YRHPK FF - The Final Destination ?? IMP note with a summary Pg 10 - Page 4

Created

Last reply

Replies

90

Views

7.7k

Users

15

Likes

200

Frequent Posters

Onyourface thumbnail
Stunner Thumbnail 6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 5 years ago
#31

Originally posted by: Samyuktha123


Kuhu pregnancy report negative🥳 it's a four


Kuku moving to Dubai for a month - we need 2 runs in the last ball and you hit a six just like how MSD finishes a match👏🥳


Can't wait to read further.


Aaye haaye msd types what a compliment ☺️ Abhi toh over shuru Hua hai ..dekhti raho kitne sixers ayenge 😎😆

Onyourface thumbnail
Stunner Thumbnail 6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 5 years ago
#32

Originally posted by: m4manju

loved it... we are getting to see what we cant see in the show 😃 and atul is back too, good 😆


Thank you for reading ❤️😆😆 Surely like mishti says apne sapne pe apne haq hai ❤️ stay tuned

Onyourface thumbnail
Stunner Thumbnail 6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 5 years ago
#33

Thank you everyone for the encouragement and support ❤️ Really means a lot ...thank you silent readers 🤗🤗

Dotslover22 thumbnail
6th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 5 years ago
#34

Originally posted by: Onyourface


Hai na 🤣 Pata nahi bottle ayega ki nahi , vaise focus pura mishbir pe jayega after next 2 chapters toh bottle ka chance kam hi hai 😆


Welcome Dots ❤️ Thanks for reading stay tuned

Bold-Yeh toh aur bhi accha hai
Samyuktha123 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 5 years ago
#35

Originally posted by: Onyourface


Very excited to pen down samy 🤗🤗 No worries only a tint of sadness I feel a lot of things will make up for it though 😃 and shwet is not coming sorry 🤣🤪🥺

He he okies.. but I expected you will give a come back for shweth😆

Samyuktha123 thumbnail
15th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 5 years ago
#36

Originally posted by: Onyourface


Aaye haaye msd types what a compliment ☺️ Abhi toh over shuru Hua hai ..dekhti raho kitne sixers ayenge 😎😆


Wow can't wait

Sumaiya27 thumbnail
14th Anniversary Thumbnail Visit Streak 90 Thumbnail + 4
Posted: 5 years ago
#37

Originally posted by: Onyourface


Thanks ❤️ Hopefully my dreams will also come true through this write up 😆


Not just one, three surprises wait for it 😃There is so much more to mishti and her wishes 😳


Haha meenu ka aage bohot kuchh tootega lol 😆 Stay tuned , thanks for reading ❤️

🤗

Abir has 3 surprises? OMG can't wait to know about them!!

Meenu aur kuhu ka dil toot ne ke liya mein besabri se intezaar kar rahi hoon 😆


I read chapter 1 and 2 and they were AMAZING 🤗

jasmeet calling kuhu brainless was perfect 😆 You actually made jas tolerable and even enjoyable so kudos to you for that 😎

Naanu is back with plans for the real asli waris-- great job atul for not marrying a girl of meenu's choice 👏

Aww mishti wants to go for treatment but BM and abir are worried about her..loved abir's shots to meenu about not trusting her promises, she will indeed plan to throw mishti out if it's not successful

But bechara abir couldn't reveal his surprises yet 🥺


Thank you again for writing this FF ❤️

livepraylaugh thumbnail
Visit Streak 90 Thumbnail 5th Anniversary Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago
#38

Thank you for writing Uru. I loved reading all the fun and positive moments of our favorite characters which is missing in our series. I enjoyed it.

Onyourface thumbnail
Stunner Thumbnail 6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 5 years ago
#39


Wait is over sam 😆

Onyourface thumbnail
Stunner Thumbnail 6th Anniversary Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 5 years ago
#40

Chapter 3:- The Face Off leads to ?


