hum bulbulain hai is ki, yeh gulsitan hamara,
ghurbat men hon agar ham, rahta hai dil vatan mein,
samjho vahin hamen bhi, dil hain jahan hamara,
parbat voh sab se uncha, hamsaya asman ka
voh santari hamara, voh paasban hamara,
godi men khelti hain is ki
hazaron nadiya,
gulshan hai jin ke dam se, rashk-e-janan hamara,
aye ab, raud, ganga, voh din hain yaad tujhko,
utara tere kinare, jab karvan hamara,
mazhab nahin sikhata apas men bair rakhna,
hindvi hai ham, vatan hai hindostan hamara,
yunan-o-misr-o-roma, sab mit gaye jahan se,
ab tak magar hai baaqi, nam-o-nishan hamara,
kuch bat hai ke hasti, mitati
nahin hamari,
sadiyon raha hai dushman, daur-e-zaman hamara,
iqbal koi meharam, apna nahin jahan men
m'alum kya kisi ko, dard-e-nihan hamara
sare jahan se accha hindostan hamara
ham bulbulain hai is ki, yeh gulsitan hamara.
Happy Independence Day 2 all! 😃