Kabhi kabhi kuchh situations bht ajeeb hoti hain...jinme hone k bad insan ko ehsas hota h ki actully wo jo jan rha tha...jindgi usse bhi kuchh alag hi h...
Part8
ram...main car me tumhara wait kar rha hu...come fast...
Priya...pr jana kahan h???
Ram bina kuchh kahe hi chala jata h...priya ko bht dar lagta h...use lagta h kahin ram abhi le jakr use rahul k pas na chhod aaye...phir se uske samne uski jindgi aa jati h ram k sath bitayi hui jindgi ...jisme ram hamesha uncomftable rha h...pta nhi kyun wo kabhi na khud priya k pas aata tha aur nahi kabhi priya ko apne pas aane deta tha...shayad aaj priya ise behtar samjh sakti thi...ram ka bat bat pr bahane bnana ..ajeeb ajeeb si kahaniya sunana...der rat tak study me kam karna aur priya jb intezar kar kar k thak k so jaye tab kamre me ana...but ye sirf utni hi der k liye hota tha...baki har samay to ram bilkul alag hota tha...priya ka bht khyal rkhne wala uski har bat sunne wala jid manne wala...uske liye kuchh kuchh karne wala...priya yhi sab soch rhi hoti h...udhar neeche ram bhi yhi sabkuchh soch rha hota h pr uski har soch is bat pr khtm hoti thi ki priya h to kisi aur ki...khair ram ek bar horn bajata h jisse priya ki soch tut jati h aur wo chaunk jati h aur bhag k bahar aati h...ram use dekhta h...priya aake car me baith jati h...ram car start karta h...dono khamoshi se kuchh der chalte rhte hain pr kitna yar???..ye chuppi kahin to tutni chahiye...aur obiously priya hi todegi...
Priya...ram ...ap btayenge hum kahan ja rhe hain...??
Ram kuchh nhi bolta h
priya...ram...main kuchh puchh rhi hu apse...bataiye kahan ja rhen hain hum???
Ram...priya...tumne kabhi socha nhi???
Priya...kya???
Ram...yahi...ki tumhare aas pas jitne log hain utne hi kyun h???...aur koi kyun nhi h??...jaise ma bap bhai bhn???
Priya...kabhi jarurat hi nhi padi
ram...kyun???
Priya...kyunki jab bhi gharwalo k bare me sochti to apke gharwalo k chehre samne aa jate...kabhi ghar k bare me sochti to kapoor mention dikh jata...aur...
Ram...aur kya???
Priya...aur kabhi jindgi k bare me sochti to aap dikh jate...apko pta h...mere liye priya ram kapoor sirf ek nam nhi h jindgi h...pehchan h...lekin apne priya aur ram ko alag karke meri jindgi ko bemani kar diya...
Ram...tumhe mujhpar bht gussa ata hoga na
priya...han bht jyada
ram...u hate me na
priya...han
ram...m tumhe takleef de rha hu isiliye na...
Priya..:nahi balki isliye qki aap apne apko takleef de rhe hain
ram...priya ho sakta h main sahi hou
priya...aur agr aap sahi nhi huye aur cheeze bigad gyi to unhe sahi kaun karega???
Ram...tum aisa isliye keh rhi ho...qki tum pura sach nahi janti
priya...abhi bhi kuchh janne ko baki h???
Ram...han
priya...kya???...dekhiye ram jitne bhi sach hain aap bta dijiye agr main itna bardasht kar sakti hu to kuchh bhi bardasht kar sakti ...agr m apkse dur jane ki bat sun sakti hu to main kuchh bhi sun aur seh sakti hu...to pls jo kuchh bhi h plsss bta dijiye mujhe...main marungi nhi
ram...priya yar... Aise mat bolo pls..
Priya...raam...ap bas sach btaiye mujhe abhi aur kuchh nhi sunna h...
Ram...priya hum mile the ek accident ki wajah se..
Priya...kitni bar ek hi bat btayenge...ye ap bta chuke hain aur aage ka main janti hu
ram...han main janta hu lekin jo main bta chuka hu aur jo tum janti ho...uske beech me bhi ek sach h
priya...kya???
Ram...yhi ki maine tumhe ye nhi btaya ki tumhari shaadi rahul se hui nhi thi hone wali thi...
Priya...ooohhh...thank god main janti thi...aisa nhi ho sakta tha...mujhe kabhi us insan k liye feelings nhi hui tabhi m samjh gyi thi...
Priya ram k gale lag jati h jiski wajah se ram achanak car rok deta h aur priya ko hata k bahr aa jata h...priya bhi bahr aati h
priya...ab kya hua ram??...abhi to apne bola ki meri shaadi rahul se nhi hui h
ram...han but tumhari shaadi
priya...apse hui h na
ram...nahi mujhse bhi nhi hui h...
Priya...matlb???
Ram...mtlb ye ki...
Flashback start
ram aur vikram jane lagte hain tabhi jor ki awaz hoti h dono mud k dekhte hain aur ram jor se chillata h priyaaa...actully priya phir se road cross karne ki koshis karti h but is bar samne se aa rhi car se takra jati h ram aur vikram wha bhag kar aate hain...priya buri trh se ghayal ho jati h...dono use hospital le jate hain...ram apne nam k bute pr situation handle karta h...do din bit jate hain pr priya ko hosh nhi ata h...policwale priya k liye wait kar rhe the...aur ram bhi...qki priya jab tak hosh me akr sach na bta de wo wha se ja nhi sakta tha...finally teesre din priya ko hosh aa hi jata h...doctor sure nhi rhta h ki priya kaise react karegi but phir bhi wo ram vikram aur police ko andar bulata h...priya ankhe kholti h tabse police usse sawal puchhne lagti h...ki uska accident kaise hua tha??...kya hua tha???
