FF: zindagi ka imtehaan (title change)

jiya77 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 15 years ago
#1
Part 1:

arohi dulhan ke jode mein aur saat mein uski ankh se ansoo ghir rahe hote hai
arohi: arjun tum kabhi nahi is rishte ko samajh paoge
tumne mujhse badla lena ka soch liya lekin tumne ek bar bhi nahi
socha ke meri family ka meri behnon ka kiya hogaya
hamare maa aur baba ne hame kuch khabar nahi hone di ki woh kitni mushkilon ka samna kar rahe hai
patta hai kyon? kyon ke woh hame khushiyan de pay jo har baap apni bethi ko dena chahta hai
tumne ek bar bhi mere maa baba behnon ke bade mein nahi socha
main ek aise ladke se shaadi karne jaa rahi thi
jisse rishte ka matlab bhi nahi patta tum bohot hi khatiya insaan ho
tume meri family ka yeh hal karge milla kiya
badla buda ya kissi khareeb ko uski aukaat dikay

arjun: tum bohot bolti ho! yeh sunna chahti ho mujhe yeh sab karge kiya milla
mazza! woh sab kuch jis se tume dard ho, yeh hi samajh lo meine tume tumari aukat dikhaa di
yeh jo lehga tumne pehna hai na yeh tumari maa baba ne nahi tume ghirad kar diya
meri maa ne! tumari maa ke paas is lehge ke kiya is lehge pe jo ek moti hai
woh uske bhi paise na de paa thi aur yeh jo necklace tumne pehna hai
woh mere dad ne diya yeh jo chudiye tumne phni hai baas yehi tumare maa baba ne di hai
yeh khanch ki chudiya bazzar mein 10rupees mein millti hai
tum chotte log hamare phair ki dool hote ho

arohi: tumari soch itni gandhi hosakti hai yeh kabhi meine nahi socha tha
jahan tag is lehge ki necklace ki aur jo bhi tumare maa baba ne diya hai na
woh tumare moo par penk thi houn (arohi use necklace uthar kar deti hai aur
kuch sone ki chudiya bonde)

arjun: aur yeh lehga ??

arohi kamre mein jaati hai
aur bahir jab wapiss ati hai usne salwar kameez pehni hoti hai
aur uske haath mein lehga hota hai woh uske moo par phenk thi hai
arohi: loo! dekhna aaj jis cheez pe tum ghamand kar rahe hona ek
din woh hi cheez tume bohot badi bade gi (arohi ke haath mein ek ring bhi hoti hai
woh usse bhi uthar ne ki koshish karti hai woh uther thi hi nahi)
savita: yeh to rakh lo!
arohi: mujhe koi shok nahi hai yeh phans gey hai !
arjun: rakh lo, tum bhi kiya socho gi ek amir ladke ne peh nay thi

arohi bohot khusse mein hoti hai aur ro rahi hoti hai woh jaa hi rahi hoti hai
apne behnon ke saat aur apne maa baaba ke saat
biche se arjun bolta hai
arjun: zara suno!(woh wahan ki nokrani se baat kar raha hota hai)
nokrani: ji sab!
arjun: yeh lehga necklace chudiye sab aap rakh li jiye
nokrani: sab hamari to aukat nahi hai yeh sab rakhne ke liye
arjun: yeh sab arjun punj ki taraf se aapke liye
kya kehte hai baait(gift) aaapke kaam ajayga
nokrani: shukriyaa sab meri ek bethi hai yeh sab woh apni shaadi mein pehni gi

sur: dekho usne woh sab kuch us nokrani ko dediyaa
arohi: rehne de hame in amir logon se koi vaasta nahi rakhne
hp: sur antara tum dono jao apni maa ke saat
arohi: baba main ??
hp: hamare ghar mein chodon ke liye koi jagge nahi hai
arohi: baba aap bhi ? meine koi chodi nahi ki
hp: apni ankhon se meine dekha hai
arohi: baba woh saab jhoot tha
hp: aajse main tumse rishta todh tha houn meri sirf teen bethiye hai
sur purvi antara!
shardda(arohi ki mom): dekhiye woh bethi hai ghar se bahir kahan jaygi
hp: isne hame kahin moo dhikane ke layak nahi choda
shardda: baas ki jiye! agey use dekhiye kitni budi halat hogey hai

