Part 12. New beginnings
@Ojha house
Lajo and ohja uncle are scolding Manav for his behaviour with Shruti..Bhairu dear is also present there...
Bhairavi trying to look angrily at manav...
Ohja - aree dekh Lajo ..dekh. yeh chore ne toh maareh jaise rajasthani shurveer pratapi super model ke abhimaan ko paani mein. mila diya ...areee kitna Garv tha mujhe ki maarah beta kabhi bhi aisa vyavhaar nahi kar sakta ..(looking towards bhairavi)
Areee Gujarati bhauranii kuch samjha yeh manav ko... ki ladki ke saath aisa koi vyavhaar karta hain kya... yeh jhallar ne mera pura abhiman..maareh shaan ko paani mein mila diya..dekh Manav dekh taareh wajah se maarah pura abhiman paani mein milgaya...
Bhairavi without saying anything further goes from there...
Manav- par papa..
Lajo- ke papa papa lga rakha hai..kya aise sanskar diye maine tuje..ladki se aise ladega...society ke beecho beech..
Manav- par ma papa meri koi galti thi woh Shruti mujh se takraai thi pehle .woh dekh ke nahi chal rahi thi
Lajo- Wo sb mai kuch nahi janti..chahe galti uski thi ya teri..tujse ye umeed nahi thi Manav..ladkiyon se kaise bartav krte hn sikhaya hai na maine..
Manav -Ma..woh..
But before Manav could say further Bhairavi comes..with a vessel full of water..And pours down water on Ojha
Manav and Lajo are shocked...
Ohja - ( almost getting a shocked on bhairavigiri) ke ke ke ke hain yeh Gujarati bahurani ..tune. yeh tune kya kiya Gujarati bahurani.. areee tune..
Lajo- yeh kya kar rahi hain Bhairavi..tu..
Manav- Bhairavi didi aapne papa par paani kyu daala
Bhairavi - Lajo kaki..Manav abhi abhi toh kaka Murli ne kaha na ki manav ne unke Rajasthani shurveer. super model ki chavi. Unke abhimaan ko paani mein mila diya..toh Ab jab tak kaka murli aise dikhayenge nahi paani daal ke toh Manav ko patah kaise chalega ki Ohja uncle ka abhimaan paani mein mil gaya aur usse patah kaise chalega ki usne Shruti ke saath jo bartaav kiya woh galat tha...
Ohja- areee par Gujarati bahurani...tune sach mein paani daal diya maareh pe.
Bhairavi - haan toh kaka Murli jab hamare ghar naya washing machine aaya tab Baa ne kaha ki chakudi ...live demo dekhne se jitna samjh aata hain utna sirf bol kar samjhane se nahi aata ...issliye Manav ko aise saamne maine live demo diya...tu samjha na Manav...ki tune galat kiya...Shruti ke saath..
Ohja - areee maareh keh ne ka matalb ..tha ki..
Bhairavi - nai nai kaka murli aap Ab baad mein matalb mat samjhaye ..aap ko bhi baa ki bimaari lag gayi hain...Baa sabko infect kr rhi hai..huh..
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
Here in ghotala house:
Shruti is all dried up and wearing Meghas clothes...
Megha: Are you ok..kuch peene ke liye chahiye tumhe? Sarso ka tel ya phir neem ka juice?
Shruti: haha..tum log sarso ka tel pilate ho guests ko!! No thanx..mai sirf pani lungi..
Hemant: Kaise lengi..balti me ya tub mein?
Vasant: Arre gende..balti me tub mein kon pani deta hai..arre wo mug mein pani chahti hai..thoda sa saaf krna hoga ..(turns to Shruti)haina..
Varsha: Lekin Vasant..abhi to garden me puri naha li..itna sara pani giraya apne upar..aur pani chahiye..!? Lekin kyu..!!
