sinalbest thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#1
Hi Guys 😊
Back with another OS.. Will surely update my other OS soon,,😊
Till Then enjoy this..😉😉

*OS Pehli Barish*

Part-1

Pehli barish... iske apnapan ka ehsaas ... dil ko sakun dene wala ehsaas sabse alag hota hai...

Pehli barish... iski mitti ki khusbu ka ehsaas... usme bheegne ka ehsaas..sabse alag hota hai..

Pehli barish... ka ehsaas... kuch khaas hota hai... zindagi mein ek nayapan lata hai...

Pehli barish-iski bundo ka ehsaas apni saanso mein... kuch alag hota hai...

Aisa ehsaas jisse zindagi bhar ke liye har koi thamna chahta hai...

Kuch aisa hi ehsaas mehsus hua tha.. jab usse pehli baar dekha tha...

Vo saal ki pehli barish thi.. usse pehli baar dekha tha... barish mein bheegte hue..

Kuch aisa hi mehsus hua tha...

Uss ehsaas ko zindagi bhar ke liye thamna chahta tha.. chahta tha ki hamesha uske sath rahu...

Uski aankho ki chamak... barish ki bundo ki tarah thi.. jis mein dubna chahta hu...

Uski khusbhu uss gili mitti ki tarah thi.. jise apne mein basana chahta hu...

Uski hassi ki khanak uss tarah jaise tez barish ki aawaz... usse hamesha sunna chahta hu..

Kuch aisi hi kashish thi usme jo mujhe uski aur khiche ja rahi thi...

pata nahi kyu nahi rok paya apne aap ko uske kareeb jane se...



Do hit Like button if u Like it..

And Do leave ur comments..


Sagar

Created

Last reply

Replies

24

Views

5k

Users

10

Likes

67

Frequent Posters

sinalbest thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#2

Part-2

Uss ehsaas ko aaj bhi mehsus karta hu...

Uss ehsaas ki khusbu aaj bhi mehsus karta hu..

Uss ehsaas ke apnepan ko aaj bhi mehsus karta hu...

Kunal closes his diary.. & closes his eyes leans on the chair.. Goes in Flashback..

Aaj do saal ho gaye.. Par lagta hai ki jaise kal ki baat ho... Uss din agar late nahi hota to usse kabhi nahi milta...

Saal ki pehli barish thi.. jab usse pehli baar dekha tha... Pehli baar mujhe mere writer banne ka proud feel hua tha...

Being a famous writer.. where ever i goes.. my fans are there...

Aur vo bhi mujhse autograph lene aayi thi... Barish mein bheegte hue... Chehre par hansi.. aankhon mein chamak.. ek chote bacche jaise khusi..

Mein kabhi autograph dena pasand nahi karta tha... Par usse dekh kar apne aap ko rok nahi paya.. bas khicha chala gaya..

Uske paas jo kagaz tha vo barish ki boondo se bheeg gaya tha.. Uss par pen chala nahi...

Aur mein bhi pura bheega hua tha.. to mere paas bhi nahi tha...

Uske chehre ki hansi kho gayi.. yeh dekh kar ki vo mera autograph nahi le payegi.. Aur uss ek pal mein usse udaas nahi dekh paya.. Usse pehle kayi ladkiyon ne apne hath par mera autograph liye the.. Mein usse choona chahta tha .. usme kuch aisi kashish thi ki mein yeh sochne laga tha.. Par samajh nahi aaya ki kaise usse kahu ki mein apke hath par autograph dena chahta hu...

Shayad vo bhi yeh kehne mein dar rahi thi...

Phir usne vo baat bol di jo mere mann mein thi... Usne apna hath aage bada kar kaha ki aap yaha kar sakte hai..

Uske haath paani se bheega hua tha.. usne apne bheege hue dupatte se uss pani ko kam kiya..

aur jab maine uss ke hath ko chua to aisa mehsus hua jaise kisi gulab ko hath laga ke mehsus hota hai.. bahut nazuk.. bahut pyaara ehsaas..

Ek ajeeb sa ehsaas hone laga.. Kapte hath se maine autograph diya.. usse laga barish ki thand ki vajah se mere hath kaap rahe hai.. par mere hath uss ke ehsaas se kaap rahe the... Uss ek ehsaas ne mujhe kamzor bana diya.. Ab mein uss hath ko hamesha thamna chahta tha... hamesha ke liye... Uss ek pal mein apni zindagi uske sath jeene ki Kalpana kar baitha tha..

jab maine pen se uske hath mein apna naam likha.. to mann mein darr tha kahi usse dard to nahi hua.. Apna naam chahta tha ki uske dil mein reh jaye...

Jaise hi maine naam likha ... usne apna hath mere hath se vapas le liya.. uss pal laga jaise zindagi khatam ho gayi...

Uski pyari si awwaz ek phir fir se suni.. jab usne kaha thank u.. aur vo apne hath ko dekhte hue jaane lagi.. aur mein usse dekhta raha.. jaise meri zindagi mjhse dur ja rahi ho r mein kuch nahi kar paa raha...

Par vo jate jate ek dam se ruki... meri dhadkane ek baar phir tez ho gayi.. mjhe laga vo phir mujhe dekhegi.. aur usne mud kar mjhe dekha..

Mujhe laga jaise zindagi phir mujhe mil gayi.. uski nazron ne phir mujhe mere jeene ka ehsaas dilaya...

Vo ek baar phir mere paas aayi... mein bas usse dekhta raha..

Usne bahut pyar aur darte darte kaha.. ki apka naam to ghar jate jate mere hath se mit jaega... aur uske chehre par udasi cha gayi...

usne idhar udhar dekha aur bus stand par lage mere novel ki publicity ka kagaz dikha... aur uske chehre par fir muskaan cha gayi.. aur vo kagaz lakar diya aur autograph fir se dene ko bola...

Mein ek baar phir unn aankho mein kho gaya.. aur na nahi bol paya... Mein likne laga.. to usne kaha.. ki.. mein uska naam likhu.. uske neeche apna naam likhu...

Usne ek kagaz par hum dono ka naam likhne ko kaha.. par mein to zindagi bhar ke liye likhna chahta tha...

Tabhi mujhe ehsaas hua ki maine uska naam hi nahi pucha...

Mere puchne se pehle hi usne apna bata diya... "Siddhi"..

Aaj tak isse pehle koi naam mjhe accha nahi laga.. par uss din bahut pyara aur pyar bhara laga.. Siddhi...

autograph diya uss..

