It's a story on some IF- PR members, who have boarded a bus from goa to Mumbai. They have spent their vacation with respectrive friends and now returning back to Mumbai for personal work etc. They are not aware that they know each other so well. They behave like strangers to each other.
Ali comes and sits near aakash
Aakash- bhai saab aap zara kahin aur baithenge..itni saari ladkiyan hain..main soch raha tha koi ladki mere paas baithegi
Ali- bhaiya mujhe koi shauk nahin tha aap ke paas wali seat pe baithne ko..wo conductor ne idhar bitha diya
( inki baaten sunke pichhe baithi Piya aur Aarti has uthti hain.)
Piya- dekha na aapne yeh ladke kaise hote hain. Din raat bas ladki ladki
Ali- o madam aap ne kuch kaha kya hamare liye
Aarti- ji nahin hum ne bas yehi kaha ki aap dono ki Jodi kaafi achhi lag rahi hai
Aakash- hey bhagwan..bhai saab aap idhar se jaiye kahin aur baithiye..warna log hamen kuch aur samjhenge
(paas ki seat pe nishi aur sid baithi hain. Ek aur seat pe tass aur monica.)
Ali- ( Sid ko) madam ji aap idhar baith jaiye aur main aap ki seat pe baith jata hun
Sid- mujhe koi shauk nahin. Main yahin pe khush hun
Nishi- aap yahan baitho. Koi baat nahin. Par yeh mat kaho ki aap yahan pe khush ho. warna log hamen kuch aur samjhenge (LOL)
Ali- ( aakash ko) bhai main kuch nahin kar sakta. Aap khade ho jayen
Aakash- oh my god..maine socha tha yeh trip achhi rahegi. Inti saari ladkiyan is bus ko book kar rahe hain dekh ke maine bhi yehin booking kari. Par yeh kismat bhi na…
Monica- oh kitne bakar bakar kar rahe hain yeh do ladke..
Aakash- aapne kuch kaha..chaliye aap aur main paas paas baithte hain
Tass- aap dono chup rehne ka kya lenge..aap dono keliye hi yehi achha hoga ek doosre ko pasand kar len..aur journey ka maza uthayen (LOL)
Aarti-guys don't u think hum logon ko ek doosre se baat karna chahiye..
Nishi- mujhe jyada baat chit pasand nahi..main bas sunungi
Tass- achha kis bare mein baat karenge
Ali- oh bhuke pet kya baat..main bag mein se kuch nikalta hun..kukrkure ke packets honge..anybody interested
Sid- wow..I am interested…tum mujhe kurkure do main tumhe biriyani deti hun..ekdum homemade
Ali- tumne to meri badi behen ki yaad dila di..wo hamesha mujhe apne haathon ka khana khilane keliye bula rahi hai par main ja hi nahin pa raha hun
Piya- khane se mujhe yaad aaya..tum mein se kisi ko rajma chawal pasand hai…mere paas hai
Aakash- mujhe kuch khaas pasand to nahin..par pyar se dogi to kha lunga
Piya- mere bf ko pasand hai..isliye main bhi is khane ki aadat dal rahi hun..
Aarti- (LOL) waise mere unko bhi rajma chawal pasand hai
( baki saari ladkiyan)- are mere bf ko bhi
Ali- to sab ne wohi pack kar rakha hai kya…koi baat nahin bf na sahi chhota bhai samajh ke khila do
Aakash- mujhe kuch khilane ki zaroorat nahin par bhai mat samajhna plz
( sab haste hain)
Tass- tum bahut hasate ho yaar..waise hum sab ke bf ko ek hi item kaise pasand..wo bhi rajma chawal
Monica- itna dimaag mat lagao..kahin wo ek nikla to hum sab ka dill toot jayega ( LOL)
(everybody laughs)
Aakash- jinki pasand hai rajma chawal
Un keliye hain ladkiyan pagal
Nishi- kya pakau shayari hai…waise kai saari aisi shayari maine padhi hai
Monica- net pe log likhte rehte hain
Aarti- waise aap logon ka Mumbai mein kya plan hai. Wasie yeh bus pahunchte pahunchte 8:30 baj jayenge
Piya- oye tab to jald hi cousin ke ghar pahunchna padega 9 baje se pehle
Sid- haan mere ko bhi..serial dekhna hai Pavitra Rishta
Baki sab- are haan hum ko bhi dekhna hai
Ali- ab samjha kahin PR ka jo hero Manav usi ko aap log apna bf to nahin keh rahe? Us ghonchu ko bhi rajma chawal pasand hai
Piya- aye bachhe..manav ko ghonchu kaha to teri jubaan kat ke haath mein rakh dungi. Wo wake hi mera bf hai.