Vasant(whispers): Arre hoga kuch..Varsha ye insan ajeeb hote hn..itna pani bahaya bahar wo kam nhi tha aur bahana hai..mai keh rha huh me na apne greh wapis ja ke insano k upar ek museum bnana chahiye..ek se badhkar ek namune bhare hn..(turns to Sharad)jao..pani le kr aao
Sharad: Hoon...(about to go when Shruti stops him)
Shruti: Rukiye..mujhe aapse kaam hai..aap yhi rahiye..
Hemant: To phir mai le ke aata hu pani..same majja ayega..hehe..
Vasant: Haan beta jao le aao..
Hemant leaves..
Shruti: Mera naam Shruti hai...mai orphanage mein volunteer hun..Megha Sharad..tum logo ke kaam se mai boht impressed hu..Actually maine tum logo ko aj dekha orphanage mein..tumne boht dil laga ke kaam kia..and bache bhi tum logo ke sath boht khush the..to islye mai tumse ek chota sa favour lene k liye chali aayi..
Megha: Favor?bolo na hum tumhari kaise madad kr skte hn!?
Shruti: Mai chahti hu k tum aur tumhare friends humare orphanage mein volunteering karein..i know iss job me koi paise nahi hain..na hi koi fame milta hai but jo satisfaction milta hai bachon ke chehro par khushi la ke wo priceless hai..iss duniya ki koi bhi daulat uss smile ke age feeki hai..please tum log mere sath bachon ki dekh rekh mein madad kroge?
Megha and Sharad look at each other
Sharad: (thinking) Pura din Megha ke sath..na baba na..ghar pe to bhaiya Bhabhi hote hn waha akele nahi
Sharad to Shruti: Nahi..muje nahi ana..mai yaha bhaiya Bhabhi ke sath kaam krunga ghar ke
Vasant: Arre Sharad..mana kyu kr rha hai..dekh ye boht nek kaam hai iske liye mana nahi krte..
Shruti: Dekhiye please mana mat kijiye..mai boht badi trouble me hu..actually baat ye hai ke maine kuch volunteers bulaye the unhone ane se mana kr dia..and abi orphanage mein logo ki boht zarurat hai...agr kuch b gadbad hui to orphanage band b ho skta hai..phr bahce kaha jaynge..please mana mat kijiye..dekhye agr aapko paise chahiye to mai kuch intezam kr skti hu
Megha: Nahi nahi paison ka hume koi lalach nahi hai..aap muje btaiye..mai ane ke liye taiyar hu..Jacky..tum chloge na mere sath?
Jacky: Of course..ghar pe baitha mai bore ho jata hu...muje bachon ke sath bada maza aya mai bhi aaunga..
Sharad(to himself): Agr Jacky bhi hoga to koi problem nhi hai..mai pura din uske sath rahunga and Megha ko ignore krunga..Hoonn
Sharad to Shruti: Mai ane ke liye taiyar hu..
Jacky: Kya hum humare sath kisi aur ko bhi la skte hain?
Shruti: Of course..jitne zyada volunteers utna better..
Megha: Hum kal se hi aa jaynge...
Shruti: Thank you soo much..(hands over a card) ye lijiye mera number..koi bhi doubt hai please call me..Mai chlti hu
Vasant: Arre aise kaise..aapko pani chahiye tha na..ye genda kaha reh gya..Arre gendeee..
Shruti: Aapke ghar me genda rehta hai!!
Vasant: Haan mera beta..ek number ka Eee hai..kuch b bolo thik se nahi krta...Gendeee..jaldi pani la wo ja rhi hai..
Hemant: Laya papa...!!!
Hemant enters pushing washing machine..goes over to Shruti and hands over her the pipe..: ye lijiye pani..
Vasant: Arre wah gende..iss baar Mmm kaam kia..(to Shruti)lijiye pani..jitna chahiye utna..aur chahiye to genda aur bhar layega..
Shruti(confused expression) : Par maine to peene ka pani manga tha..
Vasant: Kuch thik se nhi krta ye genda..peene ka pani manga tha..ja kitchen mein jug pada hai le aa..