arohi apne maa baaba aur behnon ke saat ghar par pohonch thi hai
unki sari cheezein bahir badi hoti hai ek admi bolta hai
admi: is gao mein choron ke liye jagah nahi hai
antara: hum chod nahi hai, meri di ne koi chodi nahi ki!
admi: hum sab ne tum sabko itna sharif samjha aur tum sab to chor nikle
hp: dekhiye meri bethiyon ne koi chori nahi ki yeh to is ne ki
aurat: yeh bhi to aapki hi bethi hai na jaise maa baba hote hai waise hi
bachche hote hai, chor kahinge! in sabko gao se nikal diya jay nahi to hamare bhi saverat chori na karle
all: han han tum sabko is gao se jaana parega

sab hari prasad ji ki family ko dakka mar ke us gao se nikal dete hai
hp: aajse hamare raste alag hote hai arohi
arohi: ney baba main kahan jaogi, ney baba !!
hp: aaj teri wajah se in gao walon ne itni batmizi se baat ki
jahan meri izzat huwa karti thi aaj teri wajah se mujhe wahan bezzat karge nikal diya
arohi: meine kuch nahi kiya
shardda: aap hum kahan jayge ?
hp: meri behen ke ghar chalte hai
shardda: han chaliye woh hi har bar hamare mushkil waqat mein kaam ate hai
hp: age chal kar taxi dekhte hai
arohi: maa aaap ne mujhe apne seene se lagha kar rakha aaj alag kar dege
arohi ne apne maa ka hath pakra hota hai uski maa ek dam apne hath chur wa deti hai

arohi: maa aap bhi??
shardda: aaj teri wajah se humari itni besti huwi aab teri maa ke paas aur kuch nahi bachcha
jo tu de pay!
taxi ati hai sab beth kar chale jaate hai arohi ko akela chor kar
arohi sarak par beth kar rone laghti hai
arohi: meri kiya kalti thi! baba ne maa ne mera saat chod diya
kabhi meine itna akela nahi khud ko samajha mera koi aapna nahi raha
jis jiss ko apna samjhaa woh paraya nikalna aur jo the hi apne unon ne parayon se bhi bura salook kiya
kyon mere saat hi aisa huwa, kyon??? meine to sirf ek khareeb ko bachchayaa


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

is mushkil waqat mein kaun arohi ka saat dega
uske maa baba uski behnon ne bhi uska saat chod diya !
to phir kaun saat dega ???

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

i hope u like it
agar pasand ayye to please
like button press ki jiye !
aur ache se comment dijiye !

Edited by jiya77 - 15 years ago

Created

Last reply

Replies

28

Views

8.5k

Users

7

Likes

67

Frequent Posters

Anjali96 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 6
Posted: 15 years ago
#2
omg it's amazing
soo much supense
keep going jiya
missinguonly thumbnail
17th Anniversary Thumbnail Rocker Thumbnail + 2
Posted: 15 years ago
#3
lovely yaar
but shaadi k baad bhi arjuhi seperate it sounds like a little like kyph!!

jiya77 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 15 years ago
#4
yeah but main yeh nahi chahti thi ke
shaadi ke baad kuch aisa ho
shaadi ke baad life happy ho to acha hai!!
kher adhi shaadi to ho hi gey hai
dulha dulhan ban na sabka samne !!
dekhte jao age age kiya hota hai !!