To,

Siddhi..

Kunal Chopra...

Mein likhna chahta tha.. Urs Love.. Par nahi Likh paaya...

ek baar phir usne apni pyari si aawaz mein.. Thank u kaha.. Na jane kaise kashish thi uski aawaz mein.. jo mujhe uski aur keeche ja rahi thi.. Na jane kaisi kashish thi unn ankho mein jo mujhe usse dekhte rehne par majboor kar rahi thi.,,..

Mein apne aap ko usme khone laga tha... Sirf yahi chahta tha ki waqt tham jaye...

Mein usse saari umar dekhta rahu.. iss ehsaas ko zindagi bhar ke liye apne dil mein kaid karna chahta tha...


Do hit like button if u like it..

And do leave ur comments..


Sagar

sinalbest thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#3

Part-3

Par shayad kuch lamhe saath rehne ke liye nahi bas apni yaadon chod jaane ke liye hote hai...

Yeh ehsaas tab hua jab vo jane lagi... Tabhi mere driver ne aake kaha..

Driver- Saab.. Engine mein paani bhar gaya tha..isliye gadi chal nahi rahi thi.. par ab thik hai.. hamein jaldi ghar pahuchna chahiye...

tez barish se phir gaadi band ho sakti hai..

Mein jana nahi chahta tha.. par kuch nahi tha.. jiske liye ruk saku... Mein gaadi mein peeche vali seat par ja baitha...

Dheere dheere gaadi chalne lagi.. Tabhi mujhe laga shayad Siddhi se puch lu.. ki usse kaha jana hai.. kam se kam kuch der ke liye hi sahi usse phir dekh paaunga... Laga jaise kismat khudi hai ki chahti hai ki hum sath rahe...

Maine driver se gaadi rokne ko kaha.. aur bahar dekha to Siddhi abhi bhi vahi khadi thi.. barish mein bheegte hue... Apni muskaan ke sath..

Kunal- Siddhi... Usne ek baar fir apni nazrein meri taraf kari.. unn aankho mein mujhe apnapan.. khusi.. aur sharam dikhayi di..

Bas uski issi masoomiyat..se pyaar kar baitha tha..

Vo dheere dheere mere paas aayi.. Jhuki nazron se pucha- Ji.. kahiye..

Kunal- Siddhi barish tez hai.. tum kaho to tumhe kahi chod du... maine iss umeed se pucha ki vo haa karegi...

Siddhi- ..Ji.. koi baat nahi.. thodhi der mein bus aa jaegi.. mein chali jaungi..

Kunal- mein uske sath kuch waqt aur btana chahta tha.. par usne jab mana kiya to aisa laga.. jaise mujhse sab kuch chin raha ho aur mein kuch nahi kar paa raha hu..

Kunal- Siddhi tum akeli ho.. aur phir raat bhi ho rahi hai.. Mein chod dunga tumhe jaha jana hai..

Iss baar usse laga shayad mein sahi hu.. usni dheere se kaha..thik hai.. aur car ka gate khol kar andar aa gayi..

Ab hum dono sath mein baithe the.. vo barish mein bheegi hui... mein barish mein bheega hua.. Pehli baar mujhe afsos hua ki kyu maine badi car li.. kash choti hoti to hum thoda paas baithe hote.. Mein usse mehsus karna chahta tha.. Par kar nahi sakta tha...

Kuch hi der mein hum vaha aa gaye jaha Siddhi ko jaana tha..

Vo ek NGO mein rehti thi.. vaaha par padhati thi.. Mein usse jane nahi dena chahta tha.. par rokne ke liye kuch bhi nahi tha...

Ek baar phir usne thank u kaha.. aur jane lagi..mein usse jate dekhta raha.. Jab jab maine usse jaate dekha.. laga jaise sab kuch kho raha hu.. Dhere dhere car aage jane lagi..takreeban hum aadha rasta pahuch chuke the..ki meri nazar uske bag par padi..

mein ek baar phir ek chote baache ki tarah khush ho gaya.. Shayad kismat bhi yahi chahti thi ki hum ek baar phir mile..

Maine driver se car vapas Ngo le jane ke liye kaha.. Aur kuch hi waqt mein ek baar phir mein Siddhi se milne vala tha.. Ek ajjeb sa sakun mil raha tha Dil ko.. ek bechani se mehsus ho rahi thi.. Usse phir se dekhne ki khushi bayan nahi kar sakta.. Par mein bahut khush tha..

Jaise hi mein vaha pahucha.. jaldi se uska bag liya aur car se utar kar dekha ..ki Siddhi garden mein sab baccho ke saath khel rahi thi.. sab barish mein khel rahe the..

Siddhi ki ankho par ek dupatta bandha hua tha..aur saare bacche uske pass bhaag rahe the.. Aur vo baacho ko dhund nahi paa rahi thai..

Usse yun khelta dekta ...mein ek baar phir uske kareeb jata gaya,,.. Mujhe pata nahi chala ki kab mere kadam uski aur badhne lage the.. Aur mein ab uske bahut kareeb pahuch gaya tha.. Tabhi usne mujhe pakad liya.. Mein kuch samaj nahi paya..

Uski ankho par dupatta tha.. vo mujhe dekh nahi paayi.. Tabhi usne khud vo dupatta hataya apni aankho se.. aur mujhe dekha..

Mein kho gaya unn ankho mein.. hum dono ek dusre ek bahut kareeb the.. Barish ki thandak mein.. sard hawa mein bhi hum ek dusre ki saanso ki garmi ko mehsus karne lage... Hum dono bheege hue the.. Hum dono ke hoth kaanp rahe the..

Mein uski saanso ko apne aap mein mehsus karna chahta tha..usse pyar karna chahta tha.. Duniya ke saare bandhan todhna chahta tha.. Kuch alag hi ehsaas tha.. jisse sirf mehsus kiya ja sakta hai.. bayan nahi kiya ja sakta...

Usse pyar karna chahta tha.. bahut pyar... usse pyar paana chahta tha.. Hum dono ek dusre ki saanso mein kho gaye..

Hum itna kho gaye the ki ek dusre mein pata nahi chala ki kitni der ho gayi.. Tabhi ek baccha ne jor se kaha...

Siddhi di.. yeh kitab vale unkle hai na.. Aur saare bacche bolne lage ha ha.. yeh vahi unkle hai...