Hemant(clicking his tongue): arre par papa inhone pani manga tha..wo mai le aya
Shruti:mere kehne ka matlb tha
Hemant(faking crying):Matlb baad me samjhane ka kya matlb baa..
Shruti bursts out laughing at the cute antics of the family..
Shruti: ok ok koi nahi mai phir kabhi aap logo ke ghar ka pani pee lungi..abhi chlti hu..
And shruti leaves laughing to herself...
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
@Ojha house
Jacky comes in running
Jacky: Manav Manav Manav..
Ojha: Ke ke ke ke hua jhalar..kyu chilla rha hai...
Jacky: Arre ojha uncle..Manav kaha hai..
Ojha: Arre mhare jaise sushil gunkari Rajasthani model ke hote hue tu Manav ko dhund rha hai..
Jacky-: Ji ojha uncle..actually ye jawan logo ke matlb ki baat hai..budho ka kaam nhi hai
Ojha: Ke ke ke ke bol rha hai tu jhalar...mhare jaise jawan sexy Rajasthani model ko tu budha keh rha hai..arre tu ankhon ka test krwa...ankhon me motiya bind ho gya hai ke..
Manav enters n cuts Ojha..
Manav: Papa kya hua..kyu ghar sir pe uthaya hua hai..
Ojha: Dekh na Manav ye Jhalar ke keh rha hai..
Manav: Kya hua Jacky..sb thik
Jacky: Sb thik hai Manav..ek boht hi badi good news laya hu..chlo mere sath bahar..
Outside in lawn Jacky tells everything to Manav..
Manav: Ye to boht badi good news hai...matlb ke full day Megha and Sharad sath mein and hum aise circumstances create krnge ke dono paas aa jayein..yess
Jacky: And tum humare sath chal rhe ho..maine Shruti se baat kr li hai..use koi problem nhi hai
Manav: Kya Shruti ji ko koi problem nahi hai.ye kya hua...madam ka dimag ghum gya kya
Jacky: Calm down bheem..tumhe problem kya hai Shruti se..itni achi ladki to hai wo..
Manav: Achi my foot..aj se pehle kisi ladki ne mujse itni rudely baat nahi ki jitni wo krti hai...I hate her so much
Voice: Kise hate krte ho!?
Manav and Jacky turn to find Anna coming
Anna: Kya hua Manav..kise hate krte ho...
Manav: Nothing Anna kuch nahi
Anna: Manav muje tumse baat krni thi..uss ladki ke bare mein..aj se pehle u have never behaved this way..aj kya hua
Manav(angrily): wat the hell Is everyones problem..sb gyan kyu bant rhe hn..Anna please leave me alone muje kisi se koi baat nahi krni..
Manav turns and leaves..
Anna to Jacky: Kya hua hai Manav ko?
Jacky: kash muje pta yeh ..insano ke behaviour ke baare mein koi idea ni hai muje
Anna: Kya? Kya matlb?
Jacky: umm wo umm kuch nahi...(runs away)
Anna is left there confused thinking about that girl..
._._._._._._._._._._._._._._._._._._._._._.
Next day
Manav and Jacky meet Mesha at ghotala house..From there all four decide to leave for the orphanage together..
In the garden Anna meets them.
Anna: hii guys...kaha ja rhe ho!?
Manav: Tumse matlb!?
Megha: Umm Anna hum orphanage ja rhe hn..
Anna: Aj bhi!!
Megha is about to speak further when Sharad holds her hand to stop her..
Sharad: Megha hame time waste krne ki zarurat nhi hai..hmare paas full day nhi hai chlo yaha se..
Saying this he pulls Megha and walks towards the auto..
Manav and Jacky are happy to see this move..
Anna leaves...
._._._._._._._._._._._._.
At orphange...
Shruti was going towards orphange garden..
Maali kaka sees her ..
Kaka- Shruti bitiya aapko warden dhoondh rahi hain... aur haan Aaj aur naye volunteer aye hain ...warden madam ne bola hain ki tum unse ja ke milo aur kaam samjha do
Shruti- Zarur Megha aur uske friends aye honge..thik hain kaka mai jati hu...
