GIFT OS - KAVITA KA MARM

Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago
#1




Hi Guys I am really
overwhelmed with all your wishes on my birthday your love is really very precious to me so this a gift treat to all of you an OS fro m my side KAVITA KA MARM. hope u all like this attempt 😊
yadi nahin to bhi 1 din jhel loo 😆
love u all lots specally my all MWBS this one iss for you all who have gifted me 2 beautiful OS 🤗


Edited by GOLD.A - 10 years ago

Created

Last reply

Replies

38

Views

4.2k

Users

15

Likes

74

Frequent Posters

Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago
#2
Guys those who don't know I am big fan of poet Ashok Chakradhar he writes awesome & beautiful funny poems with a strong message. Poems in this are inspired by that only 😊 & I hope you all like it & appreciate it. 😊

For those who don't know him here is the pic 😊





I really feel nice to hear him hope you like it too 😊



Edited by GOLD.A - 10 years ago
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago
#3



KAVITA KA MARM


Ek din subah kavi Ashok Chakradhar apne ghar ke bahar tehel rahe the tabhi unhone ek police karmi ko apne ghar aate dekha.

Police ko dekh ke ashok ji haalat kharaab ho gayi wo darte hue bole "aap kaun hai aur yaha kisse milna hai?" police waala smile ke saath bolta hai"aap mashoor Hasya kavi Ashok chakradhar hai na?"

Ashok ji kehte hai"haan aur ye mera h ghar hai par maaf keejiye aine aapko pehchana nahin aur maine to police ko bulaya nahin"

Police waala smile karke kehta hai ab to ghar bhi dekh liya hai ab to rooz milenge"

Ashok ji chaukkar "are bhai maine kuch nahin kiya hai main ek maamooli sa kavi hoon mere peeche kyu pade hoo? maine kuch nahin kiya hai"

Police waala boolta hai "are hum jaante hai ki aapne kuch nahin kiya main bas ye kehna chahta tha ki main aapse kavia likhna seekhna chahta hoon"

Ashok ji chauk kar bolte hai "tum kavita seekhna chahte hoo"

Police waala bola "haan aap mere guru ban jaayiye Mera naam Arjun hai main police min hoon to sab mujhe khadoos samajhte hai aap mujhe sikhayenge to koi mujhe khadoos nahin kahega aap mujhe apna chela bana leejiye "

Ashok ji e chan ki saas lete hue kahah"haan theek hai main sikhaunga par main aise nahin sikhata paehle main ek Vishay bata hoon uspar kuch likhwaata hoon fir apna shishya banata hoon"

Arjun bola "theek hai to aap mujhe Vishay batiyiye main uspar likh kar dikhaaonga" kuch deer soochne ke baad ashok ji bole"theek hai tum like shyam ka waqt aur aadmi ki udaasi chdiya chek rahi hai shyam ka waqt hai aur aadmi udaas hai tum jitna waqt chho loo aur jab kavita poori ho to mujhe dikhana"

Arjun kush hokar chala jaata hai. Agle din subah Arjun fir Ashok ji ke yaha jaata hai aur darwaaza khatkhatata hai. Ashok ji use dekhkar kehte hai "are Arjun tum wo bhi subah subah" Arjun said "haan aapne kahah than a kavita likhna aapke bataye Vishay par to wahi likh kar laaya hoon" Ashok ji kehte hi accha pad ke sunao" Arjun panda shuru karta hai.. "Iska sheershak hai Shyam ka waqt aur aadmi ki udaasi"

Kotwaali ke ghante jaisa peela peela sooraj

Dheere dheere S.P ke chehre sa gulaabi ho gaya

Fir kisi jebkarte ki phodi gayi khoopdi sa lal ho gaya

ji kamal ho gaya

hathkadiyoo ki khankhanahat jaise chdiya chehchaaye

Bairak ke kharrato jaise maindak bhi tarryaye

Duty ki thkavat se shareer charmaraye

Mera mann ye sab dekh ke udaas ho gaya ji niraash ho gaya

Quaii din bhar pit ke jail main karhaahe

File ke dheer table pe mujhko aur pakaaye

Fir bhi madat ko koi nahin aaye

Chor jaise khali jeb milne se udaas ho gaya ji niraash hogaa

Ye shyam kya hui satyanaash h gaya!

Ashok ji kavita sun ke kya bole unhe samajh nahin aata aakhirkaar arjun ek khados ACP Hai.

Ashok ji sochte hi aur kehtehai "Are waah Arjun tum bahut guni hoo bahut accha likha hai main tumhe zaroor sikhaunga tum aise hi leikhte rehna tumhe lekhani swatantra aur acchi hai" itna kehkar wo arjun to tarka dete hai aur chan ki saas lete hai ye sooch ke ki bala tal gayi par unhe pata nahin ki bala aur chad gayi hai.

Agle din Arjun dubara Ashok ji k ghar jaat hai aur kehta hai "guru ji guru ji gazab ho gaya ek khoon ho gaya"

Ashok ji kehtte hai "are tum to police waale ho na khoon to aam baat hai aaj kal isme gazab kya ho gaya ?"

Arjun bola "guru ji gazab ye hua ki is chakkar main main eek nayi kavita likh daali "

Ashok ji ko samajh nahin aata wo kehte hai "khoon pe kavita ?"

