve divorce paper to ARC...🤪🤪
Sorry if the idea is too long but he needs a good jhatka to know bondita's importance...
your idea looks more like an after leap scenario 😆
anirudh needs to realize the importance of little bondita first 🤓
& this brijwasi barrister is enough to make him realize about it
This is the continuation form part-2
At Brijwasi’s Home
At dining table during the launch time bon is serving launch to everyone
Bon’s MIL – asking to brijwasi “beta ajka khana kaisa bana hai jara jaldi se taste karke batana?”
Brij – “aj ka khana toh kuch alag bana hai apke haton ke khane se bhi zyada testy lag raha hai mujhe, kisi bawarchi ne banaya hai kya?”
Bon’s MIL – “ha hamari bahu bawarchi ne banaya hai”
Brij – “kya bondita tumne banaya yeh sab?”
Bon – “ha pati babu maine kaha tha na apke liye ek aur surprise hai yehi hai woh surprise”
Brij – “Itna accha khana aur rosogulla taste karke ke bad ab toh mujhe lagta hai ki maine galti kardi tumhare haat ki coffee na pikar itne dino tak, toh aj se main tumhe mere liye coffee banane ki permission deti hun”
Bon – her joy knew no bounds upon hearing this n says “shotti pati babu?”
Brij – “Sholo ana shotti" (in hindi it’s sola-16, in bengali it’s sholo)
His dad says “are hum kyun vanchit rahe bahu ke hat ki chai, coffee se? hume bhi permission dedo ki hum sab bhi uske haat ki chai, coffee taste kar sake.”
Brij – “accha thik hai tum aj se sab ke liye chai, coffee aur jo bhi banane ka man kere woh banana par sirf aur sirf (Bon-Brij together saying) padai khatam karne ke bad!”
Everyone is smiling along with them.
Bon’s MIL – “meri bahu itni choti hai par kitni hosiyaar hai! jaise usne itna accha khana banana sikh liya hai mujhe toh yakeen hai ki padai mein bhi woh hamesa first hoke dikhayegi!”
Brij – “are ma apko toh andaza bhi nehi hai ki apki bahu kitni teez hai padai mein! mujhe toh lagta hai hamari bondita 17-18 saal ke umar mehi barrister ban ke dikahyegi mere jaise 21 saal ke umar mein nehi!”
Amit- “Aur dada future mein apse bhi bahut badi barrister banke dikhayegi boudi, khub naam karegi dekhna!”
Brij – “main bhi toh wohi chahta hun ki bondita mujhse bhi zyada bada barrister bane khub naam roshan kare hamare desh ka aur hum sabka bhi.”
Bon’s FIL – “ha hum sabki yehi khwaish hai aur umeed hai hamari bondita se.”
Bon is looking at everyone with her big smile.
Brij suddenly became unmindful n thinking “Mujhe yakeen nehi ho raha ki bondita jaisi itni acchi ladki ki acchai ya koi bhi gun anirudh babu ko dikhayi nehi di?! Mana ki saudamini se unka lagao kuch zyada hi tha par bondita ke saath bhi toh teen mahine bitayen hai phir bhi anirudh babu ko bondita se koi bhi attachment nehi hua! Kitni asani se bondita ko kisi dusre ko saup diya saudamini ko pane ke liye! Aisa lagta hai jaise yeh teen mahine woh apne khud ki akhon mein patti bandke rakkha tha aur isi intezaar mein tha kaise bondita ko dur karde apni life se kisi tarha! Waise main toh kanhaji ki abhari hun bondita meri zindegi mein ayi, woh meri zindegi mein atehi mujhe mere khud ki zindegi mein ek naya disha mil gaya warna main toh aj bhi sayad is jagah se us jagah bina kisi lakshaya ke ghumta rehta aur pata nehi kab tak! Bondita apni khud ki acchai, gun aur baton se roz mujhe bhi bahut kuch sikha rahi hai apne liye, mujhe roz nayi nayi disha deti hai mere khud ke jevan mein.”❤️
Bon – interrupts his thought n says “pati babu ap kuch kha kyun nehi rahe hai? Kya soch rahe hai?”