Kaka leaves from there..
Shruti (in mind): Thank god Megha aa gai..now kaam mein problem nahi hogi..unhe unki duties bta deti hu and bol deti hu ki agar koi problem ho ya bacche zyaada pareshan kare toh mujhe ya Samar bhaiya se baat karle...
Shruti was going towards warden office when she runs into Manav...
Manav: tum..phirse ...of course..aur kon ho skta hai jo andho ki tarah chlega
Shruti: tum!! tum yahaa kya kar rahe ho...kya phir se jhagda karne aaye ho...
Manav: For your kind information mai yaha kaam krne aya hun..and please..aj mera mood boht acha hai..mai tumse argument nahi karna chahta...
Shruti- haan toh mujhe bhi koi shaunk nahi hain tumhare saath baat karne ka..tum apni galti accept karlo ki tum dekh ke nahi chal rahe the
Manav- galti meri nahi tumhari thi..aur waise bhi mujhe apna time waste nahi karna tumhare saath argument karke... mujhe bachon ki class lene jana hai
Manav was leaving when Shruti stops him
Shruti- wait a minute ..tumhare kehne ka matalb kya hain ki baccho ka class Lena hain...?
Manav- mere kehna ka Matalb Yeh hain ki mein yaha volunteering kr liye aaya hoon.. ..
Shruti- what?? Mein ne volunteering ka offer tumhare dosto ke liye diya tha tumhare liye nahi .. so tum yaha volunteering nahi kar sakte..
Manav- Hello,,,mere friend ne hi btaya ke tumne yes bola hai mere liye..kal yes bolo aj no..tum pagal ho kya!?
Shruti: maine..maine kisi ko yes nhi bola..
Manav: to phr chlo puch lete hain
They are about to go when Warden comes out of her office ...
Shruti sees warden..
Shruti- acha hua warden aap aagaye..mein yeh kehna chahti thi ke..aap yeh ...
Before Shruti could say..
Warden - acha hua Shruti tu mil gayi..yeh Manav hain ..yeh bhi Sunshine Colony se hai...aur Aaj se maths ki class Manav lega aur haan..dusre subjects bhi tum dono decide kar Lena...
Shruti- kya??? Aap ne meri maths ki class ise dedi..par kyu .??.aapko mujhe se pehle puchna tha na..aur sabse pehli baat ke Manav ko kyu rakha hain ..
Shruti asked in one go...
Warden- areee shaant shaant hoja.. Shruti... Jacky ne muje bola ke usne tujse baat ki thi apne friend k bare mein.. ye wohi dost hai..aur beta Aaj tak tu aur Samar saare class lete the..
Manav gets surprised on hearing Samar name...
Manav-(in mind) Samar...maine ye naam kaha suna hai..
But before he could ask..warden continue...
Warden- tum log kitna kaam krte the..tumhara kaam kam ho jayega ab..Maine sbme kaam baat diya hain..Ab Sharad Megha Jacky milkr Samar ki help karnge aur tu aur manav baccho ke class legi.
Shruti - yeh sab thik hain par aapne Manav ko kyu liya mein akeli handle kar sakti hoon aur waise bhi yeh naya hain toh isse bacche handle bhi nahi honge..
Warden- areee tu chinta kyu kar rahi hain. Sab thik hoga ...waise bhi tu pehle pura din busy rehti thi toh tujhe bhi kaam se fursat milegi thodi.aur Manav achi tarah se handle kar lega baccho. Mein abhi dekha hain...
Shruti- par...
Warden - par war kuch nahi...sahi mein tujhe sirf Samar hi samjha sakta hain...
Shruti-(making sad face) thik hain...mein Sharad aur Megha se milne aati hoon
Shruti leaves from there..
As soon as Shruti leaves...
Manav- warden yeh Samar kon hain ???
