- Back from my vacations and back to posting all the crap stored on my laptop of TWINJ to free up my storage. And No, I do not watch the show. It ended for me on May 26th. Please do read the Prequel of this OS to get a just of where the story continues from; Happy Reading.
Sequel to Why Me?'
One Shot: Because You.
He saw her standing in the balcony, without a trace of emotion on her face as he pulled in the bike inside and parked it behind the cars. Her hair was wildly flowing behind her along with her dupatta and she was blankly looking towards the sky. Her outward appearance managed to evoke painful amount of guilt inside him and turned his steps towards the house as if they were being dragged by stones tied to his feet.
He breathed in the fresh air before stepping in the house and entering in the room. He saw her back tense up as she turned around while he pushed the door close behind him. She looked at him intently for a moment before taking a sigh and walking inside the room.
"Khana kah ke aa rahe ho?"
"Mein ja ke garam kar deti hoon aur roti bana deti hoon. Fresh ho kar aa jao. Thake thake se laag rahe ho."
She looked at him, hoping to get an answer and as soon as she stepped ahead towards the door, she felt him call out to her feebly.
"Twinkle."
"Itna narraz ho mujh se?" he questioned, trying to compose the conflicting cloud of emotions swirling inside him.
"Nahi tou." she laughed off weakly, "Mein tou khane ke bare mein pooch rahi thi."
"Twinkle."
She heaved in a sigh and seated herself onto the edge of the bed and looked at him, asking him to sit as well. "Mujhe naraz nahi hoon. Or ho bhi nahi sakti. Mujhe bas aik shikayat hai."
"Kya?" he asked sitting by her knees, holding onto her hands and looking expectedly as if maybe fulfilling that demand could return the rosiness and the untainted faith she had on him for his belief in their love.
"Tum bolte kyun nahi ho?" she whined in a almost irritated tone and pulled her legs underneath herself, seating more comfortably.
"Kya?" he asked taken aback.
"Mein ne bila waja ka gussa kiya, tum ne acha khasa bara lecture diya, aur pher abhi tak aise khari hui thi jaise tum mujh se beinteha disappointed ho aur abb puch rahi ho ke mein bolta kyun nahi hun? Tu theek toh hai na?" he asked worriedly with a hint of surprise in her behavior.
"Haan mein theek hoon. Disappointed to thi ke pata nahi baba ji ne meri shaadi aik number ke duffer se kyun kara di hai. Kaafi socha bhi. Samaj mein yeh aya ke tum bolte nahi ho. Waqat pe to bbilkul bhi nahi."
"Matlab?" he questioned almost offended, leaving her hands and sitting beside her.
"Matlab yeh keh jab tumhe meri koi baat buri lagti hai toh usi waqt kyun nahi bolte? Adha din toh tum khamoshi se nikaal dete ho. Kuch bolo ge, kuch poocho ge tabhi to to itna jo bilawaja ka ghussa har choti, bari baat pe ata hai tumhe, wo khatam ho ga!"
"Tu mere therapy sessions start karwana chatti hai?"
She rolled her eyes and pulled his hands towards her. "Tumhe pura haq hai ke tum Yuvi se nafrat karo. Pure haq hai ke mujhe se har uss baat ke leye naraz ho jo tumhe pasand nahi ho. Jagda karo par aise ghussa nahi kiya karo Kunj. Tum hamesha gusse mein sochna band kar dete ho. Kam az kam itna bhorasa tou rakho na ke jo kaho ge, jo pucho ge, us ke jawab mere paas hoon ge."
"Mujhe daar lagta hai tumhare guse se Kunj."
He stared at her surprised. He hadn't expected her to say the words she had uttered.
"Tum kabhi kabhi choti si baat pe itna zaida posessive ho jate ho, aur itna gussa karte ho ke theek se sochte bhi nahi ho. Aur kabhi toh tumhara gussa foran thanda ho jata hai aur kabhi itna time lagta hai ke samaj mein nahi aata ke kaise manaoon. Aakhir aisa kyun hai?" Her hands held onto him tigher then before sensing him trying to distance himself from the conversation.
