Moments... kaya forever...
Kabeer aur ananya ki shadi ko 6 sal ho chuke hai... is beech inki life me bahut se utaar chadaav aye hai... aur inhone apne pyar aur
vishwaas se un sabhi achhi aur buri cheezo ka saamna kia... in 6 salon me bahut kuchh badal gaya... almost pura kkn ab yahan loge kkn
ya khalid ya kabeer ke liye nahi balki apni family ke liye kaam karte hai... richa ki shadi daljeet se ho gayii jo ki ronnie ka look alike hai...
and they are happily married.. baby aur sunny bhi apni life me khush hai... richa aur daljeet ko ek beta hai... to baby aur sunny ko ek
beti... khalid aaj bhi bachelore hai... malvika wapas aa gayi hai... aur manav sach me malvika se pyar karta hai... inki shadi bhi ho gayi
hai... but still abhi malvika baby ke liye ready nahi hai... Tarini aaj bhi anurag ke liye jeeti hai... aur kabeer ki kosiso ki wajah se finally ab
anurag apne pairo pe chal sakta hai... aur ab bada ho chuka hai... baat jahan aati hai... anitaji aur armaan ki toh ab armaan ne bhi news
channel join kar lia hai... but not kkn,,,, wo kabeer ki tarah banna chahta hai... isiliye usne suruaat bhi kabeer ki tarah ki hai... chhote ster
se... kabeer chahta tha ki anita ji aur arman uske sath uske ghar pe rahe... par anitaji nahi mani... kyuki unki apne ghar se bahut si yaade
judi hai... but kabeer ananya her weekend pe anita ji se milne jate hai... aur sab achha time spend karte hai... in 6 saalon me ek bahut
achhi bat kaya ki life me hui hai... wo hai kanya... ha kanya kabeer aur ananya ki 5 sal ki beti... jisme jaan basti hai dono ki...
ananya ne kuchh dino ke liye leave le rakhi hai... as wo thoda break chahti thi... aur ab KKN ke business head ki biwi hai... use kaun rok
sakta tha... so madam is samay pura time kanya ko deti hai...
18 november 2016...
Kanya ko school se ghar laane ke baad Ananya apne daily routine ke kaam me lag jati hai... thodi der bar Kanya dekhti hai ki Ananya
apne phone pe busy hai... aur has rahi hai... Kanya jo ki apni mumma se jyada smart hai... wo samajh gayi ki Ananya apni ravan sena se
baat kar rahi hai... means chat... Ananya ki ravan sena koi aur nahi balki KKn ka staff hai... kumbhkaran ha ha ha...
Kanya:- mumma... yeh aap kya kar rahe ho...?
Ananya :- kuchh nahi bachha... just talking to my frnds... aur kuchh logon ki akal bhi thikaane laga rahi hu...
Kanya:- oh u r talking to ur ravan sena...?
Ananya :- yes bachha...
Kanya:- aap has kyun rahe ho...? kisi ne joke mara kya...
Ananya :- ab kya bataun baby... wahan na kuchh tujhse bhi chhote hai... fetal type... unme se hi ek fetal baby ko kuchh samjha rahi
thi... jo kad me bada ho gaya hai... but... ha ha ha...
Kanya :- means sunny uncle...
Ananya:- yes... u r very smart...
Kanya:- wo to main hu hi papa ki princess... achha akal kyun thikaane laga rahi ho... aur waise aap to office gaye nahi unhe to kaam
karne do... papa ko bataun ki aap unke staff ko bigaad rahe ho...
ananya:- chup papa ki chamchi... aur main koi bigaad nahi rahi hun... ulta aapke papa ne unke naak me dam karke rakha hai... itna kaam
jo karate hai... aur woh hi tumhare papa ke sikayat kar rahe hai... bechara sunny...
Kanya:- wait - wait... main papa ko sab bataungi...
ananya:- bata dena main nahi darti tumhare papa se... aur waise bhi mera un par bahut dimaag kharab hai... aaj kal meri to unhe parwaah
hi nahi hai... jab dekho kaam kaam kaam... ahh... i m fed up... yeh nahi ki kal humari anniversary hai to leave lele aur kuchh time sath
bitaaye par nahi... ab to mujhe lagne laga hai ki unhe mujhme koi interest hi nahi bacha hai...