Warden-Samar bhi yaha kaam karta hain...woh aur Shruti dono yaha ka saara kaam sambhalte hain...tum usse milo ..yahi kahi hoga baccho ke saath...bahut hi acha ladka hain... bahut hi shaant hain ...bhola hain..yahi orphange mein rehta hain baccho ke saath..
Manav- hmm thank you... chalo mein class lene jaata hoon..
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
Manav is searching for Samar when he runs into Sharad..
Sharad: Manav tum kaha the..kaisi gai tumhari class..
Manav: Class ko chodo Sharad..meri help kro...abhi abhi warden ne btaya yaha ek Samar naam ka ladka kaam krta hai..
Sharad: Samar..haan Shruti ne hume bhi btaya..kon hai wo? N tumhe itna interest kyu aa rha hai usme?
Manav: Arre tum samaj nahi rhe..agar Samar wo hai jo mai soch rha hu to boht bada kaam hoga..
Sharad: Manav..mai nahi samjha..
Manav: Abhi tum meri madad kro use dhundne mein..colony wapis ja ke mai sab samjhata hu..hooon?
Sharad: Hoon...
Manav and Sharad try to find Samar..They ask Maali kaka but they find out Samar has left for the day..They postpone their meet for the next day..
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
Next day...
@ghotala house
Hemant: (crying loudly) Aaa
Vasant: Arrreee gende..chup ho ja...band kr...
Hemant: Nahi..mai nhi chup baithunga..mai bhi chlunga...muje bhi aurphirnaag jana hai..mai bhi aurphirnaag jaunga..
Vasant: Arre gende..ye aurphirnaag kya hota hai..bolo orphanage..ye dekho..(opens his computer) orphanage..matlb anath bachon ka ghar..
Hemant: Wo main ahi janta..muje bhi jana hai..Jacky bhaiya bata rhe the waha boht sare bache hn..and wo sb boht sari games khelte hain..muje bhi jana hai..muje bhi games khelni hai..mai yaha Pritesh Mitesh ke sath khel khel ke thak gya hu..
Vasant:Arrreee gende zid mat kr na..
Hemant: Nahi mai jaunga jaunga(thumps on the floor with his leg)
Manav: Acha acha thik hai thik hai..Vasant bhaiya mai responsibility leta hu Hemant ki,,wo pura din mere sath rahega aur shararat bhi nahi krega..aap chinta mat kijiye...
Hemant: Yayyiieee..Manav bhaiya is the best..
Hemant accompanies all 4 to orphange...
@Orphanage
Shruti meets them and greets them..
Megha: Hi Shruti...ye Hemant hai..Sharad ka bhatija..ye bhi yaha bachon ke sath khelna chahta tha..hope tumhe koi problem nahi hai hum ise le aye..
Shruti: Arre nahi nahi Megha..its good..ye yaha aya hai naye logo se milega and he will be happy..mere sath chlo Hemant..mai tumhe bachon se introduce krwati hu
Manav: Nahi..Hemant kahi nahi jayega..Hemant ki responsibility maine li hai wo mere sath chlega...
Shruti: Mai bhi Hemant ki responsibility le skti hu..mai use khan ahi jaungi..
Manav: kya bharosa tumhara..shakal se to man eater lgti ho..(Shruti is shocked at his comment..Mesha smile to themselves listening to the words used by Manav)
Manav: chlo Hemant(drags Hemant and goes away)
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
Megha was following Sharad ..who was going towards orphanage playground...
Megha- Pluto...Pluto...mera matalb hain Sharad ruko...suno toh..batao toh sahi kya hua tum pareshan kyu ho...Pluto...Pluto...
Finally Sharad stops in his tracks and look towards Megha...
Sharad- kya hai...tum mera picha kyu kar rahi ho min...Megha... ..
Megha- tum kuch baat chupa rahe ho Sharad ...kya. Baat hain...
Sharad- koi baat nahi hain Megha...aur Ab tum mera picha mat karo...mujhe aur bhi bahut saare kaam hain..