"bapuji jo bhi hai , aapne itna bada faisla humse bina puchhe le liya yeh theek nahi hua , ghar ke bete ki shaadi ho gayi aur gharvalon ko pata tak nahi"


"Vaise hi jaise mujhe nahi pata tha ki mere peeche mere hi khaandaan ke utradhikari ke liye jung chidi thi !! Hai na meenu? "


Meenu takes a pause, she can sense naanu is not in the mood to let it go however she feels she doesn't need to answer this "Oh toh aapko sab pata hai , Bapuji aap lamba safar kar ke aaye hai , aaram kar lijiye hum baad mein baat karenge hmm"


"Ruk meenu , tu chahe baad mein baat kar , lekin main abhi baat karunga" naanu maintains a calm tone however he has decided he will put his point across meenu today, while with every answer , meenu's tone increases , from irritation to anger to frustration , all the emotions are clearly visible on her face.


"Baat karne ko kuchh nahi hai Bapuji , maine ek spasht baat kahi hai , is ghar ko waris chahie aur vo is ghar ka bada beta abir ka bachha hi hoga bas !"


"Is ghar ko apnapan aur khushi chahie meenu aur kuch nahi , aur yeh kaun tey karega ki kiska bachcha waris banega ? Mera beta koslu aur koslu ka beta atul....." before naanu completes his sentence meenu cuts him.


"Wah Bapuji wah .....aakhir aaj aapne bhi dikha hi diya ki ek pitaah bhale hi apni beti ke baare mein sochta ho lekin jab waaris ki baat aati hai toh usse apna beta aur uska pota hi dikhayi deta hai , jab business sambhal ne ki baari aayi toh aapne apni ladki ko aage kiya aur jab waaris ki baari aayi toh aap yeh kehna chahte hai ki aapke ladke ka beta waaris dega, main samajh ti thi ki kam se kam aap toh mujhe samjhenge lekin aapne toh ...." meenu literally tears up saying this.


" Aisa nahi hai meenu...... Maine apne us bachhe ko musibat ke waqt aage kiya jisme takeefon se ladne ki himmat thi , taakat thi , junooniyat thi aur aage bhi main apne ussi pote ya poti ko aage karunga jisme vo baat hogi ...phir chahe vo abir ke bachhe mein ho , kunal ke bachhe mein ho , atul ke bachche mein ho ya ketki ke.....kya tune kunal ko aage nahi kiya? Jab yeh bachche chote the toh tujhe pata tha kya abir kya karega , kunal kya karega , atul aur ketki kya karenge , toh jo is duniya mein ab tak aaya hi nahi woh kya sambhalega kyun sambhalega uski chinta hum abhi se kyun karein ? Mere liye tu aur koslu dono hi ek jaise ho aur mere chaaron pota poti bhi , na in mein kabhi farak kiya gaya na inke bachhon ke saath farak kiya jayega "


"Karni padti hai chinta Bapuji...kyunki main nahi chahti ke jo galti maine kuchh varshon pehle ki wo dobara ho , abir ko zarurat se zyada aazadi de di aur aaj dekho kya haal hai , usse aisa lagta hai ki parivaar ka business na join kar ke usne acha kiya , usse aisa lagta hai usne apne bhai aur apni maa ke marzi ke khilaaf Jaake mishti se pyaar kiya vo acha kiya, aage bhi usse aisa lagega ki mishti ke saath alag ghat mein rehna usne acha kiya isiliye....."


An extremely furious abir cuts her "Isiliye maa aap chahti hai ki aap ke hisaab se jo galtiyaan maine ki hai uska compensation mera baccha bane ? Aapko ek waaris chahie kyunki woh sab kuchh jo aap mere saath nahi kar paayi woh aap mere bachhe ke saath kare ? Unfortunately aap mujhe toh remote se control nahi kar paayi isliye aap chahti hai aap mere bachhe ko control kare ......."

he looks at mishti " dekh lo mishti tum chahti ho itna dard sehna us bachhe ko janam dene ke liye...... jo maa ki katputli banega .... jiske khud ke koi rights nahi honge,.....koi desires dreams aur aspirations nahi honge ....jo maa kahegi voh poori umar karta rahega ? "


" Basssss abir, tumhe meri baat na kabhi samajh aayi hai na kabhi samajh mein ayegi , jisse tum katputli kehte ho na , main usse apna adhikaar kehti hun , is ghar ko Maine zarurat se zyada diya hai , aur iske badle agar main chahun ke tumhara bachha har tarah se is parivaar mein aage ho toh meri yeh ichha karma galat nahi hai ..."


