PICS CREDIT : Twitter
Rikara making me want to write something nowadays... here I go...
Tumhari nam aankhon se behte aansu ke
nishan mitaane chala aaya hun mein...
Tumhaare dil ko diye gehre zakhmon Ki
dawa karne chala aaya hun mein...
Daghabaaz dil tanha mujhe chodkar chal diya Tumhaare sang
Iss baat ka tumse badla lene tum tak chala aaya hun mein...
Mere dil ko mujhse churaane ki yehi saza hai sunlo
ke tumse Tumhara hi dil churaane chala aaya hun mein...
Rooth kar mujhse mujhe adhoora chod gayi tum
Khudpasand hun ke khud ko poora karne yahan tak chala aaya hun mein...
Iraada karke Aaya hun iss baar toh mein sanam
Manaake tujhko lejaane MUMBAI se BAREILLY chala aaya hun mein...
Zindagi ke safar mein tujhko humsafar banane
dekh sanam ke kahan se kahan tak chala aaya hun mein...
Jo karne se darta tha hamesha
wo kaam karne chala aaya hun mein..
Kayi dafa toote iss dil ko wapas judne Ki ummeed mein
TERE naam karne itni door tak chala aaya hun mein...
Apne ko Apna banane
Apnon ko chodke chala aaya hun mein...
Chala aaya hun mein...
❤️