*dolly* thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#1

I thought of opening this thread to cretae a light mood..MODS please feel free to close it if you think its useless...

In this thread, please post those Hindi songs which have an Emotional Impact on you - reminding of someone, or some incident, some city or just plain nostalgia !

I will start with this one of my favourite songs is....

Movie: Junglee
Singer: Mohammad Rafi

ehsaan tera hoga mujh par
dil chahta hai woh kehne do
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
mujhe palkon ki chaav mein rehne do) (2)
ehsaan tera hoga mujh par

tumne mujhko hasna sikhaaya ho (2)
rone kahoge ro lenge ab (2)
aansoo ka hamaare gham na karo
woh behte hai to behne do
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
mujhe palko ki chaav mein rehne do
ehsaan tera hoga mujh par

chaahe banaa do chaahe mitaa do hoo aaaa (2)
mar bhi gaye to denge duvaayen (2)
udd udd ke kahegi khaak sanam
yeh dard-e-mohabbat sehne do
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
mujhe palko ki chaav mein rehne do
ehsaan tera hoga mujh par
dil chahta hai woh kehne do
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
mujhe palko ki chaav mein rehne do
ehsaan tera hoga mujh par


watch the video in

http://www.youtube.com/watch?v=aaY-K2cNfmU

Edited by *dolly* - 18 years ago

Created

Last reply

Replies

83

Views

10k

Users

15

Frequent Posters

*dolly* thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#2

another one...

http://www.youtube.com/watch?v=7aPtjImR5RA

Movie: Aandhi
Singer: Kishore Kumar

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi, shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi, zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi

Kaash aisa ho tere qadmo se, chun ke manzil chale aur kahi door kahi - 2
Tum gar saath ho, manzilo ki kami to nahi
Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi

Jee mein aata hai, tere daaman mein, sar jhuka ke ham rote rahe, rote rahe - 2
Teri bhi aankho mein, aansuo ki nami to nahi

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi

Tum jo keh do to aaj ki raat, chaand doobega nahi, raat ko rok lo -2
Raat ki baat hai, aur zindagi baaki to nahi

Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi,
shikwa nahi, shikwa nahi, shikwa nahi
Tere bina zindagi bhi lekin, zindagi, to nahi,
zindagi nahi, zindagi nahi, zindagi nahi

Edited by *dolly* - 18 years ago
*dolly* thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#3

http://www.youtube.com/watch?v=gdB9j-G8eBM

Hindi Song Title: Aapki Nazaron ne samjha
Hindi Movie/Album Name: Anpadh
Singer(s): Lata Mageshkar
Actors: Dharmendra, Mala Sinha
Music Director: Madan Mohan
Lyrics: Raja Mehdi Ali Khan

Aapki Nazaron Ne Samjha, Pyaar Ke Kabil Mujhe
Dil Ki Ai Dhadkan Thaher Ja, Mil Gayee Manzil Mujhe
Aapki Nazron Ne Samjha

Ji Hamen Manzoor Hai, Aapka Ye Faisla
Kah Rahi Hai Har Nazar, Banda Paravar Shukriya
Do Jahaan Ki Aaj Khushiyan Ho Gayee Haasil Mujhe
Aapki Nazron Ne Samjha …

Aapki Manzil Hoon Main Meri Manzil Aap Hain
Kyon Main Toofaan Se Darun Mere Saahil Aap Hain
Koi Tufanon Se Kah De, Mil Gaya Sahil Mujhe
Aapki Nazron Ne Samjha …

Pad Gai Dil Par Meri, Aapki Parchhaiyan
Har Taraf Bajane Lagin Saikadon Shahnaaiyaan
Hanske Apni Zindagi Mein, Kar Liya Shaamil Mujhe
Aapki Nazron Ne Samjha …

Edited by *dolly* - 18 years ago
*dolly* thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#4

every time I listen to this song it makes me emotional...and I go for the phone to call my folks in India...

