May 9th
Part 1
Krishna johpade ki bahar beth kar soch rahi thi kal raat ki bare me.
Krishna (apne aap se) 😲 : Yeh maine kya kar diya. Kya ho gaya tha muje. Kyun Yuvraj ko dekhkar main apne aap ko sambhal nahin sakti. Kya maine koi galti to nahin ki naa.
Aur Krishna isi khayal se ghabra gayi aur uski aankh se aanshu girne hi wale the ki yuvraj bahar aata hai.
Yuvraj (Krishna ke Aanshu apne hath me lekar) : Yeh kya. Tumne aaj muj se diya hua vaada hi tod dala. Tumhe pata hai ki main tumhari aankh me aanshu nahin dekh sakta. Aur baat kya hai ki tumhari aankh me aanshu.
Krishna (Yuvraj ki aur dekh ke) : Main bas kal raat ki baare me soch rahi thi. Maine kabhi nahin socha tha ki tum aur main is tarah.
Yuvraj (Krishna ke hath ko pakd ke) : Kuch galat nahin hua. Hum dono pati patni hai. Hum ne koi galti nahin ki.
Krishna (apne aanshu ponchti huyi) : Aaj maine tumhari patni hone ke sare farz nibha diye hai.
Yuvraj krishna ko apni bahon me leta hai.
Yuvraj (with smile) 😛: chale ab agar tumhara irada yahaan rukne ka hai to muje koi aitraaz nahin hai.
Krishna 😊: nahin ab hum e yahaan se jitni jaldi ho sake nikalna hoga. Shalaya hamara intazaar kar rahi hogi.
Yuvraj : Oh no, Main to Shalaya ko phone karna hi bhool gaya.
Yuvraj Shalaya ko phone lagata hai.
Shalaya: Bhaiyaa, aap thik to hai na mera matlab hai aap log kaha ho.
Yuvraj: hum log thik hai aur bas hum log yahaan se nikal hi rahe hai. teen char ghante me hum log wahaan pahonch jayenge.
Shalaya: thik hai per bhaiyaa sambhal ke drive karna.
Krishna aur Yuvraj dono apni car me bethkar wahaan se nikalte hai.
Kabir 😊: Tanya, ab tumhari tabiyat kaisi hai/
Tanya: 😒 Kabir, Tumhe meri chinta karne ki koi zaroorat nahin hai. main bilkul thik hoon. Tum office ja sakte ho.
Bua: Kabir, tum chaho to main Tanya ka khayal rakh sakti hoon jab tak tum offuce jao.
Kabir (Tanya ki aur dekhkar ): nahin buaji. is waqt business se jyada Tanya ko mere saath ki jyada zaroorat hai.
Kabir room se bahar chala jata hai tanya ko soch me chodke.
Part 2
Daksh Kabir se milne Raichand Empire jata hai per wahaan per jake use pata chalta hai ki Kabir office me nahin hai to woh Uday se milne uske cabin me jata hai.
Daksh : main yahaan per company ke pichle kuch saal ki finance reports dekhna chahta hoon.
Uday : Main sham tak ek copy aap ke ghar bhijwa doonga.
Daksh: 🤔 Tumhi the na jo Abhay ke bare me janne ke liye Australia gaye the. Kya tum muje bata sakte ho ki aisi kaun si wajah thi jise Abhay ko laga ki koi hai jo Raichands ko barbad karna chahta hai.
Uday : Yeh to pata nahin lekin main Bhaiyaa ke business partner or uske dost se mila aur unhone bataya ki Abhaybhiyaa Aman ke naam se business karte the. Ek din koi uske pass raichand empire ka project chinne ki baat lekar aaya aur tabi bhaiyaa India vapas aaye. Isse aage muje kuch pata nahin.
Daksh : Per tumhe waha kuch aisa mila jis se tum kisi pe shak kar sako.
Uday: Ek baat meri samaj me nahin aati ki woh project main aur Yuvraj handle kar rahe the aur uski details papa aur Arjununcle ke sivay kisi ko nahin thi to woh information bahar kaise gayi.
Daksh: Ab sabkuch mare samaj me aa raha hai. Bas hame kuch saboot mil jaye taki hum Arjun ko girftar kar sake.
