It's understatement to say show is moving away from reason & logic so who cares anymore, sannu bas mazze lene he to here goes phun post, so mind it đ
Raman - hay re meri majboori, tum na hoti to kya hota, kuch me aisa karta to kuch me waisa karta, lekin...
Majboori - kya kar lette, aise hi philusuphi kya surru kar di, abhi to pegg bhi nahi mara
Raman - abbe peg kya maru, tumne kum mar ke rakha he, merre dil ke itne saare armaan bass dil me dharre baitha hu, tunne jo itna bura haal kiya he, bas woh kab khatam ho issi intezaar me baitha hu
Majboori - aisa kya haal kiya he jo itna complain kar rahe ho, acche khase to khade ho samne
Raman - accha khasa khada hu to tumhe jal rahi he đĄ saala tumhara aur bass chale to mujhe khada bhi na rehne do. kya haal kiya he, saram nahi aati yeh sawal se. aisa emotional atyaachar kiya he ke jab dekho madhusala bhej dette ho. Patiala peg chodo puri ki puri bottle uthani padti he. Madhusala ke itne hi pnakhe (fan) banana tha to abbe ghar pe baith kar me Bachchan ji ki poetry bhi to padh sakta tha. Woh padh ke bhi me feel la deta, yeh sach me pilani zaroori he??
Majboori - arre pehle philusuphi se abhi kawita pe kyun ja rahe he, itni chotti si baat
Raman - abbe kawita to aise bol raha he jaise padosh wali item ki baat kar raha he. Arre mere dil ke dard ko mesoos karega to kawita kya puri kitab likh duga. Aur chotti si baat, abbe kitne dinno se mujko rulaye ja rahe ho. Ab to glycerin ki bhi zaroorat nahi padti, saala script padh ke hi rona aa jata he đ aur yeh jo baar baar barish hoti he na woh kamine pani thodi he, mere aansu jo sambhal ke rakhte he aur usiko use karte he. fir bolte je reclying ka zamana he. saalo recly kar kar ke apne purane ghatiya track use karte ho woh kam he. mujko kissi abla bahu se bhi battar bana diya he, ab to yeh log dialogue bhi change nahi karte. wahi adi ke liye, majboor hu, samjo mujhe aur fir bottle uthao aur barish me ro đ
Majboor - arre take a chill pill, itna bhawna me beh na jao. arre meri wajah se mana ke itne sitam uthaye lekin dekho log tumhari acting ki kya tareef kar rahe he, to khush ho
Raman - abbe tu khush hone ki baat kar raha he, itna rulata he aur bolta he khush ho. rahi baat acting ki to woh to me waise bhi acchi hi karta hu. teri zaroorat nahi thi. aur chalo mana ek baar tu aa gayi thik he acting kar di. lekin tu to meri kundali me shani ke jaise fassa he. itni bhi acting nahi dikhani mujhe. aur acting kya dukhi me hi dikhati he, kushi me bhi to dikha sakta hu
Majboori - arre kya khushi me, aisi kya khushi chahiye jo itna bol rahe ho
Raman - kya khushi, arre tumhare bina to me subah khush hota aur shaam ko hasta firta. kabhi ruhi ki ice cream dilata to kabhi ishu...
Majboori - ab aayi na sach baat, ishu ke gun gaate raho. arre aisa kya kar lette
Raman - abbe to aur kiski baat karu. peechale 6 saal se to 2 mistakes of life khel raha hu. adimanav ka naam lekar meri pehli galti dimaag kharab karti rehti he. arre itni baar bola adi ke liye adi ke liye ke ab to naam sunke lagta he ab aur kya karvayega. isse accha to me uss raat ko jaldo so jata taki yeh musibaat peda hi na hoti aur na uske naam se tu tapkti
Majboori - arre aisa kya kar lette Ishu ke saath jo itna excitment dikha rahe ho, me bhi to sunnu
Raman - aisa kya kar leta, abbe woh salsa yaad he, woh to bas teaser hi tha. Salsa to wahi pe khatam ho gaya lekin abhi itni sari chips baki he ke kya bolu đ par kya kare ne to tu durr jati he na woh merre pas aati he. jab dekho to adimanav ki wajah se mujhe majboor karte he CVs, arre kabhi Ishu ke naam pe bhi majboor karo fir dekho đ goddi me bithana aur goddi me uthane se to me suruwat karuga. abhi jis tarah adimanav ke isharo pe naach raha hu, tab to apni marzi se nachta.
arre me rasam ki kasam khaata hu, jaise idli sambhar me dubb jati he, me ishu ki aankhon me aisa dubb jata, shagun naam ki chammach bhi mujhe usme se nikal na paye
hamare idli sambhal ki chemistry me chutnni jaisi meri ruhi bhi aisi ghul mil jati, viewrs ki aankhe aur dekhene ke liye taras taras jati. aisi marte entriyaan ke viewers ki bajti rehti gantiyaan. lekin aisi kismat kaha, abhi to me yeh adimanav ki wajah se tujme fasa hu
Majboori - arre mujpe kya chilate rehte ho, jao jake bolo na CVs se, Unhone mujhe fix karke rakha he to me kya karu
Raman - arre woh log samjate to aur chahiye kya? Mujse zayada sayana to woh baccho ko dikha rahe he. meri itni si betti sab samaj jati he lekin me nahi kyunki me majboor hu đĄUnhone mujko to fasa diya tere saath, ab viewrs ko patane ke liye har roz itne saare segment aur interviews denne padte he. screen pe to khush reh nahi sakte, har roz off screen selfie bhejni padti he tab jake viewers saanti rakhte he. lekin aisse hi majboori ka raag gata raha to kahi viewers majboor na ho jaye channel change karne ke liye !!!
That's it for now, I too am majboor to end it here đ but I sure am not majboor to watch crap so instead of using tv which wud add trp, I watch show online đ đ
Edited by jay_bpm - 11 years ago
0