mujh se tumhein kitna pyar hai
us ne kaha ke mujh se tumhein kitna pyar hai
main ne kaha sitaron ka koi shumaar hai
us ne kaha kaun tumhein hai bohat aziz
main ne kaha dil pe jisay ikhtiyaar hai
us ne kaha kaun sa tuhfa hai mann pasand
main ne kaha wo shaam jo ab tak udhaar hai
us ne kaha khizan mein mulaqaat ka jawaaz
main ne kaha qurb ka matlab bahaar hai
us ne kaha ke seinkdon gham zindagi mein hein
main ne kaha gham nahi, jab gham gusaar hai
us ne kaha mujh ko yaqeen aaey kis tarah
main ne kaha ke naam mera aitebaar hai
author; unknown đ