Pyaar...hmm kya kahu or kya nahi mujhe nahi pata,kyunki agar aap mujhse yeh kuch saal pehle kehte to mein kehta ki yeh ek wo bimari hai jiska koi ilaz nahi,jo jab pakadti hai kissi ko to wo insaan aap ap ko khud maar deta hai.apne leye apni kabar khud khodta hai.
Fazool ki cheej hai yeh pyaarjo insaan ko itna matlabi bana deta hai ki wo ek Ladki ke leye apne sab rishte nato ko bhul jata hai jo uske sath puri zindagi chale.ek 2 mahine ya 16 mahine ki ladki ke leye wo kaise apne baki rishto ko chod sakta hai..mera manna hai ki duniya mein sab kuch mil sakta hai pyar be but family wo kabhi nahi milti.uske leye to aap ko dubara apne janam ka intzar karna padta hai.par kitna galat tha mein family ke sath agar pyaar be mile to apko dusre janam ka be intzar nahi karta padta.ap apni jannat in dono mein hi dekh lete hai kyunki pyar to pyaar hota hai jise jitna hum batenge yeh utna hi badega jaise ab mein apni family meri Dadi (savitri khurana).mere chote bhai (Vicky )or choti behen (Annie ) se pyaar karta hu or sath mein unse be jyada ya aap log sahi sunn rahe hai JYADA mein apni Wife Geet se karta hu.or hamari choti si bachi Manvi jo hum dono ki jaan hai usse karta hu.abhi ap soch rahe honge mein kon,, Mein Maan singh khurana hu...A happily Family married Man. 😃
Pyaar iske naam mein hi ek aisa ehsaas chupa haijo har ladki mehsoos karna chahti hai..mere leye pyaar duniya ki priceless cheejo se be upper hai.kyunki usko na to hum tol sakte hai na to count kar sakte hai bas feel kar sakte hai.jab do dil ek dusre ki dharke bina kissi awaz ke ek ehssas mein sunnte hai usse kehte hai Pyaar..jo har kissi ko pura kar sakta hai.uski duniya khushi yo se bhar deta hai,fir chahe koi gham be aye wo haste haste sab sehn kar leta hai..aisa hai mere leye yeh .jo apki sunni duniya mein ujala kar deta hai aisa hai yeh pyar mere MAAN mere pati Maan singh Khurrana.jo dharkan hai is Geet ki.jis dil mein yeh khud or meri beti Manvi rehte hai
so guys here I again come with new Maneet short story hope u will enjy nd like it 😊
1.1k