jo maine apne dil main dabai hui hai
log samajhte hai meri aankhon main koi ansoo nahi hai
per koi nahi jaanta
mere dil main aansoo k samandar bhari hui hai
main din ba din yaha se waha ghoomti hn
log mujhe pagal samjh kar guzr jate hai
per unhe kya pta
us waqt main apni saari hasraaton ko daba laiti hn
shaam ate hi meri hasraatain jaag uthti hai
phir shaam dhalte hi aik nayi subah aa jaati hai
us subah ko main apni hasraaton ko phir daba laiti hn
phir chup chup kar logo se jee bhar kar roti hn
kabhi kabhi dil kehta hai
k main cheekhon(scream)chillaon(shout)
apni hasraaton ko duniya k saamne laon
per chah kar bhi main aisa nahi kar sakti
kyunke main duniya k logo se hn darti
k kahi woh meri hasraaton ka mazak na udaye
k kahi woh meri saari armaano ko bikhair na dain
isi liye main chup rehti hn
apni hasraaton ko dabaye bhaiti(sit) hn
har zulm o sitam ko sehti hn
per
mujhse badi zalim aur koi nahi ho sakta
kyun ke main mazloom ban kar sab sun laiti hn sab seh laiti hn
lekin
aaj main cheekh kar kehti hn
aaj main duniya k saamne aailaan karti hn
k haan
haan yeh sach hai
haan
mere dil main kai hasraatain hai
jo maine apne dil main dabai hui hai
ISHA