Kanya:- kya mumma... overacting karna band karo...
ananya:- what... tu tu ja yahan se... tu bhi unse mili hui hai...
Kanya:- kya mumma chhoti - chhti baat pe chhid jati ho.. papa sahi kehte hai... aap to mujhse bhi chhoti ho... (ananya muh fula kar baithi
thi...).. achha mumma kal to special wala day hai na... kal kya hoga...
Ananya :- kya hoga matalab...?
Kanya:- are mumma... kal aapka aur papa ka special day hai na... to kal to kuchh khash hona chahiye... some thing different...
Ananya :- are aisa kuchh nahi hoga... roz ki tarah aapke papa office chale jayeinge... aur main kam yahan yeh sochti rahungi ki kash
kabeer ko yaad ho ki humari wedding anniversary hai... you know bachha... aapke papa badal gaye hai... he doesnt love me anymore... (
Kanya kuchh sochti hai...)... kya hua... kya soch rahi ho... achha chalo jaao aur apna home work complete karo... thodi der baad main
aakar lesson karati hu...
Kanya:- aap papa ke sath hi kal rahoge na...?
Ananya :- are tumahre papa ke pass mere liye time hi kaha hai...
Kanya:- are aise kaise nahi hai... aap mere papa ki heroine ho... jaise woh movie me hero heroin ki ko surprize deta hai... waisa kuchh
hoga...
Ananya :- aisa kuchh nahi hai... real life aur films me jameen aasmaan ka fark hota hai...
Kanya:- achha lagi shart... kal papa aapke liye kuchh special karenge...
Ananya :- achha nahi kia toh...?
Kanya:- toh fir kal se meri koi shikayat aapke pass nahi aayegi...
Ananya :- ok lagi... tumhare wo boring papa aywai hai...
Kanya:- lekin kal aapko wo sab karna hoga... ho hum aapko karne ko kahenge... promise first...
Ananya :- aisa kya karwane wali hai mujhse...?
Kanya:- dont worry pahaad nahi khodna hoga aapko... just promise na,,,,,
Ananya :- ok baba promise...
Kanya:-mumma aapka koi dream nahi hai.. apni wedding anniversary ka...
Ananya :- are tumhari sui wahi ataki hai... kuchh nahi hai meri ma... ab chal... ( Ananya Kanya ko home work ke liye bitha deti hai... aur
apne kam me busy ho jati hai... par humari sweetu si Kanya ka khurafati dimaag kuchh soch raha tha... bas ab wo apne papa ke aane ka
wait kar rahi thi...finally Kabeer aata hai... )...
kabeer:- are wah... kya baat hai... aaj princess itani shant baith kar home work kar rahi hai... kya chahiye... (kanya shedhe jakar kabeer ki
lap me baith jati hai...)
kanya:- are main aapki princess hu... i love u... so m following ur orders...
kabeer :- oh really... let me see... kya chahiye...
kanya:- aise nahi... kaan laao...
kabeer:- kya...?
kanya:- are... (aur kanya use apni ore pull kar ke kaan me kuchh bolti hai...)...
kabeer:- hmm... to yeh baat hai... kal no office... (both hi fives)...
**************************************************
19 november 2016...
Ananya raat ko der se soi... apni ravan sena se baat karne aur aur use ek lead bhi mili hai... so usi ki serch me busy thi... google baba ki
help se... subah jab uthi toh unhe kuchh azeeb si awaaj sunaai di... wo awaaj kitchen se aa rahi thi... Ananya hairaan hokar kar kitchen
me gayi to dekha ki Kabeer chai bana raha tha,,,, bagal me sandwich bana rakha tha... aur Kanya bagal ke counter top me baithi Kabeer
ko instruction de rahi thi... dono hi bahut khush the...
Ananya :- are aap yeh sab kyun kar rahe hai... main hun na... kar dungi,... hatiye aap...
kabeer;- are rani sahiba... aap toh roz humare liye yeh sab karti hai... aaj hum aap ke liye nahi kar sakte kya...