Edited by jiya77 - 15 years ago
jiya77 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 15 years ago
#5
next part(2):

hari prasad aur uski sari family uski behen ke ghar pohonch ti hai
hp apni behen ko sab batata hai aur woh kehti hai "bohot buda huwa"
aur woh hp ko samajhane ki koshish karti hai ke arohi ko wapiss ghar le ay
lekin unke kehne par bhi hp ne naa kardi

~~~~~~~~~~~~~

arjun apne room mein betha hota hai
savita: meine tume yeh sikhaya tha
arjun: what mom ??
saviita: us ladki ne kiya kiya tha ki tune use bezaat karge nikal diya?
arjun: momaab sabne dekha hi ke arohi ne chodi ki
savita: mujhe patta hai arohi ne koi chodi nahi ki
jo aapne paise apni maa se pochon bekher nahi laagha sakti woh itni
badi chodi nahi aisa nahi hosakta
arjun: to uski maa ne hi to use bola na chodi ke liiye
savita: baas kar! tumjse jhoot bhi nahi bola jaata
arjun: please mom! mere sir mein dard hai
savita: tu yeh soch ki tu araam se idher betha hai
woh bechari kis hal mein hogi abhi abhi tv par dikhaya hai ke
une ghar se nikal diya gaya hai arjun punj ke kehne par
arjun: han yeh such hai aur yeh arohi ki apni khalti se huwa hai
savita: tu yeh batta arohi ne kiya khalti ki ?
arjun: mom aap itni boli bhi na banni aapne apni ankhon se dekha hai arohi ko chodi karte huwe
savita: har bar mein tujhpe yakeen kiya lekin aaj mujhe tujhpe yakeen nahi araha

biche se dk punj ata hai aur kehta hai
dk: savita arjun bohot takka huwa lagh raha hai use sone do
usne kuch khalat nahi kiya balke usne is ghar ko bachchay hai
agar iski shaadi us ladki se hojati to is ghar mein bahu ke roop mein
chor ati, phir baad mein hum sabko pashtana parta yeh sehi huwa
ki arjun ne usse bezzat kar ge nikala phirse uski himat nahi hogi aisa kaam karne gi

~~~~~~~~~~~~

hp ki behen ka ghar !!
darvase par bell bajhti hai antara darvasa kolti hai
bua: are antara kaun hai??
antara: bua woh!! purvi di!
bua: purvi betha aa
purvi ke haath mein bag hota hai aur ro rahi hoti hai
antara: purvi di kiya huwa??
bua: tu roo kyon rahi hai?
purvi: mujhe ghar se nikal diya
bua: woh kiyon? salil ne kuch nahi kaha ??
purvi: arohi ki wajah se aur salil ghar pe nahi the
shardda: to kahan hai??
purvi: woh sheher se kuch dinon ke liye bahir gey hai??
hp: tu fikkar mat kar abhi main salil ko phone karta houn
purvi: koi faida nahi mummy ji ne phone kia aur salil ne yeh boldiya ki
han hamare ghar mein chod ke liye jaggah nahi hai
hp: nahi salil bethe ko koi khalat famii hogi
woh aise nahi bol sakte
purvi: pehle mujhe bhi yakeen nahi aya lekin meine khud suna
bua: chal yeh batein baad mein hoti rahe gi tu jaggar araam kar

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Edited by jiya77 - 15 years ago
jiya77 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 15 years ago
#6
thankxx! chalo tum sabko pasand to ayaa,

jiya77 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 15 years ago
#7
part 3:

subhe hoti hai
bua ke ghar pe sab nashta kar rahe hote hai
shardda: aapto yeh kalle se uthar tha bhi nahi
antara: is me to sugar hi nahi hai
bua: khatam hogey, kal lee aoungi
sur: nahi to! bua bohot acha banna hai sugar jitna hai utna thik hai
antara: h.. han bua thik hai
hp: di, maain maafi mangh ta houn aapko hamari wajah se takleef horahi hai
bua: are hp takleef kiski aapnon ke kaam ana takleef hoti hai kiya?
hp: yeh to aapka bada pan hai ki aapne hame
bua: chal baas kar teri badi behen houn
hp: kaam to bhai ko behen ke ana chahiye lekin
bua: chal chup!! khaa

purvi bahir ati hai
shardda: aa purvi betha nashta karle
purvi: dil nahi kar raha
hp: bethi nashta karlo tabiyaat kharaab hojaygi
purvi: baba aagar main aapse kuch mangoun to doge
hp: kuch hai to nahi paas dene ke liye lekin kher bol agar main desaka to zaroor
purvi: aap de sakte hai
hp: zaroor dounga, bol bthi
purvi: aap arohi ko ghar le ao
hp: baas, meine bola tha is ghar mein koi arohi ka naam nahi lega
purvi: aapne kaha tha agar aap de sage to zaroor dege to phir
hp: purvi tumari zubaan bohot chalne laghi hai
purvi: arohi ko leyaiye !!
hp: thik agar tum sabko yeh laghta hai to phir thik hai

