hii friends aaj ki ye meri dusri post hai i know thoda jayada active ho gayi hu...but i request each and every member iss forum ke pls apne view share kijiye taki hum jayada active ho sake...and ye best drama ko aur TRP mil sake to pls sare log uske television pe telecast ke time dekhna ki try kare...hum sabko iss forum me jyada active hone ki jarurat hai...hum logo ne kya Adhiraj and Devi ka koi couple name banaya hai kya...jitne talent writer hai vo apne story likhe aur iss forum me share kare...i hope ke hum jayada active ho sake and try kare ke hum uske telecast time pe hi dekhe...
first time mene jab iss drama ke promos dekhe the tab muje bilkul interest nahi hua tha kyunki shayad uske promos itne interesting nahi lage the...ek din aese hi surfing karte time iska ek episode dekha and i feel ke awesome episodes hai uske baad mene OZEE pe previous i think 5-6 episodes jo mene nahi dekhe the vo dekhe and than my journey start with Jeet Gayi to piya more...i feel ke channel ne promos jayada hi harsh and negetive bana diye the uatna negative content nahi tha starting me...and specially name shayad kuch aur rakhte jayada viewers attracted hote i feel...acche actors bhi USP hai iss drama ki and acchi storyline hai i know ke unique concept nahi hai but acche se explain kiya hai...strong plot hai drama ka and i hope maker iss point ko kabhi na loose kare
Adhiraj and Devi ki chemistry bhi bahot acchi hai...Adhiraj is layered character not one dimension character ye bhi acchi baat hai same Devi ke liye bhi yahi same baat hai...Adhiraj as Krip suri perfect choice and Yesha as Devi bhi perfect choice hai...
Adhiraj ki ek strong personality hai and same devi ki bhi ...Adhiraj ke bahot sari acchi side bhi same time usme flaws bhi hai that's good usko human hi dikhaya hai...Adhiraj dusre male lead se alag hai ke uski mom kuch bhi bolegi vo sab kuch nahi man lega apna dimag bhi use karega...some time jo situation hai jisne uski mom ki planned kari ho aur vo side vo janta hi nahi hai usme trap ho jayega..but bahot baar masa ke provoke karne ke bad bhi Adhi ne apna dimag use karke decision liue hai uski ye sabse best baat hai...i feel ke some time Adhiraj ka character jayada emotional ho jata hai uske masa ke point me to vo bhi justify hai ke single perents hai uski masa and ofcourse Masa ne bahot sacrifices kiye hoge so jayada attach hoga vo naturally hai...Adhiraj sabse youngest sibling hone ke baad bhi bahot mature hai..so i like Adiraj strong personality...
Devi bhi bahot strong character hai same time smart bhi but some time over confident bhi...abhi Devi ko jayada acche se Game khelna nahi aata i hope ke future me thoda improve hoo aur itni aasani se trap na ho...Devi jab trap ho jayegi tabhi hi vo plan samaj paayegi usse pahele usse koi idea nahi hota..i think Devi ka emotion hai jo Adhiraj ki side vo shayad issi liye hai ki usne kabhi soha hi nahi tha ke gussel Adhiraj bhi caring and accha human beign hai...but same time Masa ke samne usne apni feeling bhi bahot baar expose kar di par jisse kahena tha usse nahi kaha...so i hope ke maker Devi me thoda aur improvement dikhaye..
Masa bhi strong character hai and usse apne aas pass ke logo ki weakness baot acche se pata hai and strength bhi...aur vo issi baat ka fayada uthati hai...konse payade ko kab use karna hai vo acche se janti hai but same time usse Devi strong hai vo bhi pata hai and Adhiraj ko uspe felling hone lagi hai vo bhi pata chal gaya so Devi ko raste se hatane me bahot insecure bhi ho gayi...looking forward to Grey masa not Black masa
i hope ke maker history hai jo family ki usse justify kar sake and kesar and sharad ki story ko bhi acche se handle kar sake...itne traditional family me Gay hona vo na to accept karna easy hai nato uska solution lana so ithink jo Devi iss family ka hissa hai vo inn logo me thoda broad perspective layegi and samjayegi ke Kesar ki life spoil karne ka koi matlab nahi hai...kesar bahot hi acchi hai aur usse happy rahena utna hi haq hai...elder bete ki kya story hai vo bhi pata nahi hai...i m surprised ke masa ke dono bete ki shadi kuch acchi nahi chali nato usse koi child hai to usse Adhiraj and Devi ki acchi chale marriage and usse khushi aaye gharme usme kuch kyu intrest nahi hai...Devi ka to koi qusoor tha hi nahi jo bhi hua usme...looking forward to cute and understanding bond Adiraj and devi ka and uske bad unki love story and side story bhi..chalo friends meri request hai ke ye drama uske telecast time pe dekhne ko try kare and more active hone ki bhi..keep rocking Yesha and Krip.