Megha (almost in tears)-Sharad ..suno..Sharad ...mein maanti hoon saari meri galti thi..mujhe tumhe saari baat batana chahiye tha.. I.m sorry Pluto...
Sharad- (in tears) tumhare maafi maangne se ghaav bhar nahi jaayenge Minto..plz tum picha mat karo...
Sharad was leaving...
Samar comes..and sees Megha...
Samar- aap Megha ho..right ?
Megha wipes her tears and look towards Samar...
Megha- haan..hi...
Forwarding her hand..for handshake..Samar greets her and Sharad sees them...
Samar -hi...kya hua aapko koi problem hain..kya baccho ne pareshan kiya aapko...?
Megha -Areee nahi nahi aisa kuch nahi hain...
Samar - agar koi problem ho toh zaroor batana...actually kya tum meri help kar sakti ho kitchen mein woh Shruti busy hain in class aur mujhe woh thodi si help chahiye thi..toh kya..
Megha- areee kyu nahi mein help karungi
Sharad comes there
Samar- aur aap Sharad ho..right???
Sharad - haan..mein Sharad hoon..aur aap ??
Samar- mein Samar..mein yahi kaam karta hoon Shruti ne bataya hoga...na..
Sharad - haan bataya tha..tum kaha se aaye ho matalb ki tum yahi rehte ho...ya kahi aur jagah se aaye ho..?
Samar gets a bit tensed.
Samar was going to do action of badi door se aaye hain just like ghotala's but then he stops ..Sharad notice it..
Samar- mein badi..dooor se... matalb..dehradhun se thode hi door ek chotta aa gaon hain waha se aaya..hoon...
Samar changes the topic..as he didn't want Sharad and Megha to doubt on him..
Sharad-(in mind) yeh ..Samar ne hamare jaise hi badi door se aaye hain kyu bola... aur iska naam Samar hain..kon hai ye..Manav ko bhi isme khas interest hai...mujhe iss pe nazar rakhna hoga.
Sharads thoughts were broken by Samar voice...
Samar- kya hua aap thik toh hain...
Sharad - haan ..haan mein thik hoon ..par Samar tum mujhe aap kehke mat bulaao.. logically hum dono k umar mein koi farak nahi hain.
Samar- (laughs a little) haan hamari umar mein koi zyada difference nahi hain...tum dono kaha se ho...
Sharad- hum log ..!! ,Hum log suryanagar se aaye hain...acha toh hum chalte hain woh saare bacche wait kar rahe honge garden mein..chalo Megha...chalo..
Megha- Sharad tum jaao mein Samar ki help karti hoon kitchen mein..usse help chahiye thi ..toh uski help karke aati hoon. ..
Sharad was first surprised with Megha answer but then he didn't say anything as he wanted sometime alone...
Sharad - thik hain..mein tumahara wait karunga playground pe..
With these Megha and Samar leaves...
Sharad was bit disappointed with these sudden change but then he ignored it as of now he has other important things that needs to be solved..
Sharad tries to contact...Manav and Jacky...
In class room ...
Manav was teaching kids..when he sees Shruti and. Megha talking with some one...
Manav-(in mind) yeh ladka kon hain...?
Bunty comes...
Bunty- Manav bhaiya yeh dekhiye mein ne yeh sahi kiya na...
Manav trance is broken ..
Manav- han..haan sahi kiya hain tumne ..very good..tum toh bahut intelligent ho ..yeh lo tumhe uske liye star milega..
Manav draws a star in bunty's notebook...
Bunty- ( happily) thank you Manav bhaiya...
Manav- (pointing towards Samar) acha suno yeh Jo bhaiya hain ..Jo megha didi aur Shruti ke saath baat kar rahe hain woh kon hain.?
Bunty- woh toh Samar bhaiya hain...
Manav -(in mind) oh toh yeh Samar hai...
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
Every now and then Shruti visited colony...
Shruti liked the company of ghotalas ..Bhatt's and especially she liked the company of Lajo..