hp arohi ko lene chala jaata hai
antara apne college jaati hai
sur office jaati hai

antara college
antara ke paas ek ladki ati hai aur bolti hai
ladki: pricipal tume bula rahe hai
antara: kyon??
ladki: batay to nahi lekin har bar kitarah koi shabashi deni hogi!
antara: thik hai main khud dekh leti houn
antara andher jaati hai principal kehti hai
pricipal: antara tum is school ki sabse achi student thi
antara: thi! apka matlab kiya hai?
principal: tume is college se nikal diya jaata hai
antara: but why mam?? main to apki favourite student mein se ek houn
principal: thi! hum ek student ki wajah se baki students ki zindagi barbad nahi karna chahte
agar hum tume is college mein rakh lete hai to hamara college band hosakta hai
antara: kyon?
principal: arjun punj ek amir hasti hai hum unke khilaf jagar tume is college mein nahi rakhsakte
antara: college se is liya nikala jaata hai agar koi galti ki ho meine to ??
principal: kuch students ne bhi tum pe chodi ka insaam lagaya hai
anatara: mam yeh jhoot hai
principal: jaanti houn lekin ham tumare liye arjun punj ke khilaf nahi jaa sakte
hume bohot khatra hai, now you can go!
antara: principal mam ney yeh such nahi hai

sur office
sur apne boss ko file dene jaati hai
boss: sur! tum kab aye main tumara hi wait kar raha tha
sur: sir koi zaroori kaam tha
boss: tume kaam se nikaala jaraha hai
sur: sir aapki mazzak karne ki adat nahi jaygi
boss: you are fire! main apni office mein kissi chod ko nahi rakhna chahta
sur: sir chod, main koi chod nahi houn
boss: jaanta houn tum chod nahi bohot badi chod ho
aaj to sunne mein yeh aya hai ek behen ne kal ko sunne mein ye ayga ki
dosri behen ne chodi ki
sur: baas sir bohot bol liya soche samajhe aapne itni kalat baat bolti
mujhe bhi koi shok nahi hai is office mein kaam karne ga
itne sari office hai kahin pe mujhe nokri mil jaygi
is duniye mein sirf aap ka hi office nahi hai! aaj tag meine samajha tha ki
aap bohot ache boss hai, waise bhi aapko yeh karge milleinga kiya?
boss: paise arjun punj ne mujhe iske itne paise diye hai jo main itne salon se nahi kar
saka woh main ek din mein arjun punj ki wajah se karlunga
sur: gud sir!! congratulation!!

hp arohi ko ghar le ataa hai
arohi se koi baat nahi kar raha hota
arohi: maa baba aap sabne khaa liya
bua: han in sabne khaa liye tu khaa
arohi: aap sab mujhse aab bhu naraz ho
hp: harkat hi aisi ki hai
purvi aaati hai aur arohi ko kamre mein lee jati hai
arohi: purvi di dekha maa bbaaba koi bhi mujhse baat nahi kar raha
purvi: salil ne muujhe kar se nikal diya
arohi: sab meri wajah se huwa hai mujhe maaf kardi jiye di
purvi: isme tumari koi khalti nahi yeh to hamari kismat hai
arohi: sab kuch buda horaha hai kuch bhi acha nahi hai
purvi: sab thik hojayga
arohi: aab isi humeed pe to jee rahe hai
purvi: akhir baat kiya huwa jo itna kuch hogaya?
arohi: di aapko mujhpe yaaken hai na meine koi chodi nahi ki
purvi: hai lekin yeh sab hone ka baad kahin na kahin mujhe
arohi: ney di meine koi chori nahi ki
purvi: ek pal ke liye mujhe aisa lagha jaise meri behen waki mein ek
arohi: chod hai!! ney! aise nahi hai, yeh to us arjun punj ki chal hi!
purvi: tumne chodi ki hai kiya?
arohi: di, yeh baat sari duniya ko arjun khud batayga ki meine chodi ki hai ke nahi
purvi: lekin woh kaise?
arohi: dekh lena! arjun punj ko main majbur kar doungi bolne ke liye