Mein aur Siddhi ek dum yeh sunn ke sharma gaye.. Mein idhar udhar dekhne laga..

par baccho ke aawaz ne mera dhyaan ek baar phir unki taraf ho gaya.. Vo baar baar Siddhi se ek hi baat puch rahe the... Didi yeh kitab vale unkle hai na.. bolo na didi.. bolo na didi..

Aur mein Siddhi ka jawab sunna chahta tha.. Vo sharma rahi thi.. usne bahut dhere se kaha.. Ha yeh vahi unkle hai..

Mein yeh jaankar bahut khush hua ki Siddhi meri Kitab (Novel) padhti hai..

Na jane yeh sunnke bahut sukun laga.. Jaise laga ki mujhe zindagi bhar ki khushi mil gayi hai... Mere dhyan Siddhi ki aawaz se tut gaya..

Siddhi- Aap yaha kaise...

Kunal- tab mujhe yaad aaya ki mein usse uske bag dene aaya tha... Maine usse uska bag diya...

Usne ek baar phir thank u kaha...

Hum dono ke beech thank u ne ek rishta jod diya.. Mein usse milne ke liye kuch na kuch dhundta rehta.. Aur vo mujhe jab jab thank u bolti.. tab tab aisa laga.. jaise usne mujhe apne Pyar ka izhaar kar diya ho...

Tabhi mujhe mere driver ki aawaz aayi saab car start nahi ho rahi hai.. shayad engine mein pani bhar gaya hai phir se.

Mein soch mein padh gaya ki kya karu.. ek taraf to khushi thi ki Siddhi ke sath rehne ka kuch aur waqt mil gaya..

To lag raha tha ki ghar kaise jaunga.. Par sach kahu uss din mujhe ghar jaane ka mann hi nahi tha..

Aur bahut der barish mein bheegne ke karan .. mein kaanp raha tha.. mere hath ki ungliyan.. bhi sooj gayi..

Shayad Siddhi ne dekh liya ki mein kaanp raha hu... Usne bahut dheere se kaha..

Siddhi- Jab tak apki car thik hogi.. tab tak aap undar baith sakte hai.. barish mein khade rahenge to aap bimar ho jayenge..

Mein bas uss ke sath kuch waqt aur bitana chahta tha.. Ab to lagne laga tha ki..kismat bhi hamein milana chahti hai..

mein bass uski taraf khicha ja raha tha.. Vo undar ja rahi thi.. aur mein uske piche jane laga..

Mein vaha jakar baith gaya.. Mujhe thand mehsus ho rahi thi.. Tabhi vo aayi .. ..Usne kuch der pehle gulabi rang ka suit pehen rakha tha.. jo barish mein bheeg gaya tha.. aur ab usne hare rang ka suit pehen rakha tha..

Uske baal geele the.. unme se paani ki boond tapak rahi thi.. Mein unn bondo ko apne aap mein samatena chahta tha..

Vo bahut khubsurat lag rahi thi.. mein hairan tha ki koi itna khubsurat kaise ho sakta tha..

Vo vaisi thi jaise har koi apne jeevan mein chahata hai.. Mein usme khona chahta tha.. Usse dekh kar apne aapko rok paana bahut mushkil lag raha tha.. Usme kuch aisi kashish thi ji mujhe uski aur kheeche jaa rahi thi..

Pehli barish ne mjhe behad kuhbsurat taufa diya tha..

Mera dhayan ek baar phir uski mohak aawaz se tut gaya...

Usne bahut dheere se kaha .. Aap yeh towel le lejiye.. apne baal sukha lejiye.. thand kam mehsus hogi.. Maine kapte hath se liya... mere hath kaanp rahe the.. mein thik tarah se nahi kar pa raha tha.. mere hath thand se sooj gaye the..

Tabhi...usne dheere se kaha... mein kar du.. uski aankhi mein sharam thi.. Mein kuch nahi bol paaya.. bas..towel uski tarf kar diya.. usne towel le liya..

Aur dheere se mere baalo ko shelane lagi.. Uski ungliyon itni komal thi.. uska ehsaas.. mein ek baar phir khone laga.. ek baar phir dil ki dhadkane tez ho gayi..mein usse pyaar karna chahta tha.. usse apne aagosh (hug) mein lena chahta tha..

Do hit like button if u like it..

And do leave comments..


Sagar

sinalbest thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#4

Part-4

Uski saanso ko mehsus karna chahta tha..

Uski ungliyon ke ehsaas ne mujhe madhosh kar diya tha... Mein usse apne aap mein samatena chahta tha.. Usme khona chahta tha.. Uski sharam se jhuki nazrein... chehre par halki se muskaan.. Bheege baal... Mujhe madhosh kar rahe the.. Vo mere bahut nazdik khadi thi.. Mein usse choone ke liye bechain ho raha tha.. Apne aap ko rok paana bahut mushkil hota ja raha tha..

Mein sab kuch bhul ke usse pyaar karna chahta tha.. tut kar.. bas bahut pyaar karna chahta tha.. Mein kaanp raha tha.. usse apne aagosh mein lene ke liye.. Pyaar hai hi itna khubsurat ki ...insaan madhoshi mehsus karne lagta hai ...

Mere hath kaanp rahe the.. usse chune ke liye bekarar ho rahe the.. Dil ki dhahkane tez ho rahi thi... shayad itni tez ho chuki thi ki mujhe darr lagne laga kahi usse sunayi nahi de jaye... Hum bahut paas the.. Vo khadi thi.. mein baitha tha... Barish ki thand ne kujhe uske aur kareeb kar diya tha...

Hawa kw jhoke se uske baal dhere dhere uske chehre par aa rahe the.. jise mein apne hath se chuna chahta tha.. Uski khusbu sab mujhe madhosh kar rahe the... Har ek pal ke sath khud par kaabu karna mere liye mushkil hota ja raha tha.. Isse pehle mein puri tarah madhosh ho jata.. mein chala gaya vaha se.. Vo hairan thi ki..mein aise ek dam se kyu chala gaya.. Usse laga jaise usne kuch galti kar di.. Usne mujhe kai aawaze di..

Uski aawaz mein mujhe udasi mehsus ho rahi thi.. Par mein ruk nahi sakta tha.. Kaise batata usse ki... vo mujhe madhosh kar rahi thi.. Kyu kehte hai ki sharab madhosh karti hai.. Mujhe to aaj tak kabhi aisi madhoshi mehsus nahi hui ki... mein apne aap ko kho du..

par usme kuch aisi kashish thi.. ke mein madhosh ho gaya... Bahar aane par driver ne bataya ki car nahi thik hui.. Agar uss din mujh par Siddhi ki madhoshi nahi chayi hoti to mein.. usse kuch kehta..par uss din mujhe kuch nahi samaj aa raha tha..

