
Moments that changed our entire worldview and view on Indian Television
- Mishti and Kuhu exposing Ved on the wedding day.
- Mishti asking for courtship before marriage
- Mishti breaking her alliance with Kunal on the engagement day
- Bade Papa defending Mishti during gordhana, temple and then at party
Ab ye sab to tha sabke saamne hone vale moments, open me but kuch moments jo apni family ke andar hote hai , still special hote hai.. Aise sawaal jo uthne chahiye har ghar me.
1. Abir trying to make Kunal and Meenu realise the importance of a bahu and a partner in life but failing to do so.
2. Kunal, Abir and Ketki having special moment on day of wedding.
3. Kuhu baking cake for Mishti to apologize and Mishti buying Kuhu's favorite phone to gift her.
4. Nidhi confronting Ben Ba after Ved fiasco., questioning her motives and stance regarding family.
and many more..........
Mishbir ke liye to alfaaz bhi kam pad jate hai
Par fir bhi paragliding vala moment mere liye bahut special hai. As a fellow-over thinker and a pessimist(yes I am), that scene gave me hopes and strength to enjoy the moments in life the way they come. Problems ko upar se dekho to choti lagne lagti hai..The moment my heart decided to give time to this chulbula, happy guy Abir.-------------------------------------------------------------------Meen
Some fantastic moments that will remain in my heart forever:
"Kaun hai" "uparwale ne mujhe aapki problem solve karne bheja hai"
"Agar yahan se Bach Gaye na toh life Ko aur khud Ko ek dusra mauka zaroor Dena"
"Kya khoob Rab ne kiya...Bin maange itna diya.
Warna hai milta kahaan Hum kaafiron ko Khuda"
"Lekin ek Ghar Ko maa Laxmi aur maa Saraswati dono ki zaroorat Hoti hai"
"Tum mujhse really impressed ho ..hairan ho..saif Ali Khan ho...toh itna woww woww Kyun Kiya Jaa rahe ho'
"Suno ....kuch nahi ...jaooo"
"Samajh le teri bhabhi ka hai"
"Ghar jitni...simple sa sidha sadha Lekin bohot khoobsurat"
"Main sahi karna chahta Hun ...Mishti sahi Karti hai"
"Lekin nanu main jo bhi kar Raha Hun bohot galat kar Raha Hun" " pyaar galat nahi hota Abir waqt galat hota hai...aur waqt Badal Sakta hai...hum sab kuch sahi kar sakte hain"
"Jisse main pyaar karta Hun use society aur traditions bully nahi kar sakte...come on Mishti tum kisi k liye mat badalna" "main kisi k liye nahi Badlungi"
"Saari hadein maine meri, ab maine tod di
Dekar mujhe pataa awaargi ban gaye"
"Jab shaadi Hoti hai na Meenakshi ji to ladke Valon k ghar se kuch nahi jaata...ladki valo k ghar se toh Beti hi Chali jaati hai ...aap bhi apne pitah ki beti hai..aap to dikhai bhi de Rahi hai aur sunai bhi"
"Wife saathi Hoti hai...jo har raaste pe kadam milake aapke saath chalti hai...koi bedh Bakri nahi jisse jis raaste pe le jao vo chal padti hai"
"Is Chand ko is Raat Ko kal karenge yaad hum k is Lamhe main hue the Ishq main Barbaad hum"
"Hmmm...ab tich lag Rahi ho" "tum mujhe batane vale the na painting main kon hai" " actually Abhi sahi waqt nahi aaya hai"
"Lekin pata hai saari Love Stories starting main achi Hoti fun Hoti hai...Baad mein complications aate Hain..." " Lekin ye love story alag hai"
"Complications k darr se tum haar Maan logi?" " main toh yeh maanti Hun vahi hoga jo kismat main likha hoga"
"Beeti baaton Ko yaad kar kamzor mat ban beta...inhe apni taakat banale"
" Abir mujhe pasand karta hai...usne meri painting bnayi hai"
" Toh...itne khrab mausan main cyclone se ladkar tum mere peeche Kyun aayi...is baat ka jawab de do aur main tumhe Bata Dunga meri painting main kon hai"
"......ke jab main ankhein karta Hun mujhe toh mujhe sirf uska chehra dikhai deta hai..mere Dil ki har dhadkan sirf usi ka naam leti hai...mere kaano Ko sirf usi ki aawaz Sunai deti hai" " mujhe Abir se pyaar Ho Gaya hai"
"Tum galtiyan thodi Kam Kiya karo" " aur tum thodi zyada Kiya karo"
"Coffee kisi ka bhi code word ho Sakta hai"
"Tu is shaadi Ko apni love story ka launch pad Bana...I love you bol de" "I love you bolne se zyada main chahta Hun vo realise kare ke har pareshani main har problem main ...mein uske saath hum"
"Naam Rakha to zamane Ko khabar lag jaegi...mujhe Darr hai usko duniya ki Nazar lag jaegi"
"Haa haa sab aa Gaye hain ...bas Mishti didi nahi aai hai...jab tak vo aati hain aap thoda aur taiyaar ho lijiye"
"Pehchaante hi nahi ab log tanha mujhe
Meri nigaahon mein bhi hai dhoondte wo tujhe
Hum the dhoondhte jisey wo kami ban gaye
Tum mere ishq ki sar-zameen ban gaye"
" Tu khud soch kuhu agar maine tere pyaar ke liye Zameen aasmaan ek kar diya to main Apne pyaar k liye kya karungi"
" Mishti pyaar bohot kismat Valon Ko milta hai ..agar meri kismat main pyaar hai toh main use aise hi jaane nahi Dunga...main uski qurbani nahi dunga"
"Hasratein ab meri tumse hai jaa mili
Tum duaa ab meri aakhiri ban gaye
Haan hasi ban gaye
Haan nami ban gaye
Tum mere aasmaan
Meri zameen ban gaye"
Three characters that define yrhpk for me:
Abir- vo sahi karna chahta hai
Mishti- vo sahi Karti hai
Bade Papa- vo actually sahi hai!------------------------------------------------------------------------Uru/onyourface