Part 9
Rathore sighed: sahi keh rahe ho tum, iske ilawa aur kuch nahi kar sakte. Jo bhi hoga, dekha jaayega………………………
High Court-
Two days had passes in the blink of one’s eye. Arjun and Riya had had zero contact with the team or his family. In the corridor of court room no 8, the whole lot was talking in the corner.
Rathore: humari taraf se public prosecutor Jayesh Khurana case lad rahe hai par humari unse kuch khaas baat nahi hui hai, in fact surprisingly, unhone humse koi zyaada sawaal bhi nahi puche. I have no idea ki woh kya present karne waale hai
Ravindra: jo bhi karega, hum uske liye taiyaar hai
Vikram: Ravindra, meri beti aaj baahar honi chahiye!
Ravindra: of course
Suryakant: aur ek aur baat agar
He stopped midway as his eyes fell on Arjun and Riya who entered the premises just then. All eyes turned to the direction. The couple had noticed them too. Arjun looked at his mother, trying to non-verbally communicate with her. Shweta looked away. Her heart sank for behaving in such a manner but she had no option. Arjun swallowed the lump in his throat and firmed himself. If this was the way it was going to be then so be it, he would get used to it….eventually.
Just then, the case was announced from inside and they all went in. Vikram, Suryakant and Shweta sat on one side while the ETF sat on the other. Riya slipped beside Shree. Shree looked at her questioningly. She blinked her eyes and assured him. Arjun took his seat beside her. The judge arrived and the proceedings started with the tap of his hammer.
Jayesh: your honor, Mrs Roshni Rawte shehar ke jaane maane industrialist Vikram Shekhawat ki beti hai aur dusre jaane-maane industrialist Suryakant Rawte ki bahu hai. lekin jaise har status aur power ke peeche ki kahani dusro ko apne pairon tale kuchal se shuru hoti hai waise hi Roshni ki kahani ka bhi ek un-suna kissa hai. woh ek underworld don hai jise sab log Sikandar ke naam se jaante hai jo drugs aur trafficking ki duniya par raaj karta hai
Ravindra: your honor, mere client par lage saare allegations baseless hai, agar prosecution ke paas saboot ho toh woh use pesh kare, ye sirf mere client ko badnaam karne ke liye kiya gaya hai.
Jayesh: saboot hai your honor aur aisa saboot hai jise dekhte hi adalaat apna faisla suna degi. Ye kahani tab shuru hui jab Mrs Roshni ke pati ACP Arjun Rawte ko kuch din pehle ye pata chala ki koi unka peecha kar raha hai. Ek hotel mein Sikandar yaani Mrs Roshni ki ek deal hone waali thi, jab unhe pata chala ki ACP Arjun usi resort mein case ke liye jaa rahe hai toh unhone unke kamre mein bug lagaya taaki agar us deal ki bhanak unhe lage toh woh uska precaution le sake. Unfortunately, woh bug aur uski audio clip police ke haath na lage isliye destroy kar di gayi thi. Lekin! Jis waiter ko aisa karne ke liye paise diye gaye the uski investigation mein ek naam saamne aaya….Altaf, jiska ek lamba-chauda criminal record hai. Aur Altaf se woh aage kaise pahunche ye batane ke liye main adalaat se darkhwaast karunga ki mujhe ek video dikhane ki anumati mile
Ravindra(shocked): objection your honor! Is saboot ki defence ko koi jaankaari nahi di gayi hai
Jayesh: your honor, defendant bahot influential hai hum nahi chahte the ki iski wajah se koi chedkaani ho agar defence chahe toh humare saboot present karne ke baad use study kar agli tareekh ki maang kar sakti hai, hume koi problem nahi hai
The Judge nodded: overruled! Permission granted.
Jayesh: thank you your honor!
He gave a pen drive to the junior council and gestured him to play it. A screen was setup. The room was darkened. The white cloth flashed to life.
Someone was in a stationary car adjusting the camera. A male voice from off the view sounded.
