Pandaal mein TV ke saamne jatra lagi hui hai aur Jatin bola dekho Sameer Naina ka naam, taaliyan. ( kisi ne Arunaji ka naam dekho aur taaliyan na bola, afsos!)
N VO talking abt naam saath the isliye charcha thi ( arrey magar Sam ko hero dikhate aur N ko writer toh bhi utni hi charcha hoti na, VO ke liye kuchh bhi kahega)
N ko aaj bhi yaad hai Samaina ke naam hamesha saath the ( jaise roll no list mein, O P Q R ko skip karke Naina ke baad Sameer, Freshers ke board pe kai baar Su ko hatake N etc etc)
TV ke andar kaun baith ke baat kar rahe the ya khali khoka tha yeh CVs ne na bataya, saanvli ladki ki kahani aur Tanvi pe focus. ( achcha hua iska affair tha warna isey kitna bura lagta ki mere oopar story likh daali aur royalty bhi nahi di)
Epi khatam toh inka alag epi chalu, Arunaji ko bhar bhar ke maska lagate huye, arrey ab bass bhi karo, itni chaashni dekh ke yeh yahin na shift ho jaaye.
Rakesh aur GG ka alag hi world cup chal raha hai, ( aye saala abhi abhi hua yakeen, ek aag hai in mein kahin)
Next day,
ShuPree aa gaye, in ko gayab karne ka vishesh karan na pata chal saka, bujho toh jaane!
Idhar writer N ka fiction ko real samajhna aur boli meri saanvli ne ab tak sach ugal diya hoga na? Writer Sam ko bhi lagta hai ShuPree saanvli ka saath denge! But Arunaji ki baat bhul gaye ki utaar chadhav, drama ghusana padta hai taaki mann ko 'Shanti' mile.
Tanvi aa gayi chai lekar ( isse toh hamari Sameera bahu achchi, saath mein sabudaana bhi milta)
Mr.Economics ladka dehej mein kuchh nahi lega aur 'Saanvla & Lovely' cream ka bhi kharcha khud uthayega sunke khushh.
Idhar Aditya phad phad kar raha ki apun jaayega, apun bolega ( ja beta tu jaldi ja, aur ek epi mein khatam kar aur Mars pe HM ke liye bhi chale jao dono)
Rakesh ne sun liya aur Rakesh 1.0 ka roop dikha. Sam bola hum ne kuchh galat nahi kiya hai. ( Well N hum bole toh woh alag baat hai, par beta tu kyun hum bol raha hai, itna bhi main nahi hum karna aur apna crime share karvana achhi baat nahi)
R ko phir Samaina ki kahaani yaad aayi aur bola sab ke maa baap aake saamne samdhi samdhan gaayen aisa zaroori nahi.
Shubham aa gaya aur low budget filmon wali fighting jiss mein kuchh toot phoot nahi hoti bass awaaz hoti hai.
Shu ko lagta hai Adi ne dhoka diya dosti ke naam pe. Phir tame kam hai toh wahin khada raha taaki sab mana saken aur shaant kar saken.
Isi beech Preeti N se naaraz toh N ne bata diya main aayi thi, ( jaa ke puchh ghanti daadi se aur ghar ki deewaron se, Preeti said our ghanti daadi is dumb, our walls are deaf)
Mr. Economics said ki Economics ka E bhi nahi hai Adi mein toh Sam said Arunaji se baat ki hai, ek baar woh reject karde aur Adi ka real talent pehchan le ki yeh bahot achche se samose bech sakta hai toh apni HR skill use karke isey bhi kahin chipka degi aur kaam milta rahega.
Rakesh 2.0 wapas aa gaya, badhi ho aur Shu ko samjhane ki koshish.
aur end mein pata chala Veto power KZ ke paas hai.
Daakiya daak laaya ( din mein kitni baar aata hai waise yeh, sutron se pata chala hai Sejal ke pati ka MO aaya hai Himalaya se aur Moti ladki jo Mars ke circus mein job kar rahi hai uska letter. Shibani ko parathe khane ki job mili hai, usne Jatin se shikayat ki hai ki har show mein 40 parathe khane padte hain aur 2 shows ke beech mein itna kam time hota hai ki lunch karne ka time hi nahi dete)
Samaina ka discussion aur writer N ko aisi story likhni hai jiss mein zyada drama na ho ( koi thappad na ho, koi suicide na ho, koi breakup na ho).
Sam ne yaad dilaya ki hamari story toh ideal hai jab uss mein ho sakta hai toh phir baaki mein kyun nahi, aur bola KZ maan jaayegi kyunki tame bahot kam hai.
Sam ko marriage certificate ka chhupana bhi hai aur Aditya ko dena bhi hai, yee baat kuchh palle na padi, khair jab time kam ho toh aisa karna padta hai.
KZ ki duur ki nazar bahot mast hai ekdum kawwe ki tarah, marriage certificate lapak liya aur padh liya,Tanvi ko thappad pada aur jaan chhuti hamari.
Precap... Aditya langdi khelte huye aur Sam Jatin, dhundu, Irani chai wale , raddi wale bhaiya,daakiya etc etc see male langdi team ban gayi. female langdi team ka wait karte hain phir competition hoga, Naah na woh un dinon ki baat thi, abhi ek epi mein nipta denge.
P. S... What is this with S2? Are they going to start new story with same actors? Waise iss type ke S2 mujhe kabhi raas na aaye, let's see.