" Agar sirf mere hi bachhe ko aage karne ki baat thi toh phir aapko adoption se kya problem thi ? bachha phir bhi mera hi hota na ?"


" Kyunki paraye khoon pe vishwas nahi kiya jaa sakta yeh dekh liya maine......" looking at kunal


"Kunal ne aapke saath aisa kya kiya hai jo aap itni naraaz hai, aap toh usko apna beta maanti thi na ? " abir says in a very emotional tone


"Jab tak woh mujhe apni maa maanta tha tab tak ........jis din usne sabke saamne parul ko apni maa maana us din usne mujhe kho diyaaaaa"


"Usne yeh sab isiliye kahan kyunki woh nahi chahta tha ki parul maasi ko sab log naukar ki nazar se dekhe"


" yeh hi .......yeh hi baat hai .....usne apni woh maa ke baare mein socha jiska woh KHOON HAI .....us maa ke baare mein nahi jisne usse bada kiya hai .....usne sirf yeh socha ki jis maa ne usse janam diya uske koi naukar na bhulaye us maa ka kya jisko saari duniya ke saamne DUSRI aaurat bhulaya gaya ....mere baare mein socha kunal ne ...... isliye kehti hun apna khoon hi apna hota hai , yeh baat bhale kadvi Lage lekin sach bhi yeh hi hai "


"Maa maa I am really sorry , us din jo hua maine....maine theek se nahi socha tha ...is baat ki itni badi saza aap bhai ko mat do mishti ko mat do please...." kunal says while trying to suppress his tears.


"Maa yeh aap bhi jaanti hai aur main bhi ki kunal ....kunal ne aapko mujhse zyada chahaa hai ...dil se ...pyaar se ...."


"Pyaar se zindagi nahi chalti abir, na hi duniya ke saare rishtey dil se bante hai , jo waqt aane pe saath de , asli parivaar woh hi hota hai , baaki sab bhagode hote hai ....tumhare BABA KI TARAH ......' saying so she couldn't control herself , looks on the opposite side to wipe her tears , abir does the same.


" moti toh kahin hote hai lekin un saare motiyon ko ek mazboot dhaaga chahie abir , main tumhare bachche ko woh mazboot dhaaga banana chahti hun , jo har roop mein is parivaar ko jodh ke rakhe "


"Lekin maa aap ...."


"Isiliye pratha chalti hai abir ke raja ka beta hi raja banta hai ......"


"Voh pratha galat thi isliye ab nahi chalti , raja vahi banta hai jisme raja banne ki taakat ho , himmat ho aur icchha bhi ho , aap kisi ko force nahi kar sakti "


" Ek minute abir , meenu beta ....parivaar koi motiyon ka haar nahi jisse gale mein sajaya jaay , voh toh ek vruksh ki tarah hota hai ....kahin daaliyon se bhara, kaunsi daali kis taraf mudti hai yeh uski jadein tey nahi karti , par phir bhi vo usse Sahara deti hai......tune mera business sambhala, kunal ne tera ab kunal ke baad kaun sambhalega ....hume kaise pata kunal ke baad kaun hoga ? woh ek bachha ho sakta hai , ya shayad do ...hum abhi se kaise tey kar le ? Agar yeh sirf business ke haq ki baat hai toh uska faisla hum abhi se nahi le sakte, aur jahan tak property ki baat hai, sabko uske haq ka milega main tujhe vishvas dilata hun meenu " naanu again maintains a soft tone


Meenu takes naanu's hand and keeps on her head as in swearing on her " mere sar pe haath rakh ke kahiye ki maine koslu se zyada mehnat ki hai is ghar mein , business mein har tareeke mein ...kya meri ek ichha ka maan nahi ho sakta? Agar Maine zarurat se zyada diya hai is parivaar ko toh kya mujhe zarurat se zyada badle mein nahi mil sakta?"


"Bilkul ho sakti hai meenu , lekin phir us hisab se kunal ne bhi business sambhala hai , uski bhi saari ichchaon ka maan rakh le ?"