Male: Riya kya kar rahi ho? Itna taiyaar hone ki zaroorat nahi hai tumhe, Altaf tumhe dekhkar hi flat ho jaayega
Riya turned to him: woh toh mujhe bhi pata hai lekin agar nahi hongi aur use shak hogaya toh? Ab woh sab chodiye aur suniye, aap please nazar rakhne ke chakkar mein dikh mat jaana aur agar Altaf mujhe kahi aur le jaaye toh peecha mat karna
Arjun: Riya tum paagal ho gayi ho? Tumhe pata hai woh admi kitna khatarnaak hai? woh Pathan ka khaas admi hai aur Pathan Sikandar ka right hand hai!!
Riya: mujhe pata hai, lekin agar aapne humara peecha kiya toh use shak ho jaayega aur Sikandar humare haath se nikal jaayega
Arjun: lekin…
Riya: aap use pakadna chahte hai ya nahi?
Arjun: main use pakadna chahta hu lekin is tarah Tumhari Jaan Khatre Mein Daal Kar Nahi!!
Riya: officer main bhi hun, agar kuch bhi hua toh main aapko contact kar lungi
Arjun: kaise karogi? Phone bhi lekar nahi jaa rahi ho!!
Riya: aap sirf Shivangi ke baare mein sochiye baakhi sab mujh par chod dijiye
Arjun: Riya tum mujhe emotionally blackmail mat karo!!
Riya: main aapko practically blackmail kar rahi hu, hume aisa mauka shayad dobara na mile aur thoda risk toh uthana padega na?
Arjun sighed: fine! But be careful (muttering) I hate this plan!
Riya: I will
She got out of the car and walked ahead. She turned at the corner. It was broad daylight yet a few prostitutes were standing outside a cheap lodge waiting for their customers. Riya mingled in between. Sometime later, a jeep with drunk men fooling around stopped over there. Riya instantly recognized Altaf who was their leader. The girls started flirting with the men. Altaf was busy playing with two of them when his eyes fell on Riya who was staring back at him. He eyed her from top to bottom and smirked.
Leaving the two girls he walked upto her. Placing a hand on the wall behind her, he leaned.
Altaf: kya re? bahot kama li ek din ke liye?
Riya gave him a smug smile: mujhe tere jaisi choti parties mein interest nahi hai, jeb mein paise hai bhi ya fir aise hi chal pada chokri dhundhne?
She turned away and started walking in the opposite direction. Altaf grabbed her by the waist and pulled her to him.
Altaf: acha? Bahot par hai re tere?
Riya: kya kare? Mehengayi ka zamana hai, kuch hazaar ki chillar se toh Guzara hone se raha
Altaf: badi party chahiye na tujhe? Chal tu! Dikhata hu tujhe badi party kya hoti hai, note ginte-ginte nahi thaki toh mera naam bhi Altaf nahi!!!
He held and pulled her along to his jeep. He made her sit inside and turned to his men.
Altaf: oye! Tum logon ka ho jaaye toh khud aa jaana, is kabutar ko udaane mein time jaayega
His men laughed and hooted, encouraging him to take her away. They did a kind of mock salute ritual and Altaf sped off taking Riya to an unknown destination. Around 20 minutes later they stopped in front of a dilapidated house. Riya made a face as they got down.
Riya: ye tera mahel hai? teri nazar kamzor ho gayi ho toh bata du ise jhopdi kehte hai
Altaf smirked: woh toh tujhe andar jaane ke baad pata chal hi jaayega.
He grabbed her wrist and took her inside trying to grope her all the way. Just as they entered a voice sharply scolded him.
Man: Altaf!
Altaf looked up in surprise. Pathan Lala along with three other were inside.
Altaf: are bhai aap kab aaye?
Pathan: jab tu is chokri ke saath gulcharre uda raha tha
Altaf: kya bhai, savere-savere kyun mood ka satyanaash kar rahe ho?
Pathan: Bevkuf! Sikandar Bhai Tak Parcel Pahunchana Hai Woh Bhi Abhi!
Altaf(disheartened): abhi?
Pathan: ha woh baahar jaa rahe hai, (taking a brown packet from his man and handing it to him) ek ghante ke andar adde par jaa aur unhe parcel pahuncha de, Rafiq intezaar kar raha hai warna woh tujhe aur mujhe dono ko upar pahuncha denge
Altaf: aap hi kyun nahi de aate?