Mein bas chalta gaya... Vo mujh aawaz lagata raha.. Par mein chalta raha.. bas chalta raha.. Barish ki boondo ke sath.. Barish na jane uss din mujhe kaisa sukun de rahi thi.. Par uska ehsaas bahut khas tha..kyunki pehli baar mehsus hua tha...

Takreeban ek ghante baad mein apne ghar pahucha honga... Barish mein bheega hua.. _Siddhi ki madhoshi ke sath.. Kuch der mein mujhe thand mehsus hone lagi.. maine apne liye ek pack banaya.. par uss din mujhe usse se bhi aaram nahi mila.. Shayad iss liye ki mein Siddhi ko apne saath chahta tha.. Mujhe har jagah Siddhi hi dikhayi de rahi thi.. Laga shayad mein apni kalpanao.. mein kho raha hu.. Pata hi nahi chala ki kab iss ehsaas ke saath mujhe neend aa gayi... Par vaha bhi Siddhi mere saath thi.. Mere liye vo sapna behad khubsurat tha..kyunki usme mein maine Siddhi ko chua tha..

Agle din jab utha to mehsus hua ki vo ek behad hassesn aur behad khubsurat sapna tha jisse maine ehsaas kiya tha..

Agle do teen din bahut mushkil se nikle.. mein tadap raha tha Siddhi se milne ke liye.. Meri aankhe bechain thi usse dekhne ke liye.. Dil ki dhadkan tez hone ke liye betaab ho rahi thi.. Uski aawaz sunna chahta tha.. Usse apn aagosh mein lena chahta tha..

Aur uss din maine bahut himmat ki.. aur Siddhi ke paas gaya.. par bahana tha ki mujhe baccho se milne ka mann hua.. aur uss din achanak chale jane ke liye maafi mangna chahta hu...

Par sach nahi ke paaya usse.. Uss din maine usse pure teen din baad dekha tha.. Uss din bhi vo bahut khubsurat lag rahi thi.. bas kuch udaas thi.. aankho mein chamak nahi thi.. hoto se muskaan gayab thi..

Pata nahi kyu usse udaas dekh kar mujhe accha nahi laga.. Mein usse apne aagosh mein lekar uski udaasi lena chahta tha.. Kehna chahta tha ki aap muskurate huye acche lagte ho.. Mujhe uski muskaan behad pasand thi...

Sab kuch pasand tha uska... ya shayad aaj bhi behad pasand hai..

Jab usne mujhe dekha to uski aankho mein phir chamak aa gayi... vo muskaan phir mil gayi... vo bahut khush ho gayi... Ab vo phir ek khilte hue gulab jaisi muskaan de rahi thi.. Jaisi barish ke baad phul khil jaatein hai.. bikul ussi tarah khush lag rahi thi...

Abhi mein usse mila hi tha .. ki phir ek baar barish hone lagi.. Jo pichle do din se nahi hui thi.. Yeh kismat ki dastak thi.. ki hum saath rahe.. Hum muskura diye.. Mein baccho ke liye kuch khilone lekar gaya tha..jinhe dekh kar vo bahut khush hue.. Aur sab le kar chale gaye..

Mein aur Siddhi.. ek dusre se aankho mein baat kar rahe the.. Vo thodhi naraz thi ki mein uss din achnak chala gaya.. Aur meri aankein usse maffi mang rahi thi.. Meri aankho ki massomiyat dekh kar vo sab kuch bhul gayi..

Kuch der mein hum dono ke liye chai aa gayi.. jo barish ki thand.. mitti ki khusbu... ke sath bahut acchi lag rahi thi.. Par sabse acchi baat thi ki Siddhi saath mein thi.. Mujhe pata hi nahi chala kab chai khatm ho gayi.. aur jab mein khali cup se ek baar phir chai peene laga.. to Siddhi hass padi aur boli. Chai khatam ho gayi...

Mein muskura diya.. Uss din ke baad mein aksar usse milne laga tha..

Takreeban har roz uss milta tha.. aur kayi ghante hum baat karte the.. Hum dono hi ek dusre ko behad pasand karne lage the.. Samay ke sath hum dono ka rishta behad khubsurat ehsaas tak pahuch gaya tha...

Uss din Siddhi aur mujhe mile ek mahina ho gaya tha.. Mein apni zindagi ka agla din uske saath bitana chahta tha.. Agle din mera janamdin tha.. Aur mein Siddhi ke saath manana chahta tha..

Agle din maine mere ghar par ek choti si party rakhi..jisme sirf Siddhi aur Ngo ki baache shamil the...

Siddhi ne vo din mere liye behad khubsurat kar diya tha.. Baccho ke chehre par jo khushi thi vo dekh kar Siddhi bahut khush hui.. aur mein... mein Siddhi ko khush dekh kar behad khush hua..

Maine soch liya ki aaj Siddhi se apne dil ki baat kar lunga... Par ..uss din kismat ne kuch aur hi soch rakha tha..

Jab sab jaane lage to maine Siddhi ko thodi der aur rukne ko kaha.. Usne bhi haa kar di..

Jab sab chale gaye to mein Siddhi ko lekar.. terrace par aa gaya.. uss din aasman mein badal the.. jo kisi bhi samay baras sakte the.. hawa chal rahi thi.. Siddhi uss din bahut khubsurat lag rahi thi.. uss par hamesha se hi laal rang bahut accha lagta hai..

hum baat karne lage.. kuch der hi hui thi ki tez baarish hone lagi.. mein bhag kar terrace ki tinshed mein chala gaya.. Vaha pahuch kar dekha ki Siddhi abhi bhi vahi khadi hai.. Barish ko mehsus kar rahi thi.. uski aankhe band thi.. chehre par ek sukun tha... mein usse dekhta raha.. aur pata nahi chala ki kab uske kareeb chala gaya.. Maine usse uss din pehli baar chua.. Dhere se usse apne paas laya.. uski aankhein jo band thi.. ek dam se khuli.. vo mujhe dekh rahi thi.. Uski aankho mein mere liye pyaar tha.. bahut pyaar..