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
i hope u like it
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Edited by jiya77 - 15 years ago
Soulmate_Sana thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 3
Posted: 15 years ago
#8
awesome and fantastic part dear
Anjali96 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Sparkler Thumbnail + 6
Posted: 15 years ago
#9
very nyc jiya
update soon =)
jiya77 thumbnail
16th Anniversary Thumbnail Explorer Thumbnail
Posted: 15 years ago
#10
part4:

arohi ro rahi hoti hai
akeli beth kar kamre mein
purvi ati hai aur kehti hai
arohi: di meri wajah se sur aur antara ka futur barbad ho raha hai
purvi: arjun punj itni gandhi harkat kar sakta hai yeh nahi meine socha tha
arohi: pehle usne hame beghar kiya aur aab futur !
purvi: hamare saat jo kiya usne kiya lekin use sur aur antara ke saat kar ke kiya milla
arohi: purvi di aap us ladke ko jaanti nahi ho, usne abhi tag sirf yeh kiya hai
aur aabhi apni ek ek ghanda kaam dikayga
purvi: abhi tag sirf, yeh sirf hai usne teri behnon ko barbad kar diya tere maa baba ko
aur tu yeh keh rahi hai yeh sirf hai
arohi: main jahan tag jaanti houn woh badle ki aag mein sab jala dale ga khud ko bhi!!
purvi: sab kuch thik hojay !! mujhe bohot dar lagh raha hai
arohi: mujhe bhi !! aaj tag baba ko itne khusse mein kabhi nahi dekha
purvi: ney kuch buda nahi hoga sab thik hojayga !!
arohi: sab meri wajah se huwa hai sab meri wajah se !!
purvi: ney isme tumari koi khalti nahi hai, meri wjaah se tumne shaadi ke liye han boli
aur phir yeh sab usse karne ka mokka mil gayyya

sur aur antara ati hai kamre mein
antara: di mazza agaya!! yeh sab karke!!
sur: main soch rahi thi jo huwa aapke saat kalat huwa
antara: lekin ney jo huwa seyi huwa
sur: di i hate you! jitna main aapse pyar karti thi aap usse zyada nafrat !!
antara: han di! main bhi aapse nafrat karti houn!
sur: mujhe itni shaaram aa rahi thi jab boss ne mujhse aise baat ki
kisski wajah se tumari wajah se
antara: aur sabne college mein mera mazzak bana kar mujhe wahan se dakke mar ke nikala
kisski wajah se jaante ho?? aapni hi behen ki wajah se
sur: jis office mein meri tarife khatam nahi hoti thi aaj uther meeri buraye ho rahi thi
antara: jis college mein meri wah wah hoti thi aaj bezzti !!
arohi: dekho tum dono mujhe khalt samajh rahe ho
antara: aaj tag khalat hum kkhud the, sehi aur khalt ki pehchaan ney kar pay
sur: aaj pehli baar itna buda feel hora hai kyon ki yeh apni hi behen ki wajah se huwa hai
antara: kyon aapne aisa kiya ek baar bhi apni behnon ke bare mein nahi socha???
arohi: socha meine isiliye yeh sab kiya, tum behne hi mujhse moo per logi to phir main jeeoungi kaise
sur: yeh karne se pehle sochna chahiye tha apko!!

