~Yeh Akshat Miya ko Guddan ne kitna apna deewana banaya,
Kal tha ghadi ko zariya banaya, toh aaj pallu ko decorations me phasaya.
~Rokne ki liye biwi ka pallu phasaya toh phasaya,
Par hota thoda toh anumaan sahi lagaya.
~Arre Janab thoda toh dimaag lagaya hota,
Pallu ko inte upar ke bajaye thoda neeche phasaya hota.
~Khair chodiye Miya, jo aap se yeh nahi ho paya,
Achhi thi kismat, ki bholi bhali Gudiya ko kuch samajh nhi aaya.
~Agar aaya hota, toh unke taraf se sawaalon ke bauchaar ho jate,
Guddiya ke khoobsurati mein madhosh, aapke toh hoth hi sil jate.
~Galti nahi thi aapki isme, woh lag rahi thi Itni khubsoorat,
Waqt thoda aur guzarna chahe unke saath, har insan-wali murat.
~Tha aapne biwi ka anchal thamna,bahut pehle shuru kar diya,
Par maa ke kehne par Iss baat ko ab gaath bandh liya.
~Aapki yehi adda hamare mann ko moh jate hain,
Guddiya aur Aapke pyaar bhare lamhon mein hum yu hi kho jate hain.