Hum dono ek dusre ko dekhte rahe.. Usne aankhein sharam se neeche kar li.. Mein beh gaya uss ek lamhe mein... Pehli baar mere hoto ne usse mehsus kiya.. vo ehsaas behad khubsurat tha.. aaj bhi hai...

Mein bas vo barish ki bunde choota raha jo uss par padh rahi thi.. Uss din vo mere aagosh mein thi..

Vo bahut nazukt se mehsus hui.. uske hoth bilkul gulab jaise nazuk the.. Uski khusbu ko pehli baar apni aap mein mehsus kiya tha.. Uski sanso ko apne aap mein mehsus kiya tha.. maine uss din yeh sab pehli baar mehsus kiya... Jab jab maine usse chua.. vo sharamati gayi.. uss din barish mein.. hum dono beh gaye.. tut kar pyaar kiya ek dusre ko.. Barish mein bhi maine uski aankho mein aa rahe aansuo ko dekh liya..

Kehte hai ki barish ka pani khara hota hai.. par uss din jab jab maine usse Siddhi se piya.. vo behad meetha tha..

Vo ehsaas bahut khubsurat tha.. shayad hai...

Raat bhar humne ek naye ehsaas ko mehsus kiya.. jo behad khubsurat tha... Uss din Siddhi ki aankho ki sharam uske chehre par gayi thi... Pata nahi chala ki kab hum so gaye...

Jab aankh khuli to dekha ki.. suraj nikal chuka hai.. mein bahut khush tha.. Mein aur Siddhi ek ho chuke the.. duniya ke sab bnadhan se dur ho gaye the.. Mein se hum ban gaye the..

Aasman mein dekha to badal nahi the.. Bahut shanti thi.. jaise tufan ke aane se pehle hoti hai.. tab nahi jaanta tha ki mere jeevan mein bhi ek tufan aa raha hai.. Jisse mein hamesha ke liye ghir jaunga.. kabhi nahi nikal paunga..

kehte hai ki subah ki kiran kuch naya lekar aati hai.. bahut kuch de jati hai par uss din mujhse sab kuch le jaegi nahi janta tha..

Mein muskurate hue Siddhi ki taraf muda.. vaha dekha.. to Siddhi nahi thi.. mujhe laga shayad neeche hogi..

Mein gungunata hua.. masti mein.. apne kapde thik karke neeche aaya to pata chala ki Siddhi to subah jaldi hi chali gayi..

Mujhe laga shayad usse sharm aa rahi hogi.. Mein udd ke uske paas pahuchna chahta tha.. ek adhura kaam pura karna chahta tha.. apne pyar ka izzhar karna chahta tha.. uska izhaar sunna chahta tha..

Mein taiyyar ho kar .. hatho mein gulab ka guldasta lekar NGo gaya.. Siddhi ko gulab behad pasand hai.. aur vo khud bhi gualb jaise mehakti hai.. Mein bahut khush tha.. par nahi janta tha ki meri khushi ko nazar lag gayi hai...

Mein vaha pahucha to bacche mujhe dekh kar bahut khush huye.. mujhse choclate maangi.. Par mein Siddhi se milne ke liye itna jaldi mein tha ki nahi laaya tha..bhul gaya tha..

Maine unse agli baar laane ka vada kiya aur Siddhi ko aawaz lagate hue andar chala gaya.. par Siddhi nahi mili.. Bas kaka ne aa kar ek chitthi di.. aur kaha ki Siddhi ne mere liye di hai..

Mein bahut khush hua.. yeh jaankar..par hairan bhi hua ki Siddhi ne mujhe kehne ki bajaye.. chitthi kyu di..

Par laga ki usse sharam aa rahi hogi.. maine bahut hi excited ho kar chitthi kholi...

Par jab padha to laga jaise sab kuch chala gaya.. tufan aa gaya tha.. aur mein ghir chuka tha...


Do hit LIKE button if U LIKE it..

And do leave valuable comments & suggesstions...

Sagar...

Edited by sinalbest - 12 years ago
sinalbest thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#5

Part-5

Mujhe pata nahi chala kab meri aankho se aansu beh nikle.. Mein samaj nahi paya.. ki mujhe itna dard kyu ho raha hai.. Ek aisa dard jo aaj se pehle kabhi mehsus nahi hua tha.. ya abhi bhi hai..

Uss din apne pyaar ko apne se dur jane se nahi rok paya.. Kuch nahi kar saka..

Uss din jab vo khat kaka ne mujhe diya.. to ek alag se khusi mehsus hui.. usse khole bina hi usme se Siddhi ki khusbu thi.. Aur aaj bhi hai.. Uss khat ka ek ek labz aaj bhi yaad hai.. Vo mere zehen mein iss kadar basa hua hai jaise vo mere hi jism ka ek aham hissa ho.. Aur kyu na ho..

Usme meri Siddhi hai.. usme mera dard hai.. mera pyaar hai.. mera sab kuch hai...

Uss khat ko padne ke liye mujhe usse kholne ki zarurat nahi padi.. mujhe muh zabani yaad hai..

jab bhi uss khat ke baare mein sochta hu.. ek jaana pechana sa dard mehsus hota hai.. vaise uss khat ki har baar mujhe yaad hai.. Yaad usse kiya jata hai jisse kabhi bhulna padha..

Aur vo khat mere jeevan ka aham hissa hai.. Uss din jab Siddhi ka khat padha tha..

Uss khat mein izhaar tha .. uske pyaar ka mere pyaar ka.. Aaj ek baar phir mera dil uss khat ko padhna chahta hai..

Mein kho gaya unn yadon ek baar phir..

Siddhi ka khat kuch iss tarah tha...

"Kunal"...

Mein nahi jaanti... kaha se shuru karu.. kaha se karu.. Bas itna batana chahti hu.. Ki mein apse bahut pyaar karti hu.. Nahi janti kab se..Shayad apse milne se bhi pehle.. Jiss din maine aapki pehli kitab padhi thi.. Uss din mujhe apke akelepan se pyar ho gaya tha.. Shayad iss liye kyunki mein bhi akeli thi.. Apki kitab mein kuch aisa hota hai.. jo mere akelepan ke ehsas ko dur kara hai..

Mein bahut khushnaseeb hu ki apse milne ka bhagwan ne mauka diya.. Uss din agar bus nahi chut ti.. To apse nahi mil pati.. Uss din milne ke baad hi.. mujhe apse milne ki tadap mehsus hone lagi thi..