Ananya kabeer ke jath se karchhi lete hue ;- are rehne dijiye... main kar lungi...
kabeer :- Kanya princess... ( Kanya smile ke sath apne dono aankhon me hath rakh leti hai... aur Kabeer Ananya ki waist pe hath rakh
kar unhe apni ore pull karta hai... Ananya ek minute ke liye shocked ho gayi ki workoholic Kabeer ko kya ho gaya,,,,,)
Ananya :- yeh aap...
kabeer:- aap - aap kya ha... kyaa aap bhool gayi ki aaj ke din humari sadi hui thi,,,,, 6 saal pehle aaj ke din hi aap humare is ghar me... is
ghar ki malkin aur humari malkin babkar aayi thi... humari patni ban kar aayi thi... to Mrs ananya kabeer sharma... wish u a very happy
marriage anniversary... ( he gave a small peck on her lips... n she blushed...) princess ab aap aankh khol sakte ho...
Kanya:- uff thank god mujhe laga tha ki main so hi jaungi...
kabeer:- kya hua... aise kya khadi ho... apne pati ko anniversary wish nahi karogi...
Kanya:- ha mumma... aap papa ko wish nahi karoge...?
Ananya :- ha wo... happy anniersary kabeer...
Kanya:- achha mumma... ab aap bahar jaao... aaj papa aapke liye nasta layenge...
Ananya :- kya are nahi - nahi... hato dono... main khud kar lungi... aapko office jana hai... aur aapko school, late ho jayega... aur fir
mujhe bhi ek lead me kaam karna hai...
Kanya:- mumma... kal aapne promise kia tha ki aaj aap wahi karoge jo main kahungi... so just go...
kabeer:- ji ha... aur aap to leave pe ho... to kaisi lead ha...
ananya:- kabeer aap bhool rahe hai kya ki hum reporters hai... aur jab khabro ki baat ho to kya leave aur kya work day...
kabeer:- ji nahi main bilkul nahi bhoola hun... par abhi aap koi kaam nahi karengi... aur jaiye yahan se... (kabeer ananya ko bahar push
kar deta hai...)
Ananya skitchen se bahar aakar sofe pe baith jati hai... aur kitchen se aa rahi awaazo ko sun kar dil hi dil me bahut khush thi... yeh pal hi
to mayne rakhte the unki zindagi me... thodi der baad Kabeer aur Kanya nasta lekar aate hai...
kabeer:- yeh rahi chai... aur yeh raha nasta... humari rani sahiba ke liye...
Kanya:- are papa aap khilaao na...
kabeer:- ha... ha...
Ananya :- are nahi... main khud...
Kanya:- mumma... aapka promise...
phir Kabeer Kanya aur Ananya 3no ek dusre ko break fast khilate hai...
Ananya :- ho gaya... ab chaliye... aap dono ko late ho raha hai...
kabeer:- ji nahi... aaj ka pura din hum dono sirf aapke sath bitayenge... aaj humara pura din aapka... aap bas araam se order karo...
Ananya :- are par...
Kanya:- mumma...
Ananya :- ok...
thodi der baad teeno ready hote hai...
Ananya :- lijiye ready bhi ho gayi... ab kya...
Kabeer:- pehle dher sari shopping,... phir lunch at ur fav place...phir movie... phir back to home...
Ananya :- par itna sab kuchh...
Kanya:- kya mumma aapki problem kya hai... aaj papa aapka day special banana chahte hai aur aap ho ki sirf sawaal... aur jab papa
aapke sath time spend nahi karte to unki complain karti ho... aap chahti kya ho...
Kabeer:- exactly... anu ... aaj tak tum sirf hum dono ke liye jeeti aai ho... tum kabhi apne bare me nahi sochti... tumahari duniyaan
mujhse suru hokar Kanya pe khatam ho jati hai... aur hum kismat wale hai ki humare paas tum ho... aaj ka din hum tumhare liye special
banana chahte hai... izazat nahi dogi... ( Ananya have tears of joy...)...
Ananya :- chale...
ananya:- after you mam... ( 3no nikal jate hai...)
janam - janam- janam... sath chalna yunhi...
kasam tumhe kasam... aake milna yunhi...
ek jaa hai... bhale, do badan ho juda...
meri hoke humesha hi rehna...
kabhi na kehna alvida...