Arjun kehta hai "Haan guru ji suniye main sinata hoon" Arjun panda shuru karta hai.. "iska sheershak hai qutal"

Danda mera jaise hi duty se band hua tha

Dushmno ko peet ke nishchint hua tha

Waise hi IG ne bulwa liya liya mujhko

Bole qutal ho gaya hai jaake taftessh karo

Darwaaze pe aundhe mooh ek laash padi thi

Laash ki kalati main videshi ghadi thi

Arjun Rukkar bolta hai "suspense dekhiye guru ji bahut accha hai"

Gale main chain aur zakham ke nisshan

Fir bolta ghai "ab nishaan ki tuk kya milaayi hi wo dekkhiye guruji"

Chaar baar chaku kiya peeth main pradaan

Maine hawal daaro ko diye zaroori aadesh

Aur saare ghar ko acche se kiya investigate

Kuch deer baad mujhe lead ek mili

Jisse mujhe quatil ki detail pata chali

Main jut gaya apne saathiyoo ke saath usko karne arrest

Aur paunch gaya uske adde hotel Harvest

Kuch der baad quatil ander aaya

Par main tha smart maine pehle hi jaal bichaya

Kuch der baad finally quatil meri pakad main aaya

Maine usko fir accha sabak sikhaya

Bahar aaya to mujhe bench ek dikhi

Aur bith kar maine uspe ye kavita likhi.

Ashok ji ko samajh nahin aata ki wo kavita pe kya tippani dain kuch der chup rehne ke baad wo kehte hain "ye kya likha hai tumne aise koi kavita likhta hai wo bhi khoon par tum abhi tak kavita ka sahi matalab nahin samjhe hoo jis din samjhoge us din aise kavitaaye nahin likhoge tum"

ye kehke ashok ji ander chale jaate hai aur rjun sooch main pad jaata hai uske bad wo unse nahin milta 3 -4 din tak Ashok ji ko bura lagta hai wo soochte hai shayad wo kuch zayada bol gaye hai wo to bas utsaah se unhe kavita sunnane aaya tha uske agle din unhe rjun dikhayi deta hai wo use poochte hai "are arjun bahut din se nahin aaye kya haua koi kavita nahin likhi aur itne dukhi kyu hoo?"

Arjun unki taraf dekkar muskurata hai aur kehta hai "haan hamari zindigi par likhi hai is baar sheershak hai Har baar" Arjun kavita sunnana shuru karta hai:

Har baar zindigi dhoka de jaati hai

Har baar koi adchan aade aa jaati hai

Har baar hamari mehnat pe paani fir jaata hai

Har baar koi rais ya raajneeta in gundo ko chud leta hai

Har baar kannon ka aise loog mazaak banate hai

Har baar begunah logo ki suraksha ko daav par lagate hai

Har baar hame un gundo se mooh ki khaani padti hai

Har baar hamari himmat unke aage bauni nazar aati hai

Tankhwa ke naam par chand sikke haath main aate hai

Jisse din mushkil se guzar paate hai

Rehne ke saadhan bhi khasta haal hote hai

Pariwaar waale bhi badhaal hote hai

Ise sudharne ki har koshish nakaam ho jaati hai

Har baar zindigi dhoka de jaati hai

Har baar koi adchan aade aa jaati hai

Kavita sun ke ashok ji geele aakhe poonch kar muskuraate hai aur arjun ko gale laga ke kehte hai "aaj tumne sach main Kavita likhi hai aur bahut acchi likhi hai"

Arjun unhe dekhkar muskurata hai aur ashok ji kehte hai "main tumhe jo samjhana chahta thaw o tum bahut acchi tarha samajh gaye jisme manavta , prem aur logo ke dukh takleef nahin hoo wo kuch bhi hoo par kavita nahin hai"




Edited by GOLD.A - 10 years ago
Delusional_Minx thumbnail
Posted: 10 years ago
#4
wonderful..fantastic di
loved it
the poems were very beautiful!
Ashok ji ki kavitaye bahot sundar hoti he.. i really love them!
thanks a lot for this os!
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago
#5

Originally posted by: Godly_Affection

wonderful..fantastic di

loved it
the poems were very beautiful!
Ashok ji ki kavitaye bahot sundar hoti he.. i really love them!
thanks a lot for this os!

Thanks Dear
Glad u liked it 😊
atharin thumbnail
11th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#6
hai di it was a really nice and sweet os
the poem is mindpeacing
got to know ur birthday today
so wishing u a many many happy returns of the day
may god always full fill ur life with happiness
and di ur libra me too
Edited by atharin - 10 years ago
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago
#7

Originally posted by: atharin

hai di it was a really nice and sweet os

the poem is mindpeacing
got to know ur birthday today
so wishing u a many many happy returns of the day
may god always full fill ur life with happiness
and di ur libra me too

Thanks dear
glad u liked it
keep loving my work 😊
Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago
#8

Originally posted by: zubiya92

Awesome os
Thanks for pm

Thanks Zuby dear
glad u liked it 😊
skrafty thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 2 Thumbnail
Posted: 10 years ago
#9
Awesome OS
Loved it
amazing
the poems were really nice especially the last one

Gold.Abrol thumbnail
Posted: 10 years ago
#10

Originally posted by: skrafty

Awesome OS
Loved it
amazing
the poems were really nice especially the last one

Thanks Aarohi dear
Glad u liked it 😊

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".