%%%Titli's TAKE on April 7th, 2016's episode%%%

TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#1
In today's episode, jab budhi yeh kehti hai keh wo Bara Vaari ka teuhaar manana chahti hai aur subko convince karti hai keh uss waqt bara chota, ameer ghareeb sub ek hokay pooja karain gain toh Ranaji budhi k bharpoor zorr par yeh teuhaar mananay k liye tyaar hojaatay hain aur budhi Gayatri ko specially rokhti hai yeh teuhaar k baaray main sunnay k liye aur phir jab sub kuch sunn k chalay jaatay hain toh wo akelay main apnay aap se kehti hai k wo RaGa ko itnay kareeb lay ayegi k phir unhain torrnay main usay aur bhi maza ayega aur phir wo ek tha raja ek thi naukraani wali baat jab usnay kahi toh I was like "Budhi RaGa ko kareeb laanay ka tera plan theek hai likin uskay baad Gayatri ka Savitri wala roop subko btaana specially Ranaji ko btana...Naaahhh aaa...Bad idea!!! I hope tumharay iss bakwaas ideay se pehlay Gayatri ko budhi ki asliyat pta chal jaay taakay wo phir uss hisaab se situation ko deal karay...Yehi sahi rahay ga warna toh Gayatri phansti chali jaay gi aur usay khabar bhi nahi hogi k usko kisnay phansaya aur kaisayyy...!!!!"😕😕
Phir aata hai Lakhan aur Kunwarji wala scene, jab Lakhan nay Kunwarji ko threat diya keh agar iss teuhaar k baad Swarna mehel main wapas naa i toh yeh Kunwarji ko maar day ga aur yeh keh kar wo wahan se chala jaata hai toh I was like "Nice move Lakhan, likin kahin aisa toh nahi keh Kunwarji ko pta chal gaya ho keh Swarna pregnant hai aur issi liye wo usay tumse chupa raha hai taakay tumko ya kisi aur ko uska pta na chal sakay aur jab waaris honay wala ho sirf tab Swarna ko saaamnay lay k aye, agar aisa hai toh Lakhan tumhain Swarna ko khud hi se pehlay dhoondhna paray ga aur jahan uss bechaari ko rakha wahan churwaa kar usay bhaggana hoga, yehi sahi rahay ga warna yeh Kunwarji aur Coca Cola toh iss bechari Swarna ka toh hashar hi kar dain gain...Issliye Lakhan jo karna soch samaj kar karna...!!!"😊😊😊
Phir aata hai budhi aur Gayatri ka sword training wala scene, jab budhi Savitri ko kehti hai keh usay bhi iss teuhaar main hissa laina hoga aur yeh talvaar baazi seekhni hogi, aur wo uspe itna emphasis karti hai keh Gayatri majboor hojaati hai budhi ki baat maannay ko, akhir shaid issliye k issi bahanay Ranaji k kareeb hona paray ga, aur phir jab wo coconut ko maarnay ki practice karti hai aur budhi ka usko indirectly pichla reference daina k kabhi chalai hai k nahi aur phir jab budhi nay nishaana laga k usay dikhaya aur Gayatri ka usko hairaani se dekhna aur phir manna kardaina keh wo yeh sub nahi karay gi tab hi budhi kehti hai k wo jaanti hai k tumhain kaun sahi sikhaa sakta hai, jab wo kamray se nikaltay hain toh Rageshwari dekh laiti hai unn dono aur samaj jaati hai k zaroor koi na koi khichri pukk rahi hai dono k beech main toh I was like "Haan pukk toh rahi hai churail aur jab humari Gayatri jeetay gi aur Ranaji k kareeb ayegi tab teri shakal dekhnay laaaiq hogi, aur budhi tu zada ucchal mattt main sub samaj rahi hoon jo tum karna chaa rahi ho...Sahi nahi hai...RaGa ko paas laana theek hai, likin jab tumnay yeh kaha k kabhi chalaai hai toh dil toh kar raha tha saali k issi talvaar se main tujhe maar doon...Gayatri JAAAGGGOOO...HOSH MAIN AAO...Itnay hints day rahi hai wo tumhain indirectly k tum ho k samaj hi nahi rahi...WO ek tarha se tumhain btaa rahi hai keh wo hi thi jis nay tum pe waar kiya tha aur tum ho k kisi aur hi state of mind main chal rahi ho...Sirf ek baar budhi ko as a murderer imagine kar k toh dekho...Cheezain saari apnay aap tumhain samaj aanay lag jaain gi...Likin tum socho tab na...Yeh budhi jeetay jaa rahi hai aur Gayatri bas ek puppet ki tarha use hoti chali ja rahi hai phirse...Budddhhhiii tujhe toh main such main maar doon gi, nahi nahi balkay mujhe lagta hai mujhe kuch karna hi nahi paray ga kyunkay abh lagta hai k yeh Rageshwari tujh pe jald ublay gi tab dekhti hoon k tu kia karti hai, agar yeh tujhse larhi toh tum dono se koi agar ek bhi marr gaya toh atleast ek duffer toh kum hoga RaGa ki zindagi se toh acha hi hai...Larhoo gay tum aur faida RaGa ka hoga...!!!"😉😉😉
Phir aata hai RaGa ka sword wala scene, uff jab jab Ranaji nay Gayatri ko kaha k bharoosa rakho, kuch nahi hoga, ankhain khol k waar karo, tab tab I was like "Budhi saali tu jaan booj k Gayatri ko wohi pal yaad dilanay ki koshish kar rahi hai...Acha nahi kar rahi...Bas Gayatri tum abhi filhaal jo horaha hai usmain sirf apnay aapko blend hi kar sakti ho kyunkay abhi tumhain budhi ki asliyat jo nahi pta...Kaash pta hota toh aaj shaid tum kuch aur hi karti...!!" Phir jab budhi aur Rageshwari bhi dekh rahay hotay hain keh Ranaji nay Gayatri ko coconut torrna sikhaa diya hai sword se aur ussi dauran jab jab Ranaji Gayatri k paas arahay thay tab tab bechari Gayatri concentrate hi nahi kar paa rahi thi likin khair end main seekh hi gai aur yeh Rageshwari jal kukriii kehti hai keh wo budhi ka plan fail karkay hi rahay gi toh I was like "Haan haan carry on...Carry on Rageshwari, kyunkay mujhe pta hai tera jaisay humesha se plan fail hota aaya hai abhi bhi hojaay ga toh tu pta nahi try karkay apni hi kyun insult karwaati ho...Ufff bahut hi dheet ho...!!! Aur Gayatri I know tumhain aaj Ranaji k kareeb aaa kar acha laga hoga likin Gayatri tumhain pehlay ajeeb issliye lag raha tha kyunkay yeh budhi tumhari liye bahut bara trap set kar rahi hai jismain uska maqsad hai tumhain Ranaji k saamnay expose karnaaa...Samaj jaao toh acha warna tum behtar jaano...Waisay maza toh aya hoga khoob tumhain Gayatri hainaaa...Acha hai khush raho...!!! Likin alert bhi raho...!!!"😳😳😳
Aur akhir main jab final pooja hoti hai aur Gayatri coconut phoor daalti hai aur Ranaji khushi se taali bajatay hain toh I was like "Aww how cute...Becharay akelay hi bajja rahay koi aur saath hi nahi day raha likin acha hai, aur kisi ki zarorat bhi nahi...!!!" Phir jab wo jal kukri Rageshwari beech main apna naariyal lay kar tapak parhti hai aur kehti hai keh wo karay yeh pooja kyunkay wo Rani hai aur usay naariyal toot bhi jaata hai likin budhi itni asaani usay jeetnay nahi daiti aur naariyal main kaalak mila kar yeh show kardaiti hai keh yeh abh kharaab hogaya hai toh abh pooja sirf Gayatri hi kar sakti hai aur phir Gayatri ka kehna wohi seerat wali baat aur Rageshwari ka sarh kar wahan se chalay jaana likin jab budhi ka Ranaji ko Savitri k paas khara dekha toh Rageshwari ko toh lag gai aag aur budhi hogai khush aur udher hi hogaya drama khtam toh I was like "Plan acha tha budhi...RaGa paas bhi agay...Gayatri khush bhi hogai...Likin iss khushi se mujhe Gayatri k liye bahut darr lag raha hai...Gayatri tum khush ho rahi ho theek hai likin dekho toh k sub achanak itna acha acha kaisa horaha hai? Kaun karwa raha hai aur kyun? Sochoo toh sahi...Yeh budhi nay toh Rageshwari ko double cross kardaala...Ufff...Pta nahi kitni ankhain hain iss budhi ki k har waqt har kisi pe hi nazar jamay bethi hoti hai kab kaun kia karaha hota hai saali ko sub hi pta hota hai, khair Rageshwari ka kaam kharaab karkay acha kiya likin agar Gayatri ko dobara nuksaan pohanchaya toh budhi tu toh gai phir...!!!"😈😈😈


