with the continuation of the story....[Eku(E)-haath jorkar kehta hoon tumse kt,jo tumne mere baare mein dadi se kaha vo plz kisi aur se mat kehna, kyunki mere khandho par bhi mere maa-baap ki izzat hai, unki 20 saal ke sanskar hai..[eklavya leaves the room][kt now looks at him with sympathy.. n thinking tht may she was wrong to judge him]]
[scene then moves from eku-kt to joydeep-mayank]..... [mayank was sitting in his room, doin something, n suddenlly joydeep enters the room] J- mayank,[joydeep smiles], kya kar rahe ho tum??? [mayank,thinks something n then he hides tht thing in the drawer].. M- kuch nahi, kuch nahi? J- aaj party kaisi lagi tumhe? M- bohot, bohot acchi thi, par KT bilkul acchi nahi hai....vo gandi hai, J- kyun, kya hua, kya usne tumhe kuch bola? agar bola ho to mujhe batana...main usse baat karoonga, M- nahi nahi, use kuch mat bolo.. tumhe pata hai joydeep meri teacher kehti hai ki agar koi baccha galti karta hai naa, to God khud use punish karte hai.....aur kt ko bhi god ne punish kar diya hai.. J-[looks suspicious], vo kaise? M- vo [he thinks... n was going to say something when bhoomi shouts], B- joydeep, mera orange juice kahaan hai?J- [looks back n then turns to mayank n says], mayank bhoomi mujhe bula rahi hai, main abhi aata hoon.... [then joydeep, leaves the room n goes, then mayank goes near to the drawer, n in tht drawer a locket was there, in which there was lord krishna's picture was there.] M- accha hua, kt ko god ne punish kiya, accha hua...... [scene then shifts to daksha n mohini] Mo- arre, chachi, haye meri to halat hi kharab ho gayi hai iss naach- gaane mein, haan. D- aree meri Mallika sherawat, mujhe dekh iss umar mein bhi kitni bold n beautiful hoon, khud ko kitna maintain karti hoon maloom hai. [mohini looks at her, n from back pari, archita n gayatri comes, all were there in the hall room] [n everyone, laughs at wat daksha says],...... [scene then moves to tulsi sitting in the mandir n praying to god] T- [[thinking] hey thakur ji, kyun tu mujhse jeevan ki har mor pe imtehan le raha hai, maine hamesha tujhe mana hai, kya paap kiye the maine jinki saza tune mujhe dene ke vaje meri krishna tulsi ko di, kya kasoor tha uss bacchi ka....... are uss ne to abhi tak zindagi ko theek se samjha bhi nahi tha ki use itni badi mushkil mein daal diya tune], aaj se 21 saal pehele main iissi tarah tere paas baithi hui thi, jab maine apne bete ansh ko goli mari thi[ then a flashback, when ansh dies in the hospital], kyunki usne meri beti jaisi bahu ka apman kiya tha....aur maine apne bete ko kho diya.... aaj vahi 21 saal baad, eklavya ne meri hone vaali bahu ka apman kiya hai, ab mujh mein itni himmat nahi hai ki apne ansh ke ansh ko kho sakoon... hey thakur jee mujhe rasta dikha, meri madat kar....[ n she joins her hand n closes her eyes], [suddenly a hand touches her feet, n she opens her eyes n see tht it is eklavaya, tulsi gets upset n she tries to get, but eklavya forbids her ..n says] E-plz dadi, baith jaaiye, mujhe aap se baat karni hai, bas ek baar. T- bolo? E- dadi main jaanta hoon ki KT ke saath jo hua, vo sirf ek aurat ke naa sirf sharir balki aatma ko bhi kuchal deti hai, lekin dadi maine KT ke saath aisa kuch bhi nahi kiya hai...mera bharosa kijiye, T- samajh mei nahi aaraha eklavya, main kya karoon.. ek taraf vo hai jise maine pala hai, bada kiya hai... aur ek taraf mere uss bete ka beta hai jo uski parchayi hai... par usse alag..... kya karoon, agar tu meri jagah hota to kya karta eklavya[ eku looks at her with lots of sympathy, n he holds her hands gently n says] E-dadi main aapse ab koi safai nahi doonga agar aapko lagta hai ki main galat hoon, to aap mujhe jo saza dena chahe de dijiye, main nahi rokunga, par mujhe ek baat ka jawaab dijiye ki agar main sahi hua, aur aap galat, tab kya aap apne aap ko maaf kar payengi...???? [ tulsi looks at him, with lots of questions in her eyes. n then eklavya leaves the mandir]