"Aapko ho kya gaya hai Bapuji ? Aap kyun nahi samajh rahe meri baat ......aapne ....aapne ichha ki ke atul ki shaadi ho toh hui na ...aapne jisse chaha usse hui , hum sab ki marzi jaanna zaruri nahi samjha , phir bhi aapki iccha puri hui , hum sab logo ne aapki baat maan li na .....toh phir ab jab main chahti hun meri iccha puri ho toh phir kya galat hai Bapuji?"


"Kyunki main jo kar raha hun voh iccha hai aur jo dusre kar rahe vo meri ichha ka sanmaan.....jo tu kar rahi hai woh zidd hai aur agar log teri zidd maante hai toh vo tere liye pyaar nahi hai , khud ke liye darr hai jo tune unke mann mein paida kiya hai " .....


meenu looks on astonished



"Zara in sab ke chehre dekh meenu ....kya chahti hai tu , kunal aur kuhu puri zindagi is darr ke saath jiyein ki kab tu usse phir se ehsaas dilayegi ki woh rajvansh nahi hai , aur rajvansh hona chahta hai toh koi aisa ehsaan kare hum pe ....
mishti ko dekh....kya woh poori zindagi is darr ke saath jiyein ki kab tu usse ek nakaabil aurat kahegi kyunki woh maa nahi ban sakti , kab usse tu abir se alag kar degi.....
abir ko dekh , kya woh poori zindagi is darr mein jiye ki kab koi nayi ichha tere dil mein ghar karegi, jisse pura karne ke liye pata nahi kise kya kya kar guzarna padh jaaye " ....the last lines make great impact on abir.....and he thinks on.



" Meenu , tu apni ichha rakh sakti hai lekin kisi ki ichhon ko daba ke...... unke mann mein darr paida kar ke....... unhe apne zidd ke dabbe mein bandh kar ke...... unhe jeete ji maar ke apni zindagi jeene ko nahi keh sakti .....insaan ko tabhi dabbe mein hona chahie jab woh mar chuka ho beta" ........



Jugnu starts clapping after hearing naanu's last sentence , others awkwardly look at him and meenu's kajal filled eyes are now on jugnu

"Aaaaa aa lagta hai bahar koi bhula raha hai mujhe .....aayaaa aayaaaa main ..." jignu runs away



" Meenu meri baat sun ....." naanu tries to pacify her but she leaves the hall without saying anything to anyone and goes straight towards her room leaving everyone in an awkward state....there is some pin drop silence now....


Kishmish whispers to atul " atul tune bataya nahi itna drama hota hai ghar mein , dailogues bhi itne dhaasu , vruksh, moti ka haar wah wah wah ispe toh gujarati picture banni chahie"

"Sshhhh zyada mat bolo kahin tumhara first day is ghar mein last day na ban jaaye "



BM breaks the silence " Mujhe aisa lagta hai ab hume chalna chahie...." BP too agrees ...

"Badi maa ek min ..I know jaisa socha tha vaisa nahi hua...maa naraaz hai lekin mera surprise...."

"Beta hume nahi lagta is waqt in sab baton ka waqt hai , hum kabhi phir ayenge....hmmm"



" Bade papa please, mujhe ....mujhe aisa lagta hai aaj agar Maine nahi kahan toh shayad pata nahi kyun....kabhi nahi keh paunga ..please ruk jaiye ....please "



"Vishambhar , abir sahi keh raha hai , meenu ka gussa thanda ho jayega , tum log ruk jao , abir ki baat sun lo "


"Theek hai ....bapuji "


"Okay cool , toh main bataun surprise kya hai ?"


"Okay so 1 ....2......3 ....." abir sees meenu coming down the stairs with her packed suitcase......."maaaaaa"


.

.

.

.

haha peeps what do you think , will meenu actually leave the house or it's a false alarm 😆...you never know expect the unexpected ..its 2020 and this year has proven that anything can happen
.we might get a meenu's udd chala moment now wait n watch ....hahahaha

Also next chapter onwards abir's surprises will be on reveal mode finally and we will see mishti's reaction on them one by one ....

.so stay tuned ....***Bus Ride coming up , will these love birds are the deepest pains in the heart atop a bus ****

Edited by Onyourface - 5 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".