Created

Last reply

Replies

752

Views

16.3k

Users

6

Likes

668

Frequent Posters

Veni-Vidi-Vici thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Sanam23

Nidhi Ji har paal mujhe aapki yaad aayi

Darr lagta tha Dr. Ashutosh na bana de mujhe aapka Bhai

Maine unki bahut gaaliyan Hain khaai

Aap mere liye national park se kuch nahi laayi

Jaaiye apne Pati ke paas

Wahi hai aapke liye khaas

Is baat ka ho jaayega aapko ehsaas

Rohan toh gadha hai charega ghaas

Ab aap nahi aati mujhe raas

Meri mummy bann gayi Hain Anji ki saas🤣


Jab choohe ko hi nikalna tha, toh kyun khudwaya pahad

Amar tere bhai ne diya hai mera suhag ujhaad

Bajarangi ne kiya hai apraadh

Main ho gayi hoon bilkul barbaad

Ab mere kheth mein koi nahi dalega khaadh

🤣

Veni-Vidi-Vici thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Sanam23

Toh kyun rakhe Hain aisa hathiyaar

Jisme nahi hai dhaar

Aap hi tarah hai aapki ghatiya car

Baap bete mein toh hoti hi hai takraar

Woh hai aapki jaydad ka haqdaar

Mallika ka bhi hai uspar adhikaar

Aapki Zindagi ho gayi bekaar

Aapko Kara Leni chahiye thi apni Chaako mein dhaar

Ab sab ho gaya bekaar

Aapki zindagi ka banta dhaar🤣

Lucknow ke paas hai barabanki ka town

Wahaan par hua tha mera shutter down

Ab chahe Nidhi saadi pehne, ya pehne gown

Main bana rahoonga circus ka clown

🤣

Sanam23 thumbnail
5th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Veni-Vidi-Vici

Janaki bai ne pata nahi Ashu ko khilayi hai kaun si jadi-booti

Kaash mein uss raat ko ghode bechke nahi sothi

Uske pyaar ki saari kasmein ho gayi jhoothi

Suit chhodkar Aajkal pehenne laga hai kurta aur dhothi

College me pilatha tha woh mujhe juice aur frooti

Ab usne Janki bai ko pehna di sagai ki angoothi

Le gayi mere pyaar ko woh kali kalooti

Dono saath mein aise dikhte hai jaise ho langoor aur kothi

Ab kaun saaf karega mere chappal, mere jooti

Main samajhti thi ki Nidhi thi mere liye chunauti

Par Janaki bai le aayi meri zindagi me panauti

Mere mehboob ab hai uske pati

Savdhani hati durghatna ghati


Written by Mallika Trehan.. Jo kabhi thi Ashu ki jaan.. Ab woh hai unke liye anjaan..


🤣

Lol🤣



Ab Ashu ke Ghar aane waala hai Naya mehmaan

Mera ho gaya bahut nuksaan

Bik gaya mera makaan

Ashu ko 3-3 affairs karke bhi nhi Hui thakaan

Pehle main

Phir Nidhi

Aur ab ye jaanki Bai

Ashutosh tumhe Zara bhi sharm nahi aayi

Tumhari wajah se hui KGH ki naak katayi

Ashu ab main aur Nidhi tumhari Zindagi se jaate Hain bye

Be happy with jaanki bai🤣

Sanam23 thumbnail
5th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Veni-Vidi-Vici


Jab choohe ko hi nikalna tha, toh kyun khudwaya pahad

Amar tere bhai ne diya hai mera suhag ujhaad

Bajarangi ne kiya hai apraadh

Main ho gayi hoon bilkul barbaad

Ab mere kheth mein koi nahi dalega khaadh

🤣

Khaadh mein hai milawat

Mere Dil mein hai kadwahat

Tune barbaad Kari Meri chahat

Tujhe ab lene nahi doongi rahat

Phir ho Bajrangi ya Amar

Tod doongi achche achchon ki kamar

Aa Chuka hai summer

Ashu they college ke late comer

Unhone sapne mein li thi SUV hummer

Nahi chalti thi unki doctari

Sadak pe aa Gaye they hum log as bhikari

Bajrangi aur Amar kyun tum🤣ne mere Pati ko goli maari

Veni-Vidi-Vici thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Buddhi godhi laal lagaam