Aapke chehre par ek massomiyat hai.. jisse mujhe pyaar hua.. Aapki aankho mein apnapan mehsus hua.. jisse mujhe pyaar hai..

Jab jab hum milte the.. ek ajeeb sa ehsaas hota hai.. Pata nahi kyu nahi rok pati thi apne aap ko.. aapse milne ke liye... Accha lagta tha.. jab aap yaha baccho se milne aate the.. Hamesha yahi sochti thi ki.. ek na ek din aap zarur kahenge.. ki Siddhi aaj mein tumhare liye aaya hu.. par kabhi nahi bole.

.

Par mujhe afsos nahi ki.. apne aisa nahi kaha.. Kyunki aap jiss bhi karan se yaha aate the.. par mein aapko dekh paati thi.. aur issliye mujhe aapse koi shikayat nahi hai..

Kal aapka janamdin tha..mein aapko apne dil ki baat batani chahti thi.. Batana chahti thi ki mein bhi aapse pyaar karti hu..

Maine aapki aankho mein apne liye pyaar dekha hai.. kal raat ko jab aapne roka tha mein samajh gayi thi ki aaj ka din mere liye behad khubsurat hi jaega.. Aap jiss tarah jijhak rahe the.. Mujhe accha lag raha tha..

Par apne nahi kaha.. aur nahi mein keh paayi..

Jaante hai Kunal kal raat jo hua mujhe uska koi afsos nahi hai.. Vo mere jeevan ka behad khusurat ehsaas hai.. Vo sabse haseen pal mein se ek hai.. aur shayad hamesha rahega..

Bas ek afsos reh jayega ki.. jo ehsaas zindagi ka khubsurat ehsaas hota hai.. vo galat tha..

Shayad galat bhi nahi keh sakte .. par vo sahi nahi tha.. Mein iss ehsaas ko mehsus karna chahti thi.. par tab jab hum Pati- Patni ke khusurat rishte ke bandhan mein hote hai..

Har ladki ki tarah yeh mera bh sapna tha.. ki aapke saath mein bhi iss bandhan mein bandh jaau.. Zeevan bhar ke liye... Kunal galti to galti hai.. Chahe behad khubsurat hi kyu na ho..

Mein jaanti hu ki hum bahut jaldi shaadi kar sakte the..

Par mein aapko nahi samjha sakti ki.. mein kya mehsus kar rahi hu.. Ek taraf to khusi hai ki.. hum ek ho chuke hai.. Mein aapki ho gayi.. Par bahut takleef mehsus ho rahi hai ki.. hamne kudrat ke kanoon ko todha hai..

Humne jo kiya vo sahi nahi tha.. Mein aapko dosh nahi de rahi hu.. Kyunki isme meri bhi galti hai..

Mein nahi rok paayi apne aap ko.. Hum beh gaye uss ek lamhe mein..

Kunal hamne kudrat ke kanoon ko todha hai.. Hamne galti ki hai..

Kunal mujhe samay chahiye apni galti sudharne ka.. Mein vapas aaungi.. aapke paas ... apne pyaar ke liye..

Par abhi mujhe kuch samajh nahi aa raha ki hum sahi hai ya galat..

Kunal mera intzaar karna... Mein zarur lautungi..

Ek baat aur Kunal .. kabhi iss sab ke liye apne aap ko dosh mat deejeyega..

Aur jab tak mein nahi aau.. aap baccho ka dhyan rakehnge...

Unhe keh dena ki Unki Siddhi di unse bahut Pyaar karti hai.. aur unke Kunal unkle se bhi...

Siddhi..

Kunal open his eyes.. wipes his tears..

Siddhi tum kaun se kanoon ki baat karti ho.. yeh kanoon hamne hi banaye hai.. manta hu Ki hamne galti ki..

Par uss galti ki iyni badhi saza Siddhi.. yeh bhi sahi nahi hai..

Kash uss din mein apne aap ko tum mein nahi khota to aaj hum saath hote .. Siddhi har din har pal yeh sochta hu.. ki galti hai bhi ki nahi.. Maine sirf pyaar kiya.. behad pyaar kiya tumhe..

Manta hu hum uss pavitra bandhan mein nahi bandhe the... Par humne jo kiya vo galat nahi hai Siddhi..

Siddhi tumhe kya lagta hai ki tum apne aap ko saza de rahi ho.. Nahi Siddhi tum mujhe bhi saza de rahi ho..

Maine tumse tan se nahi mann se bhi pyaar karta hu..

Kaise batao Siddhi ki mein khud nahi jaanta tha ki kabhi aisa karunga...

Par Siddhi mujhe koi afsos nahi hai ki.. maine kuch galat kiya.. Maanta hu saari bediyaan todhi.. par maine vo sab tab kiya jab mein tumhe apne mann se jeevan saathi maan chuka hu..

Kya tumhare liye sirf duniya ki baatein mayne rakhti hai..

Hamara pyaar uska kya..

Galti ki hai maine.. Par kabhi bhi uss haseen pal ko.. uss khubsurat ehsaas ko galti nahi maan sakta..

Maine tumhe vo pyaar diya uss din jo sirf tumhara hai..

Galti yeh ki mein tumhe samajh nahi paaya...

Siddhi tumne kaha tum mere akelepan ko jaanti thi.. to phir kyu akela choda.. batao Siddhi.. kya galti hi meri..

Sirf yeh galtiki beh gaya uss din tumhari madhoshi mein...

Kya saath rehna sirf.. hamari unn haseen pal ko jeena hota hai .. Nahi Siddhi.. nahi..

tum ek baar mujhse baat karti.. mein saari zindagi sirf tumhare saath bitana chahata hu.. sirf tumhara saath chahiye.. Mujhe koi aisa haseesn pal nahi chahiye.. jo hamein dur kare..

Mein tumhari dil ki dhadkan se apna naam sunna chahta hu..

Aaj mein bahut khushnaseeb hu r badkismat bhi..

Khushnaseeb isliye ki mein janta hu ki tum mujhse pyaar karti hi.. par badkismat isliye ki tum mere sath nahi ho.. Thak gaya hu tumhe dhundte dhundte..

Thak gaya hu tumhara intzaar karte karte..

Har roz issi umeed ke saath uth ta hu ki aaj tum laut aaogi..

Har roz issi umeed ke saath sota hu ki..kal hum saath honge..