Brij – “main yeh soch raha tha ki hum sab khana kha rahe hai par tum khari kyun ho? Tum bhi baith jao hamare sath warna mujhe bilkul accha nehi lagega, hum sabko jo bhi chahiye hoga hum khud lelenge tum baitho launch karne.”
Bon – “accha thik hai baith jati hun, apki baat tal sakti hun kya mein.”
Bonwasi exchanged smiles with each other n bondita sits to have lunch.
At Anirudh’s Home
He came home at the evening, roamed around idar udhar whole day like a lost man, was mostly thinking about Bonwasi forgetting his case completely “zara si bhi parwa nehi thi mujhe bondita ki! uski koi bhi baat maine kabhi notice hi nehi ki! uski woh sari acchayian, khubiyan, meri taraf uska massom sa pyar kuch nehi! teen mahino mein maine jo baat nehi dekh paya woh brijwasi ne notice karli sirf 10 din mein! pata nehi kabse use mere aur saudmini ke bade mein pata tha par mujhe maloom nehi chalne diya jab tak maine khud nehi pucha! Khudhi andar hi andar apne man mein dukhi hoti rahi. Kash woh aisehi chali jati toh main use wapas toh le a sakta tha kisi tarah dhund ke, par ab toh bahut der ho chuki hai! ab woh samne hote hue bhi main use wapas nehi la sakta, nehi keh sakta ki mere sath wapas ghar chalo bondita!”😳
He enterd the house when the sun’s down. Every family member came in front of him when he entered
Kaka – “are anirudh tumhe itni der kyun laga ghar wapas ane mein? dopahar ka khana bhi nehi kha paye tum. Bhuk lagi hogi na? bihari anirudh ke liye khana lagao table pe.”
Ani – “nehi kaka mujhe bhuk nehi hai mein bad mein dinner karunga.” In mind “mujhe meri bondita ki haat ka rosogulla khane mil gaya mera pet usi sehi bhar gaya,😆 abhi aur kuch khaunga to uska swad muh se chala jayega, ghar ka khana ab bilkul swad nehi lagta pheka lagta hai kyunki meri bondita jo nehi banati ab.”
Binoy – “Aj toh tumhare pehle case ka faisla ane wala tha na? kya hua uska? case jit gaye na tum?”
Ani – “nehi main case har gaya”
Mini – “kya tum apna pehla case hi har gaye!? Mujhe yakeen nehi ho raha hai! Main kya jawab dungi apne saheliyo ko aur woh club members ko? Kaise kaise tana marenge woh log mujhe yeh kehkar ki tumhara pati apna pehla case hi har gaya? Lagta hai sirf padai mein accha tha par kaam kaise karna hai yeh toh use pata hi nehi, my God!”🤪
Ani in mind “bhar mein jao tum aur bhar mein jaye tumhari saheli aur club members” 😆
Binoy - “Aise kaise case har sakte ho tum anirudh? Thikse taiyari nehi ki thi kya? It’s really shameful for me as well. Ab mein bhi apne dost, bussiness partners aur baki jan pehchan walo se kya kahunga? Kaun wakil tha tumhare opposite?”
Ani – “Brijwasi Banerjee”
Binoy – “Brijwasi Banerjee! Matlam woh Bondita ka pati?”