Mallika Trehan ko ho gaya sardi - zukaam

Ashutosh Mathur tha pehle se uska ghulam

Iss baat se Nidhi ki neend hui thi haraam

Mal diya Ashu ne Mallika ke maathe pe 3-4 bottle Zandu balm

Phir bhi Mallika ko nahi mila aaram

Ashu ne kiya phir uske liye maid ka intezaam

Jo kar sake Mallika ke saare personal kaam

Maid ke aane se pehle hi aditya aur Suhasini ne kar diya Mallika ka kaam tamaam

Khoon ka laga diya Jagan pe ilzaam

Jagan bola, main Lucknow mein nahi tha, I was in Gurugram

Party kar raha tha wahaan, chalka raha tha jaam

Mere angane mein tumhara ka kaam

Dafa ho jao tum dono, nahi toh accha nahi hoga anjaam


Iss kavita ko padne waalon ko mera salaam

Thank you for appreciating my kalaam

Please bheja kijiye mujhe apne paigaam

Khush rahiye, abaad rahiye, khaate rahiye kaju, pista aur badaam

Independence day pe mere ghar bhej dijiye sweets weighing one kilogram

Nahin toh main samjhoonging meri koshish ho gayi hai nakaam

Araam kijiye aur lete rahiye Bhagwaan ka naam

🤣

Sanam23 thumbnail
5th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Veni-Vidi-Vici

Lucknow ke paas hai barabanki ka town

Wahaan par hua tha mera shutter down

Ab chahe Nidhi saadi pehne, ya pehne gown

Main bana rahoonga circus ka clown

🤣

Mere hair Hain brown

Nidhi ko pehnana chahta Hoon apne pyaar ka crown

Banegi woh Meri Raani

Shyama Aunty banengi Nani

Main banuga Nidhi ka Raja

Juice piyunga Taaja Taaja

Mujhme aayega Bal

Pata chalega Nidhi ko har pal

Ki kaise chalate Hain khet mein hal

Dono milke gaayenge

O saath chal...🤣

Veni-Vidi-Vici thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Sanam23

Mere hair Hain brown

Nidhi ko pehnana chahta Hoon apne pyaar ka crown

Banegi woh Meri Raani

Shyama Aunty banengi Nani

Main banuga Nidhi ka Raja

Juice piyunga Taaja Taaja

Mujhme aayega Bal

Pata chalega Nidhi ko har pal

Ki kaise chalate Hain khet mein hal

Dono milke gaayenge

O saath chal...🤣

Banne hi wala tha main Nidhi ka raja

Baraat mein tha zabardast band baja

Nachi Nidhi khol ke apne dil ka darwaza

Aaja Amar meri baahon mein samaa ja

Par mandap mein ho gaya ajab tamasha

Shadi rokne Aa gayi bachchon ke saath meri biwi Natasha

Pyaar ke exam mein pass hone ki rakhta tha main abhilasha

Na biwi hai saath mein aur na Nidhi, mere haath aayi sirf Nirasha

🤣

Edited by Veni-Vidi-Vici - 5 years ago
Sanam23 thumbnail
5th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Veni-Vidi-Vici