"Mein.. Mein Tujhe share nahi kar sakta Twinkle. Mein ne tera saach dekha hai tou jhoot bhi dekha hai aur mujhe dar lagta hai ke jitni assani se tu meri zindigi mein aai hai, utni assani se chor bhi de gi. Mujh mein bardasht karni ki aur himmat nahi hai."
"Kunj.."
"Nahi abb bolne de. Twinkle, pehla pyar bohot special hota hai aur agar Yuvi tere saath zabardasti nahi karta uss din toh tu baad mein ja ke hamara rishta tor deti. Tu mujhe kabhi nahi pasand karti aagar Yuvraj jitna gira hai, utna nahi girta." he looked at her face before continuing, "Yeh sach hai Twinkle. Tu jitna bhi juthla le, yeh haqiqat hai ke meri ihmmiyat teri zindigi sirf iss wajah se hai kyun ke mein ne tujhe hamaesha bachaya hai kisi ki galat nazar se toh kabhi kisi ke galat irradoon se. Tu aaj tak yeh figure out nahi kar pai ke tu mujhe se pyar kyun karti hai."
"Par pyar toh bas ho jata hai na?" She tried reasoning not understanding where the insecurities were stemming from.
"Haan par wo tikta kisi wajah pe hai na. Tujhe Yuvi kyun pasand tha?"
"Kunj.., tum yeh kya.."
"Bata na Twinkle. Tujhe Yuvraj kyun pasand tha?"
"Kyun ke woh parwah nahi karta tha ke duniya kya sochti hai. Uss ke saath lagta tha ke duniya khatam ho jai gi. Uss ki khudgarzi mujhe achi lagne lagi thi kyun ke woh mujhe special feel karati thi." she saw the change in his expressions as she uttered the words hesitantly, stringing them into a sentence that she never thought she would be speaking about to Kunj.
"Shayeed tum theek kehte ho. Mujhe nahi pata ke mein tum se bohot se bohot zaida pyar kyun karti hoon par mujhe yeh pata hai ke mujhe duniya ke khatam hone ki zaroorat nahi hai tumhare saath reh kar. Kuch keye baghair tumhara saath mujhe har waqt special feel karata hai kyun ke tum ne sab kuch hone ke bawajood mujhe chuna. Mere past ko andekha kar deya aur mein jaisi hoon, waisi hi apna leya. Tumhara pyar mere leye khudgaraz nahi hai par jab hota hai tab bhi aisa khudgaraz nahi hota ke woh kisi ki jaan pe aajai."
She felt his hold on her soften at her words and his face look away from her.
"Mujhe nahi pata ke mein tumahare leye itna pagal kyun hoon par mujhe janna hai ke mein kyun tum se itna pyar karne lagi hoon. Mujh pe bhorasa karo Kunj."
"Hamere pyar pe bhorasa karo. Mein tumhare ilawa kabhi kisi ki nahi ho sakti." she replied taking one of her hand and framing his face.
The words that stuck with him were of him wanting to love him and get to know him and promising to be only his which ended up having more of an impact on him and his anger in the moment then both had expected. He pulled his hand out from her grasp and threw himself over her, breathing in her scent and pulled her waist in towards himself. Her hands circled around him.
They pulled away, relief and happiness washed over there faces. "Mein tujh se beintehaa mohabbat karta hoon Twinkle."
"Pata hai. Aur mein bhi." she replied placing a kiss on his cheek.
"Waise aik cheez nahi pata abhi tak. Tumne khanna khana hai bhi ya nahi?" she questioned smiling.
"Khana hai." he smiled back.
"Toh phir theek hai. Jaldi se fresh ho jao aur neeche aa jao. Main sab ready karti hoon." she spoke getting up before exiting the room.
He looked at her walk out, her depot flying behind her as she skipped away. He knew that it won't ever settle with him that regardless of the present, he had to share her love in past with another man but he decided in the moment to keep mum. He doesn't need to be afraid of a obsessed person when he has firsthand witnessed her reaction to him, himself and that man. He heaved a sigh and walked to the bathroom to wash away the weariness from earlier.