As far as the precap is concerned, my reaction is..."Aww...Likin...Yeh zada horaha hai...Gayatriii WAKE UPPP"...🤔🤔🤔



Do share your thoughts guys😳😳😳


Thank you so much🤗🤗🤗

Created

Last reply

Replies

12

Views

797

Users

7

Likes

10

Frequent Posters

sishtyfan thumbnail
9th Anniversary Thumbnail Voyager Thumbnail
Posted: 9 years ago
#2
Awesome review titli!! 👏
zindagi mai pehli baar is budhi ne kuch acha kaam kiya hoga!! Par ye itna meetha khila rahi hai na ki diabetes hojayega!! Hope chudail iska kaam kharab kardey!!
Aur g usko budhi ka sach pata chal jaaye!!
sagorika93 thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#3
lovely take dear ...
thanx for the pm 😊
MF13 thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Commentator Level 1 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#4
Awesome take epi.uff yeh buddi BRM aur uski nautanki 😡 jago savitri jago 😕
kuhelidebbarma thumbnail
10th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Visit Streak 30 Thumbnail
Posted: 9 years ago
#5
Superb review dear...
Thanks for the pm.
RM14 thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Stunner Thumbnail + 5
Posted: 9 years ago
#6
Superb review dear..👏
Yes BRM is helping Gayatri indirectly but Gayatri ko ajeeb laga ye bhi accha hai..hope jaldi doubt ho aur wo game plan samajh jaye.
Happy Navratri.🤗
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#7

Originally posted by: sishtyfan

Awesome review titli!! 👏
zindagi mai pehli baar is budhi ne kuch acha kaam kiya hoga!! Par ye itna meetha khila rahi hai na ki diabetes hojayega!! Hope chudail iska kaam kharab kardey!!
Aur g usko budhi ka sach pata chal jaaye!!


Thank you so much dear🤗
Haan...I hope the same dear😆
Haan bas abh pta chal jaana chaye!
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#8

Originally posted by: sagorika93

lovely take dear ...
thanx for the pm 😊


Thank you so much dear🤗
You're welcome😃
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#9

Originally posted by: MF13

Awesome take epi.uff yeh buddi BRM aur uski nautanki 😡 jago savitri jago 😕


Thank you so much dear🤗
Haan naatak toh khtam hain inkay...!!!
Hainaaa
TitliBaisa thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 9 years ago
#10

Originally posted by: kuhelidebbarma

Superb review dear...

Thanks for the pm.


Thank you so much dear🤗
You're welcome😊

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".