http://www.youtube.com/watch?v=cU3Qy382Jbw


Hindi Song Title: chitti aayi hai chitti aayi hai
Hindi Movie/Album Name: Naam (1986)
Singer(s): Pankaj Udhas
Actors: Pankaj Udhas, Amrita Singh, Sanjay dutt, Nutan, Kumar Gaurav
Music Director: Laxmikant Pyarelal
Lyrics: Anand Bakshi

chithi aayi hai aayi haai chithi aayi hai
chithi aayi hai watan se chithi aayi hai
badE dinon ke baad ham bewatanOn ke paas,
watan ki mitti aayi hai, chithi aayi hai.
chithi aayi hai watan se chithi aayi hai...

upar mera naam likha hai, ander yeh paigaam likha hai
Oh pardes ko jaane wale, lout ke phir na aane waale
saat samunder paar gaya tu, hamko jinda maar gaya tu
Khoon ke rishtey tOd gaya tu, aankh mein aasoo chOd gaya tu,
kam khaatey hai kamm sotey hain, bahut hi jayada ham rotey hain.
Chithi aayi hai aayi hai.....

sooni ho gayin shehar ki galiyan, kaantey ban gaye baag ki kalian
kehte hain sawan ke jhooley bhool gaya tuu ham nahin bhooley
tere bin jabh aayi diwali, deep nahin dil jale hain khali
tere bin jabh aayi holi, pichkari se chooti goli
pippal soona panghat soona, ghar shamshan ka bana hai namoona
fasal kati aayi besakhi, tera aana reh gaya baki
Chithi aayi hai aayi hai chithi aayi hai...

Pehle jabh too khat likhta tha, kagaz main chehra dikhta tha
Band hua yeh mEl bhi abh tO , band huya yeh khEl bhi abh tO
Doli main jabh baitie behna rasta dekh rahe the naina
Main tO baap hoon mera kya hai, teri maa ka haal bura hai
Teri bibi karti hai sewa , surat se lagti hai meva.
Tuney paisa bahut kamaya , is paise ne des chudaya
Des paraya chouD ke aaja , panchi pinjra tord ke aaja -2
Aa ja umar bahut hai choti apne ghar main bhi hai roti.
chithi aayi hai ....

chithi aayi hai aayi hai chithi aayi hai
badE dinon ke baad ham bewatanOn ke paas,
Watan ki mitti aayi hai, chithi aayi hai aayi hai.
Bade dinon ke baad, watan ki mitti aayi hai.
Chithi aayi hai aayi hai aayi hai.

Edited by *dolly* - 18 years ago
*dolly* thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#5

http://www.youtube.com/watch?v=AYdpkWX4T5Y

Song : Ye kyaa huaa
Movie : Amar Prem
MD : R D Burman
Singer : Kishore Kumar

ye... kyaa huaa... kaise huaa.. kab huaa..
kyu huaa.. jab huaa.. tab huaa..
chhodo.. ye naa socho..
ye kyaa huaa..

hum kyo.. shikawaa kare zoothhaa..
kyaa huaa jo dil tootaa..
sheeshe kaa khilaunaa thaa
kuchh naa kuchh to honaa thaa.. huaa

humane jo dekhaa thaa.. sunaa thaa..
kyaa bataaye wo kyaa thaa..
sapanaa salonaa thaa
khatam to honaa thaa.. huaa

aye dil chal peekar zoome..
inhee galiyon mein ghoome..
yahaa tuze khonaa thaa
badanaam honaa thaa.. huaa..

Edited by *dolly* - 18 years ago
*dolly* thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#6

this is one of my fav.. 😛

http://www.youtube.com/watch?v=5EBrkEyCJ5Q


Movie: Shree 420

Song: Mud Mud Ke Na Dekh

Starring: Raj Kapoor, Nargis


mud mud ke na dekh mud mud ke
mud mud ke na dekh mud mud ke
zindagaani ke safar mein tu akela hi nahin hain
hum bhi tere humsafar hain
zindagaani ke safar mein tu akela hi nahin hain
hum bhi tere humsafar hain
mud mud ke na dekh mud mud ke
mud mud ke na dekh mud mud ke