Siddhi barish to bahut hoti hai,, par tumhe saath nahi laati.. Siddhi khilta to gulaab aaj bhi hai. par usme.. vo kashish nahi hoti.. uski khusbu nahi aati..

Siddhi.. Zindagi mein pyaar ka ehsaas ek baar hota hai..

Usse khone ka ehsaas baar baar hota hai..

Aur tumhare jaane ke baad yeh ehsaas baar baar hota hai..

Siddhi yeh ehsaas bahut dard deta hai... Nahi jiya jeeta iss dard ke saath... nahi janta tha ki pyaar jitna haseen.. khubsurat hota hai.. usse kahi zyada dard bhi deta hai..

Bhaag raha hu sabse .. apne aap se...

Siddhi kal mein hamesha hamesha ke liye.. yeh jagah chod ke jaa raha hu.. Yeh mat sochna..ki tumse pyaar nahi karta..

Mein isliye ja raha hu.. kyunki ab bahut dard hota hai.. ab aur saha nahi jaata.. Bas kal ke programme ke baad yaha se chala jaunga.. tumhari yaadon ko lekar.. hamare pyaar ko lekar..

Jaanti ho Siddhi kal vahi tarokh hai.. jab hum pehli baar mile the..

Kal hi ki tarikh ne mujhe zindagi ke behad khubsurat pal diye hai.. behad pyara ehseaas diya hai..

Par sab kuch cheen bhi liya hai.. Kyunki nahi bata paya ki tumse bahut pyaar karta hu.. kaash bata pata..

... ... ... Kunal after attending his new novel's ceremony leave from there..On the way...

Kunal- Driver.. jo bus stop aaye udhar gadi rokna...

Driver- Saab bahar barish tez hai..

Kunal- sirf 2 minute..

Kunal- Aaj phir mein vahi hu. jaha se jeevan ka yeh behad khubsurat ehsaas shuru hua tha... he closed his eyes..

Siddhi mehsus kar sakta hu tumhe aaj bhi.. hawa ki thandak.. barish ki yeh boonde ehsaas dila rahi hai ki,. tum mere paas ho.. behad paas ho.. tumhari Khusbu mehsus karta hu barish mein..

Jo barish kabhi mujhe sakun deti thi.. aaj bechaini deti hai.. Barish ki bundhe ehsaas karati hai ki mein kho chuka tumhe..

Tumhare saath zindagi bitane ke khwab dekha tha... shayad hai.. par lagta hai ki ab tumhari yaadon ke saath jiyunga..

Hamesha tumhara intzaar karunga.. Laut aao Siddhi.. Jisse tum hamari galti samajh rahi ho.. vo galti nahi hai.. Bas vo haseen lamhe hai.. jo hamein zindagi ke khubsurat rishte mein bandhne ke baad bitane chahyie the...

Par iska matlab yeh nahi ki hum galat hai Siddhi...

Vaada karta hu Siddhi ab kuch galat nahi karunga.. bas ek baar laut aao.. Barish mein bhi Kunal ke aansuo ko dekha ja sakta tha.. ek aisa dard jisse sirf Siddhi hi dur kar sakti hai..

Driver- Saab chalna nahi hai kya..

Kunal- tum chale jao.. mein aa jaunga.. Kunal vaha se chala gaya.. chalta raha.. apni khamoshi ke saath.. apne dard ke saath.. Abhi kuch dur hi chala tha.. Usne hath mein pehni hui ghadhi dekhi.. samay hua tha...2:36 pm..

Kunal .. yaad hai Siddhi hum issi samay mile the.. Kuch sochta hua Kunal phir bus stand ki taraf ek baar chal padha..

Bus stand ke kuch dur hi paucha tha.. usse ek ladhki dikhi bus stand par.. Vahi gulabi rang... vahi bheege baal.. vahi khubsurti.. vahi khushbu... jo usse khich ragi thi uss aur.. Kunal uska chehra dekh nahi paa raha tha,, uska chehra duri taraf tha..

Tez dhadkano ke saath... ek umeed ke saath.. chal padha uss aur.. Vo vahi khadi thi..

Kunal- jaise jaise uske paas pahuchta gaya.. ek khushi mehsus hone lagi ki..yeh meri Siddhi hai.. USki khushbu..

Ab mein bilkul uske paas tha.. Uska chehra mein nahi dekh paa raha tha.. Par uski zulpho mein vo khusbhu hai.. jo Siddhi mein hai..

Mein dhadkte dil se uske samne gaya.. uski aankhe band thi.. usme se aansu beh rahe the..

Meri aankho se aansu nikalne lage... aaj mera intzaar puar ho chuka tha.. vo Siddhi thi,... meri Siddhi.. Uske chehre par ek dard tha.. Uski aankhein abhi bhi band thi.. Mein kuch samajh nahi paa raha tha.. kya karu.. mein usse apne aagosh mein samatena chahta tha.. itne din ki tadap ko dur karna chahta tha..

Vo kaanp ne lagi.. uske aansu aur tezi se behne lage... shayad vo mera ehsaas pehchaan chuki thi,, ..

Mein bas usse dekhat gaya.. Apni aankho mein usse hamesha ke liye khaid karna chahta tha.. Dar ki vajah se aankhein jhapkaiye bhi nahi .. ki kahi phir chali na jaye... Pyaar ne darna sikha diya...

Uski aankhein abhi bhi band thi.. bahut tezi se apni aankhein band kar rakhi thi.. Shayad usse bhi dar tha kahi yeh sab khatam na ho jaye.. Behad paas hote huye bhi dur the.. Yeh ehsaas sirf Pyaar hi mehsus kara sakta hai...

Maine dheere se kaha Siddhi...

Itne dino baad usne meri aawaz suni thi.. uske aankho se aansu aur tezi se behne lage.. dheere dheere mujhe uski siskiya sunai di.. Jo mujhe bahut takleef de rahi thi..

Maine ek baar phir usse aawaz di... Siddhi...

Iss baar usne dheere se apni aankhein kholi.. Unme mere liye pyaar aur mujhse bichadne ke dard tha.. waqt tham gaya tha hum dono ke liye..

Ek dusre ko bas dekhte rahe.. aankho mein sirf aansu.. aur ek dusre ke liye pyaar .. behad pyaar...

Hum dono ek dusre ko mehsus karan chahte the.. ek dusre ke aagosh ko mehsus karna chahte the.. ek dusre ki saanso mein khona chahte the..