(teeno sabse pehle mall jate hai... jahan Ananya bahut khush thi... jo unki aankhon se saaf - saaf dikh raha tha... Kabeer use dher sari
dresses aur sarees dilaata hai... aur Kanya ko dresses bhi... Ananya bhi uske liye kuchh shirts n all leti hai... all of them were enjoying
their most important day in full... then teeno Ananya ke fav resturant me jaate hai... aur lunch karte hai... teeno fir Kanya ki pasand
ki movie dekhte hai...)
janam - janam- janam... sath chalna yunhi...
kasam tumhe kasam... aake milna yunhi...
ek jaa hai... bhale, do badan ho juda...
meri hoke humesha hi rehna...
kabhi na kehna alvida...
( teeno hi movie se laut rahe the ki Ananya gol gappe khane ki demand karte hai... being a extra hyginic person kabeer mana karta hai...
finally biwi aur beti ke saamne kiski chalti hai... 3 no gol gappe kha rahe the... actually kha to sirf Ananya aur Kanya rahe the... aur
Kabeer unhe dekh raha tha...)
meri subah ho tumhi... aur tumhi shaam ho...
tum dard ho... tum hi aaram ho...
meri duaao se aati hai bas yeh sada...
meri hoke humesha hi rehna...
kabhi na kehna alvida...
(after the gol gappa party teeno paidal hi ghar aa rahe the... ki raste me ek park dikhta hai... teeno wahan jaate hai... jahan Kanya
bachho ke sath khelne me busy ho jati hai... aur Kabeer aur Ananya use bahut hi pyari si smile ke sath dekh rahe the... aakhir jaan jo thi
in dono ki Kanya...)
ahhhaaa... ahhhaaa... ohhhooo... hooo...
meri hoke humesha hi rehna...
kabhi na kehna alvida...
(Ananya to Kanya ki taraf dekh kar muskura rahi thi... but Kabeer aaj jyada hi romantice mood me tha wo Ananya ko hi dekhe ja
rahatha... Ananya unki taraf dekhti hai... aur dono me eye lock hota hai... Kanya aa kar unhe hose me laati hai... aur teeno fir ghar aate
hai...)
ghar aate hi... Ananya ko sofe pe maharani ki tarah baitha diya jata hai... Kanya aur Kabeer kitchen me ghus jate hai...ananya sofe pe
baithi hai... aur kuchh soch rahi hai...
ananya in her mind:- kabeer maine socha tha ki aapko ek surprize dungi... par aaj to aapne mujhe bahut surprize kiya hai... khair mere gift
ke aage yeh sab kuchh bhi nahi... kal rat ko hi to mujhe pata chala... aur subah se aapko bata hi nahi paayi... khair thodi der me bata dungi
... (she has a beutiful smile on her lips...)
ander se kuchh na kuchh samaan girne padne ki awaaz aa rahi thi... Ananya to bas bahut khush thi... isiliye chup chap sab kuchh dekhe
ja rahi thi... thodi der baad door bell ring hui... Kabeer ne door khola aur samaan leke ander aaye... Ananya hairan thi... kuchh dinner
ki cheeze aur cake dekh kar... kabeer cake middle me rakhta hai... aur Ananya ko jakar change karke aane ko kehta hai... thodi der
baad Ananya Kabeer ki fav saree pehen kar aati hai... aur teeno mil kar cake kat- te hai...jaise hi Ananya jaane lagti hai... Kabeer use
pull karta hai... aur apni knees pe baith jata hai...
Kabeer:- ananya.. thanku... i know yeh kafi nahi hai... jo kuchh bhi tumne aaj tak mere liye mere pariwaar ke liye kia hai... uske liye sirf
yeh ek din ya yeh thanku kafi ho hi nahi sakta... kyuki hum sab ko break mila par tumne 24*7 kaam kiya hai mere liye... bina kisi sikayat
k.. meri zindagi sawaari hai... duniyaan ke liye tum sirf ek reporter ho aur ek biwi ek ma... par hum dono ke liye humari duniyaan ho... (
Ananya got her eyes num...)... bas humesha humare sath rehna... tumse milne se pehle main zindagi jeeta nahi tha... par ab dekho... main
khush hu... jee raha hun.. just bcz of u... i know kabhi - kabhi main kaam ke karan tumhe waqt nahi de pata... par ab main puri kosis
karunga ki apne kaam ke sath - sath tum dono ko proper time dun... jaise tum deti ho... we love u alot... ( Ananya smiles...) may i
have dance with my life...