Priya...raaam
ram...are maine kuchh nhi kiya ye ladki pehle se hi pagal h...humne to bachaya h ise...
Doctor...ek min mr.kapoor.:...excuse me priyaji kya ap janti hain inhe???
Priya...han ye ram hain
doctor...to kya inhone apka accident kiya h???
Priya...nahi ye mera accident kyun karenge???
Police...to kisne kiya h??
Priya...pta nhi...pr inhone nhi kiya h ye main janti hu
police...kaise???
Priya...are ye mere pati hain to accident kyun karenge bhai...aur main bilkul theek hu to ab aap jaiye...
Ram kuchh kehne jata h to vikram use roke leta h...ram us waqt to chup ho jata h..pr police k jate hi priya pr chillane lagta h
ram...hw dare u??...kuchh der k liye meri soch badal gyi thi but no...u r actully mad...m tumhara pati kab ho gya???
Priya...are jab apne mujhse shaadi ki...
Ram...shaadi kab ki mne???
Priya...are aaj hi to thi...whi se to aa rhe the hum to shayad accident ho gya
ram...hamari shadi nhi thi,,,
doctor...mr.kapoor...pls she is not so well to pls kuchh bhi kehne se soch lijiyega...
Doctor bol k chala jata h ram hairan pareshan usko kuchh samjh nhi aa rha tha ki kya kare???..wo bhi doctor k peechhe jane lagta h to priya rokti h...
Priya...ram...kahan ja rhe hain??..mujhe Chhod ke...
Ram mud ke dekhta h priya bht ajeeb se use dekh rhi hoti h...ram uski nazaro ko bardasht nhi kar pa rha tha...lekin ram chala jata h..bahar doctor to nhi milta h samne vikram khada rhta h...
Ram...vikram...chalo ghar chalte hain
vikram...priya ko chhod ke???
Ram...chhod ke mtlb???..chhod k hi to jayenge..are insaniyat k nate jitna hamara farz tha kar diya...bas
vikram...are par doctor ne to bola ki uski yaddasht chali gyi h
ram...toh??...bolne ko to priya ne bhi bola ki main uska pati hu to kya use apne ghar le jau!??
Vikram...lagta to h ki yhi karna padega...
Ram...pagal ho gya h tu...ek anjan ladki ko apne ghar kaise le ja sakta hu yar...
Vikram...to ek anjan aur akeli ladki ko shehar akela chhod k ja sakta h...
Ram...han to tujhe itni daya aa rhi h to tu leke ja apne ghar...
Vikram...le jata agr main shaadishuda nhi hota aur meri biwi k pas akal k nam pr kuchh hota to...pr use handle karna ise handle karne se jyada mushkil h...mera kam tha bolna aage teri marzi
ram...han to tune bol diya mne sun liya...main ja rha hu tujhe ana h to aa nhi to rh yha...
Ram bahar nikal jata h pr vikram nhi ja pata h..ram car nikalta h parking se aur chala jata h..vikram ko kuchh samjh nhi ata h wo priya se milne jata h...
Vikram...hi priya main vikram...ram ka dost
priya...hi...ram nhi aaye??
Vikram...are wo 3 din se yhi tha to ghar gya h fresh hone abhi aa jayega...
Priya...oh...aap to jante honge unka ghar na...mera yha rhne ka man nhi h..mujhe ghar jana h
vikram...janta to hu pr...
Priya...pr kya??..ram ne mna kiya h kya??
Ram...han mna kiya h..
Viram...raaam...thank god...bach gya main..
Vikram ram k pas aak dheere se bolta h..sale jab wapas hi ana tha to itna nautanki karke gya kyun tha...
Ram...kamine teri nautanki ki wajah se ana padha..jo imotional atyachar kiya tha na tune akeli ladki ko lekar...
Priya...kya hua??..koi problm h??...aap mujhe apne sath nhi le jana chahte hain??..maine koi glti ki hai kya???
Ram...nahi nahi...tum to galtiya karti hi nhi ho...are main khud le jaunga na apni biwi ko..chalo ghar chale m discharge karata hu
priya khush ho jati h phir teeno ghar aate hain... Flashback end
ram...yahi h hamari jindgi ki sachhai...tumhari shaadi kisi se bhi nhi hui h...ek jhuth ki wajah se bht sare jhuth bole gye
priya...oh ..aur kuchh baki h ya ho gya..??
Ram...ek kam aur h...wo
priya...ise yha kyun bulaya??
Rahul dono k pas ata h..priya ko to uski presence pasand nhi h phir bhi ram k liye bare kar leti h...
Ram...rahul..main priya ko tumhare sath aise nhi bhej sakta..tumhe priya se shaadi karni padegi...but akhiri faisla priya ka hoga..jo wo kahegi whi hoga...priya ab tumhe faisla lena h..
Priya dono ko dekhti rhti hai..aur use dono pr gussa aa rha hota h ki kyun ye dono iski jindgi me aaye??..khair wo khud ko strong bna kar ansr karti h...
Priya...theek h main kal subah bataungi sabke samne...aap ghar aa jana...aur ram kya ab hum ghar ja sakte hain???
To b continue...