aaye gaye manzilon ke nishaan
lehraa ke jhooman jhuka aasmaan
lekin rukega na yeh karwaan
aaye gaye manzilon ke nishaan
lehraa ke jhooman jhuka aasmaan
lejin rukega na yeh karwaan
mud mud ke na dekh mud mud ke
mud mud ke na dekh mud mud ke

mud mud ke na dekh mud mud ke
mud mud ke na dekh mud mud ke
zindagaani ke safar mein tu akela hi nahin hain
hum bhi tere humsafar hain
zindagaani ke safar mein tu akela hi nahin hain
hum bhi tere humsafar hain
mud mud ke na dekh mud mud ke
mud mud ke na dekh mud mud ke

nainon se naina jo mila ke dekhe
mausam ke saath muskura ke dekhe
duniya usi ki hain jo aage dekhe
nainon se naina jo mila ke dekhe
mausam ke saath muskura ke dekhe
duniya usi ki hain jo aage dekhe
mud mud ke na dekh mud mud ke
mud mud ke na dekh mud mud ke

duniya ke saath jo badalta jaaye
jo iske saanche mein hi dhalta jaaye
duniya usi ki hain jo chalta jaaye
duniya ke saath jo badalta jaaye
jo iske saanche mein hi dhalta jaaye
duniya usi ki hain jo chalta jaaye
mud mud ke na dekh mud mud ke
mud mud ke na dekh mud mud ke
zindagaani ke safar mein tu akela hi nahin hain
hum bhi tere humsafar hain
zindagaani ke safar mein tu akela hi nahin hain
hum bhi tere humsafar hain
mud mud ke na dekh mud mud ke

Edited by *dolly* - 18 years ago
-Chicha- thumbnail
18th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail + 2
Posted: 18 years ago
#7


Movie:Humko Tumse Pyaar Hai
Music: Humko Tumse Pyaar Hai

(tumko chaha tha tumko chahenge
waade jo kiye woh nibhaayenge) - 2
aye sanam har janam ka yeh ikraar hain
humko tumse pyar hain - 2
Chorus : humko tumse pyar hain - 2
tumko chaha tha tumko chahenge
waade jo kiye woh nibhaayenge

ho wada hain mera ab dil yeh tera
kabhi zindagi mein na maayus hoga
ho meri wafaye tere liye hain
meri jaan tujhko yeh mehsoos hoga
bas tere liye mera dil bekaraar hain
humko tumse pyar hain - 2
tumko chaha tha tumko chahenge
waade jo kiye woh nibhaayenge

meri tamanna khushi ban gayi hain
koi aa gaya hain meri zindagi mein
ho mohabbat ne meri bulaya hain mujhko
uda jaa raha hu main bekhudi mein
aa bhi ja -2 mujhe tera intezaar hain
humko tumse pyar hain - 2
tumko chaha tha tumko chahenge
waade jo kiye woh nibhaayenge
aye sanam har janam ka yeh ikraar hain
humko tumse pyar hain - 4
Chorus : humko tumse pyar hain - 2
*dolly* thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#8

another very emotional song....

http://www.youtube.com/watch?v=NNwyFHqUbRA

Movie : Yaarana
Singer : Kishore Kumar
Music : Rajesh Roshan

Lyrics : Anjaan
Actors : Amitabh Bachchan, Neetu Singh, Amjad Khan


Chookar mere mann ko, kiya toone kya ishara
Chookar mere mann ko, kiya toone kya ishara
Badla ye mausam, lage pyara jag saara

Chookar mere mann ko, kiya toone kya ishara
Chookar mere mann ko, kiya toone kya ishara
Badla ye mausam, lage pyara jag saara
Chookar mere mann ko, kiya toone kya ishara

Tu jo kahe jeevan bhar, tere liye main gaaoon, tere liye main gaaoon
Geet tere bolon pe, likhta chala jaaoon, likhta chala jaaoon
Mere geeton mein, tujhe dhoonde jag saara

Chookar mere mann ko, kiya toone kya ishara
Chookar mere mann ko, kiya toone kya ishara
Badla ye mausam, lage pyara jag saara
Chookar mere mann ko, kiya toone kya ishara

Aaja tera aanchal liye, pyar se main bhar doon, pyar se main bhar doon
Khushiyan jahan bhar ki, tujhko nazar kar doon, tujhko nazar kar doon
Tu hi mera jeevan, tu hi jeene ka sahaara

Chookar mere mann ko, kiya toone kya ishara
Chookar mere mann ko, kiya toone kya ishara
Badla ye mausam, lage pyara jag saara
Chookar mere mann ko, kiya toone kya ishara
.