Ani – “ha”
Mini – “Kya tum us brijwasi se har gaye!? Ab toh aur tana sunna padega mujhe, sab bolenge ki suna hai tumhara pati apni pehli patni ke naye pati se case hargaya? Tumhare sautan ka naya pati toh tumhare pati se bhi zyada accha wakil nikla!” 🤡
Binoy saying in mind “Main janta tha ki brijwasi is case ke oppsition lawyer hai! Yeh brijwasi bahut chalak nikla mujhe bhanak tak lagne nehi di ki kaun hai anirudh ke opposite warna main anirudh ko yeh case lene nehi deta, aur jab mujhe pata chala tab tak bahut der ho chuki thi. Agar koi aur wakil hota toh use paise khilakar yeh case main tumhe jitwa deti, par us brijwasi ko paisa dene jaungi toh woh toh ulta mujhi pe case kardega.” 🤣
Binoy – “Brijwasi tha toh kya hua? Woh tumse behtar thodi ho sakta? woh ladka jo kuch din pehle tak bhi pata nehi kaha kaha ghumta firta rehta tha awarao ki tarha ab achanak se accha wakil ban gaya!? Tum bhul gaye ki tum ek gold medalist barrister ho?😆
Ani- “waise ap bhul rahe hai ki who bhi ek gold medalist barrister hai mujhse bhi accha university se barristri complete ki hai usne, he is graduated from Oxford university, aur main case isliye hara kyunki usne aise aise proof diye court mein jise dekhne aur sunne ke bad toh mujhe ye yakeen ho gaya ki meri client hi jhuti thi aur uski sehi”😆
Binoy in mind “Tumne ekdum sehi bola anirudh! tumhara client jhuta hi tha, mera woh dost such mein jhut bolkar dusro ke zameen harapna chahta tha aur mujhe laga tum ji jaan laga doge use jitane ke liye par yeh bhi main ignore nehi kar sakta ki brijwasi tumse zyada shatir dimag rakhta hai aur koi hota toh sayad phir bhi tum jeet jate, kya main nehi janta kaise usne tumhe apne baton ki jaal mein phasakar tumahre pyar ko tumhari hi haton se shadi karke lekar chala gaya apne saath! Aur tum bewakoof bina kuch soche samjhe apne pyar ko kisi aur ladke ke hato saup diya! Mujhe toh bondita ko bhagane ke liye koi planning-plotting karna hi nehi pada brijwasi nehi mera sara kam kar diya! that’s why i am thankful to him so much. Bondita to use dekar tumne apni zindegi ki sabse badi har ko invitation de diya aur use uski zindegi ki sabse badi jeet dedi, aur ab uske khilaf yeh courtcase harna toh bahut choti si haar hai us haar ke samne.”😈
Binoy – “Ab iska kya matlab hua? tumhe laga ki tumhari client galat hai to tum jaan bujh kar case harke agaye kya? Yeh pehla case khud harkar aur brijwasi ko jeeta kar kya tum Bondita aur Brijwasi ko wedding gift dekar aye court mein? 🤣 Woh log toh ghar jakar khusiyan hi khusiyan mana rahe honge!”😆
Ani in mind "ha khusiyan toh manahi rahe honge woh log, kash mujhe bhi invite karte toh mujhe beri bondu ke haat ki khana khane mil jata, kyunki mujhe acche se pata hai aj ka khana toh sirf aur sirf bondita nehi banaye honge" 😆
Ani – “nehi baba maine kaha na brijwasi ne solid proof dekar hi yeh case jeeta, isme main kya kar sakta hun? Mere client ne toh mujhe koi solid proof de nehi paya jiske sahare main yeh case jeet ti. Aur agli bar se main apna client khud chununga apke laye hue client ka case mujhe nehi ladna aur especially brijwasi ke opposite toh bilkul bhi nehi ladna.”😆
Binoy – “ha thik hai maine woh client isliye laya tha taki tumhare career ko ek shuruwad toh mile, agar mere laye hue kisi client ki case nehi ladna chahte toh mat lado par yeh brijwasi ke khilaf kyun nehi ladoge koi case?” 😈
Ani – “ap nehi samjhenge.” In mind he is saying “roz court mein kisi ekhi case par mera pyaar bondita ki naye pati ka samna karna mere bas ki baat nehi, jab bhi main brijwasi ko dekhunga mujhe yeh yaad ayega ki mera pyaar bondita ab uski patni hai, brijwasi ab mere pyar bondita ki naya pati hai aur mai ab uska pati babu nehi raha, mere khud ke pyar par ab mera koi haq nehi hai sirf aur sirf uska haq hai! Nehi yeh baat meri bardasht ke bahar hai aur isiliye main brijwasi ke khilaf koi case nehi ladunga” 😳
Binoy in mind “Main nehi samjhunga toh aur kaun samjhega tumhe? Akhir main tumhara baap hun anirudh! Mujhe acche se pata hai woh driver bata raha tha ki case ke pehle aur akhri din matlam aj bondita ayi thi court mein, aur tumhara pyar bondita ko kisi paraya mard ke saath dekhar toh tumhara dil aur dimag dono jalke rakh hogaya hoga! 😎 Bhale hi woh ab bondita ka pati hai par tumhare liye toh sirf aur sirf ek paraya mard hai jiske sath tum apne pyar ko kisi bhi haal mein dekh nehi sakte, aur isiliye tum uska samna nehi karna chahte dobara woh bhi courtcase jaisi ladai ki maidan mein, kyunki tum kitna bhi ab uske saath ladkar case jitlo par bondita ko toh jeet nehi paoge aur wohi tumhari sabse badi haar hogi har bar case jitkar bhi.”