Dono ke liye yeh smamjhna behad muskil tha ki.. hamare chehre par dard zyada hai ..ya pyaar.. Kyunki dono ek dusre se jude hue hai.. Usne kuch nahi khaha.. abhi bhi khamosh thi.. mein sunna chahta tha.. jawab chahta tha.. ki kyu chod gayi.. kyu aane mein itni der laga di.. Kehna chahta tha.. Siddhi agar tumhare aane se pehle marr jata to.. tumse apne pyaar ka izhaar ..tumhe nahi bata pane ka dukh mujhe marne ke baad bhi shaanti se jeene nahi deta.. ..Shayad usne mere dil ki baat sun li thi.. usne dheere se apni aankho se thode se gusses se ishara kiya..ki aisa na kahu...

Hum dono kuch bolte.. tabhi barish tez ho gayi.. badlo ke gad gadane ki aawaz hone lagi.. shayad vo bhi khush hai.. hamare milne se.. Mein thoda sa uske aur kareeb aa gaya.. Itna kareeb.. ki ek dusre ki saanso ko mehsus karne lage.. hamri aankho ne hi izzadat dedi.. hamein ek dusre ke aagosh mein hone ke liye..

Maine dheere se usse apne aagosh mein liya.. usne bhi apne dono haath se mujhe pakad liya..itna zor se.. shayad ki phir alag na ho jaye... dheere dheere.. hum ek dusre mein khone lage.. kehne ko bahut kuch tha.. sunne ko bahut kuch tha.. par sabse zyada iss lamhe ko jeena chahte the..

Kuch der hum aise hi rahe.. aankho se aansu behte rahe.. Tabhi usne mujhe jhatke se dur kiya aur jaane lagi.. mein kuch samajh nahi paaya.. par itna tey kar chuka tha.. ki iss baar dur jaane nahi dunga..

Ya to uske saath jeeunga.. ya marr jaunga.. Mein bhi uske peeche chal padha ..tez kadmo se... uske kareeb pahuchte hi,, uska hath pakda aur usse apni aur kheecha..

Vo abhi bhi ro rahi thi.. usne rote hue kaha.. Mujhe jaane deejiye Kunal.. jaane deejiye.. aur rone lagi..

Kunal- Siddhi mujhse dur jaana chahti ho to chali jao.. nahi rokunga.. bas itna kehna chahta hu.. agar tum aaj chali gayi.. to mein yeh duniya chod dunga.. mere liye jeena sirf tum ho... nahi to mayt behtar hai..

Aur mein marne se nahi darta.. bas yeh batana chahta hu marne se pehle..ki Siddhi tumse bahut pyaar karta hu.. beintihaan.. mohaabbat..

Par mera pyaar itna khudgarz nahi ki.. tumhe apne saath rehne ko majbur karu...

Ek baat aur Siddhi uss raat jo hua.. vo galat nahi tha.. vo galat tab hota jab hum ek dure se pyaar nahi karte.. maanta hu ki hamein vo sab rishte mein bandhne ke baad karna chahiye tha.. par iska matalab yeh nahi ki vo galat tha..

Vo hamare pyaar ka izhaar tha.. aur pyaar ka izhaar kabhi galat nahi hota.. Aur tumhe agar lagta hai..ki dur rehse hamari galti.. kam ho sakti hai.. to aisa nahi hai.. kyunki agar tum apne dil se puchogi.. ki kya galat hai.. to tumhe yeh jawab milega.. ki mujhse dur jaana galat hai.. par vo haseen lamhe galat nahi hai..

he left her hand..

Siddhi-.. Kunal .. mujhe apne aagosh mein le lo... mein nahi samajh paa rahi ki kya galat hai..kya sahi.. bas itna janti hu.. ki mein bhi tumse pyaar karti.. hu.. bahut pyaar..

Thak gayi ladhte ladhte.. ki kya galat hai kya sahi.. Aaj bhi mein yaha isliye aayi thi,... kyunki dekhna chati thi.. ki aap.. mujhe yaad karte ha ya nahi.. kya jo hua.. vo hamara pyaar hi hai..

Par yeh nahi socha tha..ki apse milungi..

saat janmo ke liye mujhe apna bana leejiye.. abb nahi jee paungi.. bas..

hum dono ek baar phir barish ke aagosh mein thein.. par iss baar hamesha ke liye.. Kabhi barish ne alag kiya tha.. to aaj phir ek kar diya.. Hum chal padhe .. apne naye jeevan ki aur..

Jaise barish ke baad sab kuch accha lagta hai.. vaisa hi mehsus ho raha tha.. Hum chalte rahe.. par jeevan bhar ke liye.. Iss baar mein usse apne saath agle saat janmo ke liye jaldi se jaldi bandhna chahta tha..

Hum mandir pahuch chuke the..

Barish tham chuki thi.. aur dard bhi tham chuka tha.. Sirf pyaar hi pyaar tha..

Hum band chuke the.. uss khubsurat bandhan se.. jo hamein kabhi alag nahi kar sakta hai.. kabhi bhi..

THE END...

Do hit LIKE button if U LIKE it..

And do leave valuable comments & suggesstions...

Sagar...

India is a place where love is to be shared after marriage.. And thus Indian culture makes us feel bad if we go against it.. Although if love is pure & we are right.. then nothing is wrong..

But it takes time to understand what is rite & what is wrong..

Guys do ask ur doubts... if u feel why Siddhi left him.. is not right.. Hope i have justified with end..

NainanH thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#6
Read part 1and 2
awesome yaar
can feel each line ;each feeling
u made it understand so clearly
thanku
NainanH thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail Networker 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#7
Read all parts
its uncommentable
jhakaasss
so emotional to handle
thanx fr the lovely OS
jyoti-sidd thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail Engager Level 1 Thumbnail
Posted: 12 years ago
#8
👏fantastic osomg I can't believe...bcoz supb os dear 😭 very touchy...standing awesome...and thanx for the lovely os ( sinal )
surbhij thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#9
Superb OS 👏 👏
Very heart touching
Thanks for the lovely OS 😃
Ani---Anisah thumbnail
12th Anniversary Thumbnail Dazzler Thumbnail
Posted: 12 years ago
#10
Thnks for the pm 😉
5 parts all in one go 😛 thnks
OMG first time a OS made me cry 😲 😭
Very emotional 😭 😭
You described kunal's emotions really well 😊
This is the best os I have ever read ⭐️ well done!!! 👏
Happy ending 😳
Thnks once again 😳

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".