Aarti- nahin tumhe shayad galafehmi hai . uska mere sath pichhle 5 saal se affair chal raha hai…affair bole to soild affair..samjhi na
Tass- are nahin…manav se to meri shaadi tak ho gayi hai, jab main school mein thi..u know child marriage
Sid- huuhhhh..badi aayi shaadi karne wali..manav se mera hi lafda chal raha hai..
Monica- yeh lo…mera dilwar hai wo..aur tum log jhagad rahe ho..khair jhagdo..mumbai aane mein abhi kaafi samay hai..time pass ho jayega
Nishi- main kuch keh nahin rahi iska matlab yeh nahi ki manav se maera koi nata nahin
Sid- naata kyun nahi hoga..bhai behen ka naata hoga
Nishi- aye…
( 30 min tak jhagda chalta hai. Sab log ek doosre se jhagdate hain)
Aakash- girls aisa jhagada hum ne kai baar padha tha net pe par pehli baar real mein dekh rahe hain..please carry on
Ali- aap sab ko mera sawal hai..manav keliye aap kis had tak ja sakti hain
Piya- had…teri jaan le lungi main pehle to…tu kaun hota hai hadd puchhne wala
Aarti- ohhh hum dono ne saari haddein paar kar li hai..ab kya had paar karna
Tass- school time se shaadi ho gayi thi meri usse..aur aap sab ko pata hai shaadi ke baad kya kya hota hai..i need not clarify..
Sid- oye….jhooth bolne ki bhi hadd hai..waise bhaiya tum hamen yeh puch kyun rahe ho
Ali- jhagda lagane ko aur kya (LOL)
Nishi- tum aise puchhte ho na…mujhe kisi ki yaad aati hai
Monica- haan mujhe bhi
Aakash- mujhe bhi aap logon ka jawab sunke aisa lag raha hai ki yeh sawal jawab mere liye naya nahi hai
( sab log soch rahe hain..aisi kya baat hai hum sab mein jo baar baar yeh sochne pe majboor kar raha hai ki yeh sab baat suni hui hai…aise sochte sochte Mumbai aa jati hai…sab utarte hain. Apna apna saman utha ke chalne se pehle baat karte hain)
Ali- to doston hum logon ne kuch achha samay bitaya..chalo..ab apne apne raste chalte hain..phir milenge chalte chalte
Sid- tum to mere bhai Ali ke jaise baat karte ho
Ali- mera naam bhi Ali hai waise
Sid- really..kahin tum IF wale Ali to nahin?
Ali- haan
Sid – main sid…
( sab log ek doosre ka naam puchh lete hain aur story saaf ho jati hai…par kaafi samay ho chuka hai..sab ko apne apne raste jana hai ab. Sab log dukhi ho gaye ki ab juda hona hai)
Another person comes to them. He was also travelling in the bus, but he was silent.
Man- zindegi aisi hi hai…ek bus hi to hai..aisi bus jiske kai saare stoppages..kab kis ko kahan pe utar jana hai….aap ke paas jo aadmi baitha hai shayad aap usse baat bhi Karen ..apna dost bhi man le..lekin uske sath aapka sath bas tab tak hai jab aap dono mein se kisi ek ka stoppage aa jaye..uske baad wo alag aap alag…hum yeh nahin samajh pate ki yeh sab temporary hai…bas aise hi dil laga baithte hain..nothing is permanent..so be happy that ek baar hi sahi aap log ek doosre se mile to..aage kabhi nahin miloge yeh soch ke dukhi kyun hona
Ali - aap kahin SD bhai to nahin
SD- are haan ..tumne mujhe pehchan liya Ali…
( all of them decide to go to a restaurant and enjoy a dinner aur uske baad sab apne apne raste)
p.s. while talking to sid and ali, this idea came to my mind. Even if we talk to each other so much, know each other very well, but can we ever meet each other..kya hum log ek doosre se milna nahin chahte?