Kaka in mind “mujhe pata hai anirudh tum bahu ki naye pati ka samna dubara nehi karna chahte ho court mein kyunki tumhe yeh baat bilkul gawara nehi ki woh ladka ab tumhare patni ki naya pati hai jise tum khud apne haton usko saup diya, apni khudki galti kat kat kar khayegi tumhe apne kaam ke waqt toh tum kya case ladoge! isiliye koi aur case nehi ladna chahte uske khilaf. Tumhe itni badi galti karne se maine rokne ki koshish bhi ki thi par tum nehi mane, ab toh kuch nehi ho sakta nah!”😔
Kaka – “jo hua so hua ab jane do, ek case har gaye toh kya aur bhi bahut case ayega jitne ke liye. Ab tum jakar fresh ho jao.”❤️
Binoy – “aise nehi chalega anirudh agle case se yeh ensure karna hoga tumhe ki tum sari case jitoge”
Mini – “ha bilkul thik kaha apne, warna hamari kitni beizzati hoti rahegi hamesha! main toh itni badi beizzati jo ab hui is se kaise bachungi woh soch raha hun! Ab main baba ke ghar ja raha hu aur aj raat wohi rahunga, bye!” 🤪
Mini in mind “mujhe ab jaldi se ghar jakar baba aur dida ko yeh batana hai ki anirudh kitni bekar ki wakil hai jo us gawar bondita ki naye pati se case harke agaya” 🐷
Ani in mind “ha main janti hun tum jarahi ho apne ghar meri burai karne par mujhe koi fark nehi parta, dur raho meri nazron ke samne se jitna ho sake. Mujhe fark parta hai toh sirf bondita se aur is baat se ki woh ab meri nazron ke samne se bahut dur ja chuka hai.....sigh” 💔
Anirudh went to his room & all other left too.
This sequence ends here.
It was so nice..
Happy seeing Ani suffer..
So finally he calls Bon his pyaar..
But I still wish to read Rudhita ending together..
Kya kre.. Yeh dil maanta nhi😆
But you can give some pov of Bon too.. Like how she feel after leaving Ani.. Doesn't she miss him at all.. 😅
It's really nice😲
But as a rudhita fam. Bohot dukh ho rha tha😭
Plz write something for rudhita also❤️
P. S- u write really well
Originally posted by: Rashi_garg
It was so nice..
Happy seeing Ani suffer..
So finally he calls Bon his pyaar..
But I still wish to read Rudhita ending together..
Kya kre.. Yeh dil maanta nhi😆
But you can give some pov of Bon too.. Like how she feel after leaving Ani.. Doesn't she miss him at all.. 😅
sab ayega thoda thoda karke 😆 i have set series in my head how can i write all of it ek saath right!?😆 i hope you got my point. 😆
BTW thanks for appreciating it, means a lot 🤗❤️