Edited by *dolly* - 18 years ago
*dolly* thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#9

2 versions...

from movie shor

by lata ji and mukesh ji

http://www.youtube.com/watch?v=13xSMwmLESc

http://www.youtube.com/watch?v=jRJt2-i3JYY


Ik pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Ik pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai

Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ik pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai

Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ik pyar ka nagma hai

La la la la la la, la la la la la la

Kuch paakar khona hai, kuch khokar paana hai
Jeevan ka matlab to aana aur jaana hai

Do pal ke jeevan se ek umar churaani hai

Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ik pyar ka nagma hai

Tu dhaar hai nadiya ki, main tera kinaara hoon

Tu mera sahaara hai, main tera sahaara hoon
Aankhon mein samandar hai, aashaaon ka paani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ik pyar ka nagma hai


Toofaan to aana hai, aakar chale jaana hai
Baadal hai yeh kuch pal ka, chhaakar dhal jaana hai
Parchhaaniyan reh jaati, reh jaati nishaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ik pyar ka nagma hai, maujon ki ravaani hai
Zindagi aur kuch bhi nahin
Teri meri kahaani hai
Ik pyar ka nagma hai

Edited by *dolly* - 18 years ago
*dolly* thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#10

this is one of the few newer songs that I love to hear again again......lyrics, picturization and lyrics 👏👏

Movie : FANAA
Music : Jatin-Lalit
Singers : Sonu Nigam, Sunidhi Chauhan, Kajol, Aamir
Actors featuring in song : Kajol Devgan & Aamir Khan

http://www.youtube.com/watch?v=H0xxVrwaNSo


Aamir :
mere haath mein, tera haath ho
saari jannatein, mere saath ho
tu jo paas ho, phir kya ye jahan
tere pyar mein, ho jaaoon fanaa

Kajol :
mere haath mein, tera haath ho
saari jannatein, mere saath ho
tu jo paas ho, phir kya ye jahan
tere pyar mein, ho jaaoon fanaa

Aamir :
mere haath mein, tera haath ho
saari jannatein, mere saath ho

Kajol (speaks) :
tere dil mein mere saason ko panaah mil jaaye,
teri ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye

Aamir :
kitne paas hain, khusbu saans ke
jitne paas hoton ke sargam
jaise saath hai, karwat yaad ke
jaise saath baahon ke sangam

Kajol :
jitne paas paas, khwabon ke nazar
utni paas tu, rehna humsafar
tu jo paas ho, phir kya ye jahan
tere pyar mein, ho jaaoon fanaa

Aamir :
mere haath mein, tera haath ho
saari jannatein, mere saath ho

Aamir (speaks) :
rone de aaj shaam ko, do aankhen sujaane de
baahon mein lene de, aur khud ko bheeg jaane de
hai jo seene mein qaid dariya, woh choot jaayega
hain itna dard ke tera daaman bheeg jaayega

Kajol :
jitne paas paas, dhadkan ke hain aas
jitne paas boondon ke baadal
jaise saath saath, chanda ke hai raat
jitne paas nainon ke kaajal

Aamir :
jitne paas paas, sagar ke lehar
utne paas tu, rehna humsafar
tu jo paas ho, phir kya ye jahan
tere pyar mein, ho jaaoon fanaa

Kajol :
mere haath mein, tera haath ho
saari jannatein, mere saath ho

Aamir (speaks) :
adhoori saans thi, dhadkan adhoori thi
adhoore hum, magar chand poora hai fanak pe
aur ab poore hain hum

Edited by *dolly* - 18 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".