Pathan: mujhe dusri deal karne jaana hai, tu parcel pahuncha! Zyaada Sawaal Mat Kar!
He walked outside and his men followed.
Pathan(from the door): aur sun! chokri achi hai, pakad ke rakh, tera ho jaaye toh humare yaha bhi bhijwa dena
Altaf: kyun nahi bhai?
Riya: oh bhai saab, main…
Altaf shut her up by placing his hand on her mouth: bhai main bhej dunga, aap fikar mat karo
Pathan glared at Riya: theek hai
He left. Riya shoved away Altaf’s hand.
Riya: oye C grade film ke 4th class villain, main kahi nahi jaanewaali samjhe! Main dalaalon ke saath kaam nahi karti
Altaf: abe chup! Baad ki baad dekhenge! Pehle mujhe jaana padega, tu yahi ruk!
Riya: main kyun ruku? Chup-chap paise nikaal aur kalti pakad
Altaf: hey bhagwan tu…ruk!
He went inside and got two bundles of 500 rupees notes and presented it to her. Riya tried to take them but he pulled away.
Altaf: rukegi toh iske double milenge
Riya squinted: sach?
Altaf: sach aur agar bhai ke paas gayi toh teen guna
Riya(happily) : toh mujhe koi problem nahi hai tu jaa, jaha jaana hai jaa, waise jaa kaha raha hai?
Altaf: are woh sab mat puch main bas yu gaya aur yu aaya
He turned to leave.
Riya(firmly): Altaf!
Altaf: ha?
Riya stepped forward and before he could realize a kick landed between his legs doubling him over in pain. He groaned as he lay on the floor.
Riya: Sikandar kaha hai
Altaf(howling in pain): kaun…kaun hai tu?
Riya kicked him again: Sikandar kaha hai?
Altaf(wincing): mujhe nahi pata
Riya: theek hai
She grabbed him by the collar and started beating him asking the same question till finally Altaf gave up.
Altaf(weakly): batata hu…batata hu….woh Sikandar…bhai…Dockyard…ke godown no. 3 mein hai
Riya removed his cell phone and searched through the contacts. She messaged Rafiq posing as Altaf.
Riya-bhai, Sikandar bhai ka parcel lekar Munni ko bhej raha hu, nayi member hai aur bharosemand bhi, aap befikar rahiye
Altaf recuperated a little. He tried to swipe at Riya’s leg to make her fall but Riya saw what was coming and stamped his foot with her heel.
Altaf: AAAAHHH!!!
Riya gave him another kick and tied him up for safety purposes with a gag making sure that he would not be able to shout. She hit his head with a showpiece and made him unconscious. The phone pinged with a reply.
Rafiq-theek hai, lekin jaldi bhej!
Riya quickly dialled Arjun’s number.
Riya: sir! Sikandar dockyard ke godown no. 3 mein hai. humare paas waqt bahot kam hai woh ek ghante mein kahi jaane waale hai shayad desh ke baahar ya fir deal puri karne
Arjun: Riya, main back up lekar pahunchta hun tum mujhe wahi milo!
Riya: main unhe tab tak delay karne ki koshish karti hu
Arjun: theek hai but be careful!
Riya: I will!
Call disconnect.
Making sure Altaf was secure, she picked up the parcel and rushed out.
Dockyard,
godown no 3-
Sikandar’s men were guarding the place. They let her in after a frisking. Rafiq was waiting there for her.
Rafiq: tu Munni hai?
Riya: ha (giving him the parcel) ye lo
Rafiq took the parcel from her hand and opened it. It was filled with satchels of an expensive drug. The brown paper bag alone was worth lakhs. Just then a figure entered from the interiors.
Voice: Rafiq Parcel Aaya Ya Nahi?!?! Us Pathan Ko…
Riya was startled at the female voice.
Rafiq: are Sikandar parcel aa gaya hai
She came into the light and stopped seeing the girl. The ground swept away from beneath Riya’s feet.
Riya(shell-shocked): Roshni!?!...............................
577