Auni Get Hospitalised - Page 7

Created

Last reply

Replies

65

Views

12k

Users

20

Frequent Posters

miss_neha thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago
#61
Excellent part... im soooo glad u continued after sooo long.... I hope angad dus not take swayams side!!!!!
P.S: Jus wanted to suggest that can u rite in the topic name wen u updat ur part... because it makes it muc easier for us to know wen u hav updated ur ff, n if u dnt know how to do it, jus PM me n ill tell u!!!!
Thanx
Neha 😊
Abhilasha_Yadav thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#62
Swayam ke muh se blood nikal raha hota hai aur woh Angad se takra jaata hai.

Angad-Oh my god swayam ye kya hua tujhe 😲.Tere muh se khun kyun nikal raha hai.

Swayam-Kuch nahi yaar bas woh ander choti si ladai ho gayi thi.

Angad-Ladai hogai?Kaun tha woh.Usse ko abhi phod kar aata hoon 😑 .

Swayam(thinking)-Kyun na mein auni ko isse pitwa doon.Mujhe mara tha na ussne.

Angad-Bata na kiski himmat hui aisa karne ki 😑.

Swayam-Kuch nahi yaar chod na.

Angad-Nahi tu bata mujhe.Aakhir itni himmat kaun rakhta hai jo mere dost ko angad khanna k dost ko haath laga raha hai 😑 .

Swayam-Yaar woh meri auni se ladai hui hai 😑 .

Angad-What woh kripa ka bhai.Hua kya tha?Chodunga nahi mein usse.Bata mujhe kya hua tha.

Swayam-Yaar woh milee ko tease kar raha tha.meine usse bachane ki koshish kari toh hum logon mein ladai ho gayi.Tu iss bare mein milee se kuch mat kehna.

Angad-Nahi mein usse kuch nahi kahunga par woh hai kahan?

Swayam-Yaar woh to ghar chali gayi.

Angad-Aur ye auni ka bacha kahan hai?

Swayam-Chod na yaar 😈 .

Aangad-Nahi tu mujhe bata ye auni kahan hai?Isse to mein aaj nahi chodunga.Milee ko chune ki himmat bhi kaise hui uski 😑 .

Swayam-Woh piche basket ball court mein hai.

Angad aur swayam auni k paas jaate hain.

Auni-Oh hi Angad 😊 .

Angad Auni ka collar pakad leta hai.

Auni-Kya hua Angad πŸ˜• .

Angad Auni ke ek zor se punch marta hai.

Angad-Meri behan ko haath lagaya.Meri behan ko tease karne ki himmat hui kaise 😑 .

Auni-Arre angad meri baat to suno .

Swayam- 😈 .

Tabhi wahan principle aa jata hai

Swayam-Angad princi chal

Angad-Nahi aaj to mein isse nahi chodunga 😑 .

Swayam-Angad agar princi ne dekh liya to bahut mushkil ho jayegi.Chal yahan se chalte hain.

Angad-Tujhe to baad mein dekh lunga 😑 .

Swayam Angad ko bahar le aata hai.

Angad-Woh auni aaj principle ki wajah se bach gaya nahi to aaj woh gaya tha.

Swayam(thinking)-Dont worry angad baaki ka kaam mein pura kar dunga.Iss auni ko bahar to nikalne do aaj bachega nahi 😑 .

Angad-Swayam mein guitar classes ke liye jaa raha hoon.Kal milte hain bye.

Swayam-Bye 😊 .

Angad ke jaane ke baad Swayam kisi ko phone karta hai.

Swayam-Haan mujhe 7-8 gunde chahiye.Aaj shaam 8 baje unhe faridabad road par mujhse milne ko kehna.

Phone rakhne k baad

Swayam-Ab to tu gaya auni 😈 .
monikaseth thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 18 years ago
#63
omg finaly you updated πŸ‘ great part πŸ‘
sabrinaa. thumbnail
19th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 4
Posted: 18 years ago
#64
oo i love it!! continue sooooon. πŸ‘ πŸ‘ πŸ‘
kyphkamahbuba thumbnail
Explorer Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#65
wat the hell yaar you only wrote a little write up man.. 😑
Abhilasha_Yadav thumbnail
20th Anniversary Thumbnail Navigator Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 18 years ago
#66
Angad guitar classes mein jaa raha hota hai tabhi uski car se ek village girl takra jaati hai.

Angad-Oh no 😲 .

Angad apni car se bahar aata hai.

Angad-Hello?Aapko kahin chot to nahi aayi 😲 .