Even lajo started to like Shruti..and supported her..many times...
With passing days..Sharad concern towards Megha increases...which is noticed by other ghotalas and Manav..
Manav and Shruti are still fighting and Mesha are tired of keeping them from fighting...
Sharad and Manav had doubt on Samar moves and decides to keep eye on him...further Megha and Samar became close friends which didn't go unnoticed by dear Sharad who grew all the more protective towards her..
._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._ ._.
After few days...
At orphange...
Hemant accompanies all to orphange...
Mesha were fighting..and Shruti was trying hard to stop their fight
Shruti - dekho Sharad..Megha tum dono ladna bandh karo...
Sharad- Shruti tum Megha ko samjhao
Megha - nahi Shruti tum sharad ko samjhao...
Shruti- (to herself) hey bhagwan..ye dono choti baat ko lekar ladne lage..ab mai kya karun..lagta hain manav ko bulaana hoga..kyuki yeh dono uss akdu ki baat hamesha maante hain...
Shruti goes in search of manav. .
Shruti-(to herself) off ho yeh sadu kaha reh gaya..waise toh bappa aap hamesha use mere saamne laa dete ho. Ya milva dete ho..par Aaj jab jaroorat hain tab nahi milva sakte...huh...!!!
Suddenly then she sees Manav with Hemant..
Shruti- Manav.. Manav...Hemant.. Hemant
Manav to Hemant- Shruti se toh Ab toh mein baat bhi nahi karoonga ...Hemant hamesha mein jab bhi shruti se baat karta hoon toh hamesha ladaai hi karte hain..
Hemant - heeein..starts his chidhana ..manav bhaiya Shruti didi aagaye..dekhiye Shruti didi aagaye..
Shruti- Manav chalo mere saath..
Manav- mujhe tumhare saath kahi nahi aana..aur naahi tumhare saath baat ya argument karne mein interest hain... chal Hemant...
Manav was leaving with Hemant..
Hemant - bye bye (in his style)
Shruti holds Manav hand and starts to walk...
Hemant follows them...
Hemant- heeein ..
Hemant starts his chidhana wale exp...
Manav- tum ne mera haath kyu pakda hain. ..chodo mere haath...aur kaha le jaa rahi ho tum mujhe.
Shruti- ( while walking) dekho mujhe koi interest nahi hain tumhara hath pakdne mein ya baat karne mein. aur tumhare saath argument karke mein apna mood kharab nahi karna chahti. Sharad aur Megha kabse ladaai kar rahe hain aur mein ne rokne ki koshish ki par dono sun nahi rahe ..Issliye tumhe le jaa rahi unke paas taaki tum unka jhagda bandh kar sakte ho...
Manav- haan par mera haath toh chodo . Mein bhaag nahi jaaunga..
Shruti leaves Manav hands..
Mashru and Hemant reaches garden...
Mashru stops MeSha fight...
After MeSha have left with Hemant..
Shruti- Manav..suno
Manav: huh..tumne muje bulaya..aj no akdu..no sadu no ladai..itte politely bol rhi ho..kya hua..!!
Shruti- Listen..muje shaunk nahi hai tumse fight krne ka...I had a doubt and muje lga tum mera doubt clear kr skte ho islye roka...nahi baat krni to bhad mein jao..(about to leave)
Manav : Ruko (holds Shrutis hand and stops her..both have a mini eye lock before Manav leaves Shrutis hand) woh ...woh.. Haan bolo kya hua...kuch problem hai..mai help krun?
Shruti- I wanna know everything about Megha Sharad...dono itna kyu fight krte hn..kya kahani h unki? Maine Sharad ki ankhon me Megha ke liye pyar dekha hai..bt phir bhi wo use ukhda rehta hai..Whats the matter...muje sb btao...please
Manav- hmmm I know I can trust you..so listen...
Precap Manav tells Shruti about Mesha..Shruti decides to help MeSha reunite..there is a tiff between MaShru regarding Lajo..Shruti is crying and Lajo is angry with Manav...
62