sur antra dono chali jaati hai,
arohi dil hi dil mein thoot jaati hai,
arohi: kyon mere saat hi aisa hota hai! meri behne pehli bar mujhsse aise baat kare gey hai
jaise koi dushmaan houn main unki, meri wajah se sur aur purvi ko office aur college se nikal diya gaya
tum tumare sasuraal se aur maa baba ko ghar se
purvi: patta nahi mujhe aab bhi yaakeen nahi a raha ki salil ne (rone laghti hai)
arohi: ney di rona nahi agar hum himat harge to kuch thik nahi hoga
aaj hamara waqat buda hai nahi to us arjun punj ko main uski aukat bata deti
hame hamari aukat bata raha tha lekin use yeh nahi patta us ki aukat kiya hai
purvi: apne is khusse ko sambal ke rakh kahin phirse kuch buda na hojay
arohi: isse bhi kuch buda ho sakta hai kiya?
purvi: han, uss arjun punj ko uski aukat dikhani lekin kusse se nahi shanti se!!
arohi: di main sab samajh gey houn! hamare in hansoo ki wajah jo hai usko ek na ek din main
main khushi mein badal dalon gi

~~~~~~~~~~~~~~

arjun house
arjun: hi dad, i'm ready! chale office
dk: bethe tu jaa mujhe ek zaruri kaam hai main ajaouga
arjun: ok dad lekin jaldi ana meeting hai aaj
dk: han jaanta houn aur yeh meeting bohot important hai tumare liye
arjun: yeah dad main ek bada sa school kholna chahta houn jahan bachcha ko phara na chahta houn
phir dekhna mere paas itni dolat hogi
savita: tu har kadam pe kamiyaab ho lekin yeh yaad rakh kamiyaab agar hona hai to
kissi ka dil todh ke nahi kyon ki dosron ka dil todh ne se apna dil bhi ek din thut jaata hai
arjun: han mom jaanta houn
savita: agar jaante ho phir tumne kisse khareeb ko beghar kyon kiya
arjun: kyon ki mujhe un logon se nafrat hai jo chodiye karte hai aur khareeb hone ka dong
kher use meine phir bata diya ki woh kaareeb hai aur khareeb hi rahe gi jahe jitni chodiye karle
isme sirf use bezti hi milleigi
arjun: dua karna ki mera contract select hojaye!! phir paise hi paise!!
dk: mere bethe ke paas paison ki kami hai kiya ??
arjun: ney dad lekin main tina kamana chahta houn logo ko yeh dikha dena chahta houn main dk punj ka betha houn
savita: tu yeh batta agar koi aise bachcha ho jiske mom dad ke paas kuch na ho dene ke liye
kiya tu usse school pharne degaa??
arjun: mom!! ofcorse not meine koi bachchon ka free mein tekka ney le rakha
unke paas agar kuch dene ke liye nahi hai to apne bachchon ko ghar bethal kar rakhe
savita: ney bethe aise ney bolte paisa hi sab kuch nahi hota
dk: savita !! aajke zamane mein paisa zaruri hai paise ke bekher kuch nahi hosakta !
arjun: ok mujhe dher ho rahi hai chalta houn

arjun bahir jaata hai
dk: main dosri car mein chala jaata houn kyon ki mujhe zaruri kaam hai
tu is car mein chala jaa
arjun: ok dad lekin jaldi aa jana
dk: tu fikkar na kar chal main jaata houn mujhe dher ho rahi hai!
dk punj chala jaata hai arjun driver ka wait kar raha hota hai bahir nokar ata hai
arjun: suno driver kahan hai?
nokar: woh to subhe se nahi ayaa
arjun: thik hai tum car ki key mujhe dedo main khud chala jaounga
nokar: ji sab yeh li jiye
arjun ghar chala raha hota hai adhe raste pe hota hai
uske car achanak band hojati hai start karta hai lekin start nahi horahi hoti
arjun: is car ko bhi abhi hi kharab hona tha!

~~~~~~~~~~~~~~~~~
kiya arjun ka bhi buda waqat shuru hone wala hai??
yeh janne ke liye pharte rahi hai !!
~~~~~~~~~~~~~~~~~
i hope u like it!!
luv u guys aise hi
lovely comments dete rahi hai
taki main jaldi se next part bejh sakhon!!
aur agar pasad aya to like button press kijiye !!




Edited by jiya77 - 15 years ago

Related Topics

Top

Stay Connected with IndiaForums!

Be the first to know about the latest news, updates, and exclusive content.

Add to Home Screen!

Install this web app on your iPhone for the best experience. It's easy, just tap and then "Add to Home Screen".