Kanya:- yes... main song lagati hun...
teri baahon mein... hain mere dono jahaan...
tu rahe jidhar... meri jannat wahi...
jal rahi agan... hai jo do tarfa...
na bujhe kabhi... meri mannat yahi...
tu meri aarzoo... main teri aashiqui...
tu meri shayari... main teri aashiqui...
( Kabeer Ananya ko apna hath detea hai... dono bas ek dusre ki ankh me dekh kar dance kar rahe the... Kanya apne parents ko aise
dekh kar bahut khush thi... akhir ho bhi kyun na... kal se ki gayi uski mehnat kamyaab jo hui thi... uski mumma... uske papa khush
the...)
talab - talab - talab... bas teri hai mujhe...
nasho me tu nasha.. banke ghulna yunhi...
meri mohabbat ka... karna tu haq yeh ada...
meri hoke humesha hi rehna...
kabhi na kehna alvida...
meri subah ho tumhi... aur tumhi shaam ho...
tum dard ho... tum hi aaram ho...
meri duaao se aati hai bas yeh sada...
meri hoke humesha hi rehna...
kabhi na kehna alvidaaa...
alvidaaa...
alvidaaa...
ahhhaaa... ahhhaaa... ohhhooo... hooo...
(Ananya aur Kabeer abhi bhi ek dusre ki bahon me dance kar rahe the... peeche se Kanya aati hai... uske hath me roze patels the... wo
sofe pe chad kar apne mumma papa pe fulo ki barish karti hai... aur smile ke sath unhe dekh rahi thi... ki tabhi Kanya ki awaaz se
wo dono Kanya ko dekhte hai...)
Kanya:- i love u mumma & papa... u both are the best couple & best parrents in this world... ( dono jake Kanya ko hug karte hai...)
ananya:- kabeer aapne to mera day special bana dia... par ab meri baari hai...
kabeer:- wo... gift,... kya hai gift...
kanya:- ha mumma aapne papa ke liye kya lia hai...
ananya kabeer ke kareeb jati hai... kabeer thoda peeche hota hai...
kabeer:- anu... kanya dekh rahi hai.. control ha,,,,,'
ananya(laughs);- yeh to meri line honi chahiye thi... khair... (ananya kabeer ka hath leti hai... aur apne tummy me rakhti hai... firstly
kabeer aur kaya samajh nahi paate... then kabeer get every thing...)
kabeer:- r u... r u... serious... matlab... matalab...
kanya:- papa kya hua... mumma aapke tummy me dard ho raha hai... papa dr ko bulao...
kabeer have tears of joy... he hugs her instantly...
kabeer:- i love u...
ananya:- par is baar beta hoga... jo meri team me hoga...
kanya:- yeh aap kya keh rahe ho... (kabeer anu se alag hota hai... aur kanya ko bahon me utha leta hai...)...
kabeer:- princess,,,, princess,,, princess aaj mumma ne aapko aur mujhe hum dono ko bahut bada gift diya hai...
kanya:- mujhe kya dia...
kabeer:- ur brother...
kanya:- kya kaha hai.. kaha hai mera brother... (ananya has rahi thi... kabeer anya ko utarta hai... aur uska hath ananya ke tummy me
rakhta hai...)
kabeer:- yahan...
kanya:- kya... yahan kaise ho sakta hai.. yahan to food hota hai...
ananya:- bachha... abhi nahi... sayad 7 months ke bad aapka brother aayega,,,,
kabeer:- sayad...?
ananya:- actually dr se proper month confirm nahi karaya hai...
kabeer:- tumhe kab pata chala...?
ananya:- kal rat... but i thinks about 2 months ka hoga... (kabeer hugs her)...
kabeer:- koi nahi kal dr ke pass jayeinge..
ananya:- kabeer aap khush hai na...?
kabeer:- meri aankhon se kya dikh raha hai... (ananya apna sir uski chest pe rakh deti hai...)...
kanya:- aap log mujhe bhool gaye... (kabeer aur ananya dono kanya ko uthate hai...
ananya:- are aap ko hum kaise bhool sakte hai... u r our life baby... and we love u...
kanya:- me also love u too,... (both kissed her on each side of her cheek n they have a special family hug... with wide smile on their
faces...)...
********************END****************************************
************************************************************
hope u all liked it...
do comment...
Love chandni...