Tabhi Daksh ke mobile pe kisika phone aata hai ki jo log is case me samil hai unhone use kisi hotel me dekha hai.
Daksh: Muje abhi abhi khabar mili hai ki jin logo ne Yuvraj pe hamla kiya woh kisi hotel me chupe huye hai.
Uday: main bhi aapke saath chalta hoon.
Uday aur Daksh dono Hotel ke kamre me pahunchte hai.
Uday us insaan ko pakdke marne hi wala tha tab daksh use rokta hai.
Daksh: ise marne se kuch nahin hoga. sab se pehle hume ise police station lejana hoga.
Daksh aur uday use police ke hawale karte hai.
Daksh : Tum kiske liye kam karte ho. Kya uska naam Arjun hai.
Gunda: muje nahin maloom saab, main sirf apne malik ke liye kaam karta hoon.
Daksh : thik hai bata kahan pe milega tera malik.
Gunda: Uska naam Sikandar hai aur woh station ki pichche wali basti me chupa hua hai.
Daksh : Uday humse pehle Arjun wahan per pahunche hume foran use pakdna hoga.
Daksh aur Uday basti pahunchte wahaan jakar pata chalta hai ki sikandar pichle teen dino se ghar nahin aaya. Aur uday aur Daksh dono ek dusre ko dekhte hi reh jate hai.
Part 3
Tanya apni Almari me kuch dundh rahi thi tabhi Kabir uske kamre me aata hai.
Kabir: 😕Tum kya kar rahi ho. maine tumhe aaram karne ko kahan tha na to phie kyun uthi.
Tanya 😒 : woh bas muje meri magazines chahiye thi.
Kabir: yeh kam to tum muje bhi bata sakti ho aur waise bhi main yahaan tumhari dekhbhal karne ke liye to hoon.
Kabir tanya ko bed tak lata hai aur phir use uski favorite magazine deta hai aur phir khidaki kholta hai.
Tanya : tumhe kaise jana ki main padhte samay muje khidaki khuli achchi lagti hai.
Kabir: ek waqt tha jab main tumhari choti si choti baatein notiice karta tha.
Tanya: Kya hum pehle ki tarah nahin reh sakte.
Kabir: ab tum padho, muje kuch kaam hai.
Tanya (apne aap se) : Krishna bhabhi thik hi keh rahi thi ki gujra hau waqt kabhi nahin aata aur gujra hua kal hamare aanewale kal ka faisa karta hai.
Yuvraj aur krishna car me drive kar rahe the tabhi yuvraj car kisi dhabe pe rukta hai.
Krishna: Yuvraj hum yahaan kyun ruke.
Yuvraj :😛 Tumhare haath ki chai to nahin mili lekin kam se kam yahaan per ek cup chai to milengi.
Krishna aur Yuvraj dono bete huye the tabi krishna Yuvraj se kehti hai ki woh bas ek minute me aati hai. Krishna dhabe wale ke pass jakar sardarji se gujarish kari hai ki kya woh apne pati ke liye ek cup chai bana sakti hai apne haath se. Sardarji use izazt deta hai aur kehta hai ki pyar ke liye to woh kuch bhi kar sakta hai. Krishna wapas aakar Yuvraj ke pass beth jati hai. Aur waiter aakar use chai deta hai.
Yuvraj (Chai ki pehli gooth pikar) : Krishna, tumne yeh chai.
Krishna (yuvraj ke hoth pe se chai ki bonde ponchti huyi) : aaj tak kabi aisa hua hai ki tum kuch chaho aur tumhe na mile.
Yuvraj (krishna ki aankhon me dekhkar) : thanks
Yuvraj aur krishna Dehradon pahonchte hai. Vp dono ko dekhkar bahot khush hote hai.
Vp: 😊Yuvraj, ghar pe sab log kaise hai, sab kuch thik to hai.
Yuvraj ( krishna ki aur dekhkar) 😳: haa papa, sab kuch thik hai. in fact Aditya bhai aur Uday bhi laut aaye hai. Aur do din bad aapke dream project ki board meeting bhi hai. Ise liye to main yahaan aapko lene aaya hoon.
Vp: 😊Krishna, tumhari aur bachche ki tabiyat kaisi hai.
Episode ends on Krishna's confused 😕 face.
thanks
with help of softk 6
love kashish