Ani tries to answer kaka but bhidu interrupts, har baar dusro ke vishwas ke ooper hi prashn khade krne hote hai. tumhare soch tumhare vichaar sab sahi hai, baaki sab galat. barrister ho na, agar galat hai toh saabit karke dikhao.
Kaka: binoy! tum rehne do. yeh kya samjhenge paap punya. vilayati parda hai, par me manaunga devi maa ko... bahu ko padhane iss ghar me koi master nahi ayega. aur ise humara sujhaav nahi aadesh samajhna.
Ani: haan kaka-
Tri: Abbe pata hai! tum yeh kehna chahte ho na yeh devi ma ka prakop hai
Ani: nahi kaka, Me kehna chahta hu, hum man lete hai devi ma ka prakop hi hai par ab hume prakop ko dur kar dena chahiye na? uss aur kadam badhana chahiye, kyu?
(Binoy thinks yeh kya hogaya)
Ani: devi maa ki chunar bondita ke haathon phati hai na? toh bondita hi maa ke liye nayi chunar layegi. tum khud bazaar jaogi aur maa k chunar k sare saman laogi aur chunar waise hi banaogi jaise pehli thi. samjhi?
Kyu kaka?
Tri: Hann
Ani: suna bondita? huh, kaka galti jisne ki hai bhuktan bhi uski ko karna chahiye na
Tri: bilkul sahi, bahu tum ek kaam karo abhi isi vaqt bihaari ke sath bazaar jao aur chunari banane ki saman lekar aoo. me paise deta hu. yeh lo, 2 rupaye
Bon looks at Ani, he makes a cute face nodding.
Tri: aur suno waha bazaar me jake roshogulle khane mat lag jana. devi ma ki chunar ke liye sab badhiya samaan lana theek hai?
Bon thinks yeh barristera babu ne kaha phasa di mujhe. jane mujhe pareshaan krne ki ab kya nayi tarqeeb chal rahi hai inke dimaag me
Ani thinks ab sab samjhenge meri baat, shukriya BONDITA KI DUGGAMAA. Me saabit krke rahunga ki kyo zaruri hai padhai likhai bondita ke liye
Episode ends.