Ambar ko dharti sang milte dekha hai kabhi?
Kya dekha hai tumne taaron ko tootte hue?
Kya dil kabhi toota hai tumhara?
Kya ashk kabhi bahe hain tumhare?
Koi sapna adhoora raha hai kabhi?
Kya kabhi is dil se tumne kisi ko karchi karchi nikala hai?
Kya kisi ki yaadon ko aankhen moonden dil ki gehraiyon mein utaara hai?
Maine apne aankhon se apni dunya jalti dekhi hai...
Sapne ko apni aankhon ke aage bikharte dekha hai...
Ek aag utaari hai maine apne naazuk se dil mein,
Aur us aag ko pal pal khud mein dehekte hue dekha hai...
Umeedon ko kaanton ki tarah chubte hue dekha hai,
Khushiyon ko dehleez se wapas mudte dekha hai,
Yun to muskurake dunya ke aage khud maine khud ko behlaya hai,
Par andheri si raaton mein chupke chupke khud ko sameta hai,
Main behti hui nadi ki tarah aage badhna janti hoon,
Par agar zindagi meri ravani hi rok de to karun kya,
Main khule aasmaan mein panchi banke udhna chahun,
Koi par hi kaat de to karun kya,
Maine apne har ek sapne ko apne haathon se dafnaya hai,
Mitti bhi phenki hai us par aur khudko aage badhna sikhaya hai...
Aaj khadi hoon us kagaar par zindagi ke,
Jahan ek naya sawera intezaar mein hai,
Par qadam hai ki hilte hi nahin,
Meri beete kal ki zanjeeron se khud ko fir se chudaya hai...
Ek naye sapne ko palkon pe sajaye,
Khushiyon ka bazoo thaama hai,
Darte jhijhakte ek naye raste par ek pyaara sa ghar sajaya hai...