Dosti ki kahaniyan suni hai hum ne kai,
Kuch yaad hai kuch bhula di gayi!
Magar inki Dosti ke bhulayee bhoolte nahi fasane
Bhai hum toh Pramanit hai Abhijeet Daya ke Deewane...
Anokhi hai yeh dosti saalon poorani,
Aao sunati hoon Aaj Abhijeet Daya ki kahani.
CID me ek naya sub inspector tha aaya,
Lubhavni si shaksiyat aur naam tha Daya
Shant Swabhaav aur Tez Dimaag mano thi inki ki pehchaan
Acche Acche Mujrim inke aage khol dete the jabaan
Fir CID me aaye Karmath se Sr. Inspector Abhijeet
Jo Swabhaav se the hoshiyaar Par tha dhundla inka ateet..
Har Mujrim ko uske anjaam tak pahunchane ki Abhijeet ko thi Dhun
Aur Nishana aisa Abhedh mano jaise yehi hai kalyug ke Arjun.
Waise toh Abhijeet ko aksaar ateet ke saayon ne pareshaan kiya
Magar Har Dard, Har Pareshani me Daya ne unka saath nibhaya
Bade bade case in dono ne apni hoshiyari aur bahaduri se hai suljhayee
Abhijeet Daya ki jodi ne milkar CID me aneko kamal kar dikhayee
Abhijeet jub kehte hai 'haan Daya' toh hum ho jaate hai ghayal
Inki sanketik bhasha ke, Aankhon ke isharon ke hum hai kayal
Jub hote hai dono saath toh lagta hai koi jadoo hai chaya
Inki bas maujoodgi se hi, aam sa drishya bhi khaas ban gaya
Aude se badkar hoti hai dosti yeh inhone hume hai sikhaya
Dosti me Vishwaas ki ehmiyat ka paath hai padhaya
Har kadam par dosti ke naaye mayne se robaroo karaya
Apne dost ki bhavnao ka samman karne ka raasta dikhaya
Aisi dosti ke koi kaise bhool jaayee fasane?
Hum they, hai aur humesha rahenge Abhijeet Daya ke Deewane
605