https://www.youtube.com/watch?v=9ZLTx6z5a-s
https://www.youtube.com/watch?v=KXddUObqizQ WU OF FIRST LINK:-
Zee tv serial guddan tumse na ho payega Dadi thinks guddan is trying to suicide Ghar mein saara saman chori ho chuka hai .. wahi guddan julla bandane ki koshish mein judi hai. Waha pochoch jaati hai daadi aur guddan ko dekhkar unhe lagta hai ki guddan suicide karni ki koshish kar rahi hai. Joh ki bass julla lagane ki koshish mein lagi padi thi. Toh phir bass daadi ki falatfemi mein pad jaati hai guddan problem mein. Guddan ke haat mein faasi ka fanda dekhkar daadi daar jaati hai aur unhe gussa bhi aajata hai aur woh guddan ko chillati hai aur guddan ghabara jaati hai aur upar se niche gir jaati hai.
WU OF SECOND LINK:-
Zee tv serial guddan tumse na ho payega mein aaj kaafi naraj hai AJ guddan se. Ye baat alag hai ki woh humesha se hi guddan se naraz hote hai. Par aaj baat unki pehle patni ki bhi hai. Narazgi mein woh guddan pe kaafi inzaam lagate hai. Darasal baat aayi hai guddan ko mangalsutra pehnane ki. Ghar mein se saara saman chori ho chuka hai. Aur guddan ke gale ka mangalsutra bhi. Dadi dekhti hai ki guddan ke gale mein mangalsutra bhi nahi hai isleye woh apne lallu se kehke naya mangal sutra lane kehti hai. Joh AJ leke aata hai par jab dadi AJ ko kehti hai guddan ko mangalsutra pehnane tab AJ gussa ho jaata hai aur kehta hai ki guddan ne fasake ye shaadi ki hai. Paison ke laalach mein aake ye shaadi ki hai. Mere liye ye shaadi ek majboori ke alawa kuch nahi hai. Aur unke liye antara yani ki unki pehli patni hi unka pyaar hai. Ye sunkar guddan ko kaafi bura lagta hai aur woh waha se chali jaati hai. Well AJ ne toh kaha hai ki ye shaadi unke liye majboori thi par AJ ne aaj tak guddan ko bhi kaafi support kiya hai. Gundon se bhi bachaya hai. Ab dekhte hai unke beech pyaar kab dikhkega. Pyaar ka pehla kadam Dosti jisse hum kehte hai woh bhi door door tak dikhayi nahi deti guddan aur AJ ke beech. Ye kahani hume aage kaha lekar jaati hai ye toh waqt hi batayega.
WU Credit :- Telly Trendz
Edited by gingle - 6 years ago