It's a week passed and nothing seems going well with my customs and principles in Mansion.
I called Pooja to my Room and locked the door.
Yeh ladki andhar aao aur darwaza band kardo.
Mmmm, Yeh lambe baal aur yeh khoobsurati hai na jisse tum sab pe jaadu chala thi pheer rahi ho? Kyun?
Tum kya karti ho aur kya nahi mujhe nahi jaana hai, samjhi.
Ab meri baat dhyaan se suno ladki.
Jo bhi ho ab tum Anmol ki biwi ho, shadi ki hai tumne puri reeti riwaj ke saath.
Yeh toh na main badal sakti hoon aur na tum.
Ab tum iss Ghar ki bahu bhi ho. Iss ke hisaab se Kuch kartavya hai tumhara iss ghar ke prati bhi aur Anmol ke.
Na kundali milayi aur na khandaan dekha, bas utha ke le aaya, nalayak ladka.
Theek hai jo hua so hua.kya kar sakte hai bhai.
Lekin ab aur nahi. Main apne ghar mein yunh rasmon aur maryada ka mazaak banane nahi dungi kisii ko.
Suno, agle hafte maine ek shudhi Pooja rakkhi hai.
Widhwa ho na tum ya bhool gayi, tumhara shudi karann toh Karna padega na.
Isiliye agle saat dinn tak tum Anmol se durr hi raho. Aisi koi harkaton mein mat uthar jaana jisse hum theek na kar paye.
Shudhi Pooja ke baad tumhein apna bahu ka farz bhi nibhana hoga aur ek biwi ka bhi.
Bahut hua tumhara yeh rona dhona.
Waise kya umar hai tumhari? Anmol ne bataya 19 hai. Toh kya hua, itni choti bhi nahi ho tum ke zimmedaari sambhal na sako.
Bas ab iss ghar ki bahu aur biwi dono kartavyon ko nibhane ke liye tayaar ho jao.
Koi likha chupi aur bahaane nahin chalenge tumhare.
Aur haan ek aur baat iss bare tum kisii se kuch nahi ka ho gi. Naa Anmol se aur na Abir se.
Yeh baatein yehi dafn kardo.
Abb jao yahan se.
Yaad rahein meri ek baat bhi bhul na mat.
Yeh ladki darwaza bann kar ke jaa.
Abb dekhte hai kya karta hai Anmol, gives a evil smile with heart.