Ch1.
''Mrs.Randhawa,aap hai kahaan? Hum aapko kabse dhunde jarahe hai? Aap apna phone bhi nahi utha rahi hai?'' Guru sounded so worried.
''Ya Allah.. Randhawa sahab.. Aap humari fikr na karein... Hum bilkul thik hai... Hum bahar shopping mall mein aaye hai kuch kharidari karne. Eid aur Diwali ek hi mahine mein hogi,ussi keliye... Phone ka battery dead hogaya hai,isiliye aapka call nahi araha hai.. Aap chinta mat kijiye.. Hum thik hai..'' Haseena replied with a warm sile,which Guru felt over the phone.
''Accha ji.. Yahaan aapke pati aapke liye chinta kar rahe hai aur wahaan aap muskura rahi hai?'' Guru tried to tease Haseena.
Haseena's cheeks was tinted with a light hue of pink.. She replied, ''Kya karein Randhawa sahab.. Humare shohar ko hum aise hi manana pasand karte hai.. Aate hai.. Bye...''
''Bye..'' Guru replied and kept the phone and got indulged in his work.
By that time,the Joint Comissioner of Mumbai Police came inside his cabin.Guru immediately stood and saluted him and allowed him to sit down.
''Arey waah,Guru? Bohut khush nazar arahe ho? Majra kya hai?''
''Woh... Aisa kuch khaas nahi hai,Sir.''
''Hmm... Apne senior se bat chupaoge?''
''Aisa nahi hai Sir.. Woh.. Main apni Begum Sahiba se baat kar raha thha.. Eid aur Diwali ek hi mahine mein par rahi hai,isiliye shopping karne gayi hai.. Phone utha nahi rahi thi,isiliye thora worried thha..''
''Bohut accha hai.. Jaante ho.. Tumhari aur Haseena ki jodi mano Allah Ta'ala ne khud fursat se banayi hai.. Tum dono alag alag mazhab se ho lekin ek dusre ko bohut respect karte ho aur pyaar bhi... You are an ideal police officer,saath mein,ek ideal partner bhi... Haseena is very lucky to have you...''
''Iss maamle mein Haseena se main bohut lucky hu.. She is truly an angel in my Life. Jitna main apne aap ko nahi jaanta,woh mujhe mujhse zyada behtar jaanti hai.. I really love her... (after a pause) i am really sorry Sir... Ghar ke baato pe uljha diya aapko.. Aap kis kaam se aaye hai,Sir... Aap mujhe bulate.. Main aajata...''
''Its ok,Guru... Waise bhi,mujhe bhi accha laga sunke... You both are an ideal couple.. Meri Mrs. bhi tumdono ki baatein karti hai.. Balki,meri Maa ne tum dono ko bohut aashirwaad bhi diya hai... Anyways,yeh file dene aya thha.. Bohut important file hai. Sikander wapas agaya hai India mein.. Last time pakar nahi paye hum.. Agar iss baar nahi pakar paye,toh hum sabko iss post se nikal diya jayega...'' JCP replied.
''Hmm... You are right,Sir...'' Guru replied.
''Sikander ki baki details toh tumhe ETF jaake milegi,kyunki,Sikander ko jisne dekha thha aakhri baar,woh aur koyi nahi,ACP Arjun Rawte thha,jiski pehli biwi ko maara thha khud Sikander ne.. I hope Riya aur Sameer tumhari madat karein in sab mein..'' JCP replied.
''Sameer aur Arjun... Sameer madat karega,par,Arjun ka bharosa nahi,kyunki,woh toh Sikander ka naam sunte hi bharak jaata hai... Anyways,ab humein sabkuch mil baithke plan karna hoga. Arjun aur Sameer ke beech woh purani dosti nahi rahi Roshni ke maut ke baad. Ek Haseena hi hai jo Sameer aur Arjun ko mana sakti hai.. Haseena se puchke aapko batata hu,Sir..'' Guru replied.
''Thik hai... You have my permission... Mujhe inform karna ki kya decision Haseena ne liya hai.. Uss hisaab se hum baithke baat karenge.. Jai Hind..''
''Jai Hind,Sir.''
JCP leaves and Guru calls his PA and asks him to inform ETF that DCP Randhawa has asked them to come over to his house for a formal dinner. The PA leaves and he informs Haseena about ETF coming for dinner.
Precap: Discussion about the plan. Guru shouts at Arjun for misbehaving with Haseena... Haseena slaps Arjun and tries to make him and Sameer understand.