Buddhi godhi laal lagaam

Mallika Trehan ko ho gaya sardi - zukaam

Ashutosh Mathur tha pehle se uska ghulam

Iss baat se Nidhi ki neend hui thi haraam

Mal diya Ashu ne Mallika ke maathe pe 3-4 bottle Zandu balm

Phir bhi Mallika ko nahi mila aaram

Ashu ne kiya phir uske liye maid ka intezaam

Jo kar sake Mallika ke saare personal kaam

Maid ke aane se pehle hi aditya aur Suhasini ne kar diya Mallika ka kaam tamaam

Khoon ka laga diya Jagan pe ilzaam

Jagan bola, main Lucknow mein nahi tha, I was in Gurugram

Party kar raha tha wahaan, chalka raha tha jaam

Mere angane mein tumhara ka kaam

Dafa ho jao tum dono, nahi toh accha nahi hoga anjaam


Iss kavita ko padne waalon ko mera salaam

Thank you for appreciating my kalaam

Please bheja kijiye mujhe apne paigaam

Khush rahiye, abaad rahiye, khaate rahiye kaju, pista aur badaam

Independence day pe mere ghar bhej dijiye sweets weighing one kilogram

Nahin toh main samjhoonging meri koshish ho gayi hai nakaam

Araam kijiye aur lete rahiye Bhagwaan ka naam

🤣


Suhasini ne socha ki kyun na Kiya jaaye ek kaam

Ashutosh pe lagaya jaaye ilzaam

Uska naam ho jaayega badnaam

Nidhi ka bhi ho jaayega kaam tamaam

Phir hum dono karenge aish aur Araam

One kg mithai pe aadha Mera bhi hai naam

Dono milkar khayenge aur lenge uparwaale ka naam

Professor sahab kahenge ki kuch toh Karo kaam

Din bhar karti Hoon unka jeena haraam

Sanam23 thumbnail
5th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail
Posted: 5 years ago

Originally posted by: Veni-Vidi-Vici

Banne hi wala tha main Nidhi ka raja

Baraat mein tha zabardast band baja

Nachi Nidhi khol ke apne dil ka darwaza

Aaja Amar meri baahon mein samaa ja

Par mandap mein ho gaya ajab tamasha

Shadi rokne Aa gayi bachchon ke saath meri biwi Natasha

Pyaar ke exam mein pass hone ki rakhta tha main abhilasha

Na biwi hai saath mein aur na Nidhi, mere haath aayi sirf Nirasha

🤣

Nirasha ho ya Asha

Main bolounga pyaar ki bhasha

Warna ho jaayega tamasha

Saiyaan kaise samjhenge naino ki bhasha

Nidhi na sahi kaam Chala lunga main with

Natasha and Abhilasha🤣

Veni-Vidi-Vici thumbnail
13th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 2
Posted: 5 years ago

Nidhi ab Ashu ke ghar nahi chalegi teri manmani

Main bilkul nahi bardaasht kar sakti tumhari shaitani

Main hoon Ashu ki sacchi deewani

Aaj sunaoongi main tumhe ek khabar toofani

Yaad dilaoongi main tumhe apni naani

There is no titli in Ashu's story, sirf hai ek raja aur ek rani


Baaz aao apni harkato se nahi toh kara doongi teri badnami

Teri zindagi mein main laoongi tsunami

Mera bhai hai bada harami

Kara dega tere ghar ki neelami

Main hoon perfect, mujhme nahi hai koi khaami,

Isliye Ashu ne hai mere haat thami

Roz pilaoongi main unko doodh badami

Tu maan ya na maan, par aaj se hai Ashu tere mama aur main tumhari maami


Tumhari shadi ke sapne reh jayenge adhoori

Kyunki Baba ne kardi hai Ashu ke adoption ki formalities poori

Aaj se Ashu hai meri zimmedari

Unse banaye rakhna barah feet ki doori

Nahin toh tumpe main chala doongi chaku aur choori

Shadi kar li hai maine Ashu se, unhone bana di hai meri maang sindoori

Unki zindagi mein ab tum nahi ho zaroori

Jaldi jaldi khalo shadi ki mithayiyan aur kaka ke haath ki aloo aur poori

Warning de rahi hoon tumhe aakhri baari

Dafa ho jao meri nazaro se, baad mein math kehna maami tum ho badi kroori

🤣


Written by Mallika Ashutosh Mathur

Edited by Veni-Vidi-Vici - 5 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".