Jaise hi angad uss ladki ka face dekhta hai woh bilkul shocked ho jaata hai.

Angad-Kripa?Oh my god ye meine kya kar diya?Iske to kitna khoon beh raha hai.Kripa utho.Kripa ?

Tabhi piche se Kripa apni car mein nikalti hai.

Kripa-Arre angad tum yahan kya kar rahe ho?

Angad- 😲 .

Angad jaise hi sadak par dekhta hai wahan koi ladki nahi hoti hai.

Kripa-Arre tum ne abhi se bhik mangne ki practice bhi shuru kar di πŸ˜†?

Angad-U 😑 .

Kripa-Arre isme gussa hone ki kya baat hai?Chalo tumahri pehli bheek mein hi tumhein de deti hoon πŸ˜† .Ye lo 100 Rs.Ab kya karoon tum to uche level ke beggar ho isliye tumhein 100Rs diye.Tumahre 4 din ke khaane ka arrangement ho jayega πŸ˜† .Bye Mr.Angad πŸ˜†.

Kripa wahan se chali jaati hai.

Angad-Ye kaise ho sakta hai?Abhi to ye meri gaadi se takra kar sadak par behosh ho gayi thi aur phir achanak se car mein 😲 ?Ye ho kya raha hai?Anywayz chalo class ke liye late ho raha hoon.

Raat mein auni apni bike se aa raha hota hai tabhi usse sadak par ek aadmi behosh pada hua dikhta hai.Auni apni bike rok kar uss aadmi ko dekhne jaata hai.

Auni-Hello bhaisaab.Aap theek to hain?

Tabhi woh aadmi khada ho jaata hai.

That Men-Haan mein to theek hoon par ab tu zyada der tak theek nahi rahega 😈 .

Auni-Matlab.

Auni ke piche se aur aadmi aa jaate hain.

Other Men-Matlab hum samjhate hain bache.Bahut par nikal aaye hain na tere.Chal abhi ter par kaat dete hain 😈 .

Auni-Dekho mere raaste se hat jao.

Everyone-Itni jaldio bhi kya hai?pehle humse thodi baat to kar lo.

Woh sab milkar auni ko maarna shuru kar dete hai.Pehle to auni unse ladta hai par baad mein pitne lagta hai.Tabhi wahan se Angad ki car nikalti hai.

Angad-Arre ye samne kya ho raha hai.Itne saare gunde kisse maar rahe hai πŸ˜• .

Jab angad dhyaan se dekhta hai to woh auni ko pehchaan leta hai.

Angad-Arre ye to Auni hai 😲.I think i should help him
aakhir usse help ki zaroorat hai.

Angad car se utarkar auni ki help karta hai aur gundon ko bacha leta hai.

Angad-Oh my god iske to bahut blood nikal raha hai 😲.Mujhe isse hospital le jaana chahiye.

Angad Auni ko hospital le jaata hai.

Docter-Dekhiye ye ek police case hai.Pehle aap FIR karwaiye phir hum isse admit karenge.

Angad-Doc Mein Angad Khanna hoon famous industrialist Mr.Khanna ka beta.Mein police mein report karwa dunga par aap isse admit kar lijiye plz πŸ˜• .

Docter-Nahi pehle police mein complaint karwaiye tabhi

Angad-Kya tabhi?Aap docter hain ya koi jaanwar?Ek aadmi dard mein tadap raha hai aur aap ko complaint ki padi hai 😑 .Kaha na kara dunga aap isse admit kijiye.

Docter-Nurse patient ko ander lekar jaiye.Aap inke ghar walon ko report kar dijiye.

Angad-Docter mein iske ghar walon ko nahi jaanta.Aap unhe inform kar dijiye,mein complaint likhwane jaa raha hoon.

At Kripa's Home telephone rings.

Kripa-Hello.

Nurse-Kya ye Auni Sharma ka ghar hai?

Kripa-Ji haan 😊 .

Nurse-Dekhiye mein modi hospital se bol rahi hoon aur iss waqt mr.auni hamare yahan admit hai.

Kripa-Kya 😲 .Kya hua usse 😭 .

Nurse-Ji unhe kisi ne bahut buri tarah maara hai.

Kripa-Hum abhi wahan pahuch rahe hai.

Kripa hospital pahuchti hai.

Kripa-Doc mera chota bhai kaisa hai 😭 .

Doc-Abhi to kuch kaha nahi jaa sakta.24hrs wait karna padega.Woh toh acha ua Mr.Angad khanna unhe yahan le aaye nahi to pata nahi kya hota.

Kripa-Angad Khanna 😲

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".