" Main sach keh rahi hoon Anamika ji. Jhooth kyun bolungi main jab maine aapse khud aaj sham kahan tha main apni aage ki puri zindagi unn ke saath guzarna chahti hoon.? Pata nahi mujhse aisa kya hoga? Ya kya galti hogayi mujhse? Kuch pata nahi... Bas keh diya ke yeh rishta nahi chahiye unneh ab? Kyun kiya hoga unnoh ne aisa? Kyun? Aap toh unki aachi dost hona bataiye na kya galti hogayi mujhse? "....
I couldn't believe my ears.
Nahi Pooja tumse to koi galati nahi huyi hai. Aur Anmol to tumse bahut pyaar karta hai aur aj khud usne ye baat kahi mujhse. To achanak ye sab kaise ho gaya? Aur Anmol to tumse izhar v karnewala tha aj.
Jarur koi galatfehmi huyi hai. Tum rona band karo aur kal Anmol se baat karo. Mai rahungi sath aur agar koi gadbad huyi to mai khud Anmol se baat karungi.
Aur ek chij saaf saaf samajh lo. Anmol tumse bahut pyaar karta hai, to sochna v mat ki wo tumse dur ho jayega. Ab rona band karo aur muskurao kyuki kal tumhare aur Anmol ki aari galatfehmiya dur ho jayengi aur nayi zindagi ki suruat hogi.