๐
pichli kavita zara jyaada hi sad ho gayi. maine apne aap se waada kiya hai aur kuch forum wasiyon se bhi ke mein likhti rahungi jab tak Siddhi hosh mein nahin aa jaati. shaayad meri taklif sunke hi bechari jaa jaaye. Cant see Kunal crying anymore...๐๐. I know the above dialogue is like nach basanti nach...jab tak tu nachegi...iski saas chalegi๐๐๐คฃ. what to do...I have lost it, so please bare with me..
Meri aankhon ke yeh labs...tu samaj nahin paayi..
jo kaha karti hai yeh tujhse...tu sunn nahin paayi.
Khaamosh ehsaas aur bheegi tanhaai hai inmein..
teri yaad mein barasti in aankhon ko, tu padh nahin paayi.
Yun to abb khamosh rehne ki aadat hai inhe..
Samaj sakho to fir bhi bahut kuch kehti hai yeh..
Kaun kehta hai ki roti hai yeh...
rota to mera dil hai...buss kehti hai yeh...
Panabta hai dard mera inmein, sadiyon se abb
aur veeran dil ki tamannaein ..
chalkati hain yeh aankhein...๐ญ๐ญ
For all you lovely people out there...mere gum mein shaamil hona zaroori na samajhna
Zinda hoon mein abb bhi, mujhe mara hua mat samajhna..๐๐
Thankyou all for reading it.
๐