Veera opened the door and welcomed Nihal by hugging him tightly. Te smile on her face became more wide and she slightly lead him the way to the drawing room where Prem, Heer and Geet were sitting on the couch lost in their own thoughts.
When Veera and Nihal entered the room, Prem stood up from his place and greeted him by shaking hands and then hugging like best friends.
Heer was just staring at them because whatever happening around her was more like a dream to her.
Nihal moved towards Heer and she also stood up from her place and hugged Nihal.Few tears rolled down on her cheek. She quickly wiped them off and all of them again sat on the couch and chairs.
Geet now somewhat got the idea of what is going on around her but she was still very much confused.
Veera: Sorry abhi tak maine apka naam bhi nahin pucha aap kaun hai?
she asked from Geet but Prem answered her before Geet can answer her.
Prem: Ye Heer ki best friend hai geet.
Veera: oh!...
She was going to inquire more about Geet when Nihal interrupted
Nihal: Veera ye itne saalon baad yahan aaye hain inhe kuch khilaogi nahin.
Veera: are haan! main bhi kitni pagal hoon abhi tak paani bhi nahin diya main abhi lekar ati hoon.
And she went in the kitchen which was quite far from the drawing room.
Heer: kya koi mujhe batayega ki yahan kya ho raha hai ? meri kuch samajh nahin a raha.
She asked looking at Prem.
Nihal: main tumhe batata hoon ki ye sab kya hai aur kyun hai Heer.
He answered Heer sensing the situation might be difficult for Prem to handle alone.
Nihal: Heer tum mere saath upar room mein chalo main nahin chahta ki Veera galti se bhi kuch sune.
Nihal went in the kitchen and informed Veera that Heer wants to revive her childhood memories so he is taking her to her childhood room and Nihal lead Heer the way to the room which she silently followed.
Both of them enterd in the rooma nd Nihal took out a photograoh album and placed it in front of Heer and sat next to her.
Nihal: Ab jo mein tumhe batane ja raha hoon use dhyan se suno Heer.
***********************************************************************************************************************
Prem and Geet were alone in the drawing room and Prem thought that its the best time to inquire Geet why they came here.
Prem: tum dono mujhe bataye bina tahan kyun aaye geet?
Geet: wo... Prem..
She was finding it difficult to answer him.
Prem: oh! If I am not wrong ye idea zaroor tumhara hoga right?
He asked her sarcastically.
Geet: haan mera hi tha.
Prem: par kyun?
Geet: kyun nahin Prem? Heer ke liye sach janna bahut zaroori hai main nahin janti Prem ki sach kya hai par mera dil ye kehta hai ki Heer tumhe jaisa samajh rahi hai tum waise nahin ho. wo pyar karti hai tumse Prem aur tum bhi usse bahut pyar karte ho.
Prem: kyun kar rahi ho tum itna kuch mere liye? tum janti ho ki Heer meri patni hai aur main usse bahut pyar karta hoon.
Geet: kyunki tum dono mere best friends ho aur Heer ko maine hamesha apni behen samjha hai. aur mein use itni badi bevkoofi nahin karne de sakti.uske liye tumse better koi ho hi nahin sakta Prem.
aur tum dono ko ek karne ke liye mujhse jitna hoga mein karungi.that's my promise to u.
*********************************************************************************************************************
Nihal: tumhe yaad hai Heer jis raat Veera ke saath ye hadsa hua tha us raat Ambulance mein Veera ke saath Preet aur Prem gaye the.Sabko yahi pata tha ki Veera mar gayi par aisa nahin tha. Veera zinda thi uski saansein chal rahi thi par khud doctors bhi ye nahin jante the ki wo bachegi ya nahin uske zinda rehne ke chances sirf 10% the.
Nihal: doctors ne ye baat Prem ko batayi aur saath mein gharwalon ko batane se mana kiya kyunki wo khud sure nahin the ki Veera bach jayegi. Prem ne bhi ye baat kisi ko nahin batayi tumhe bhi nahin. Us waqt jo kuch bhi hua Heer woh sabse zyada Prem ke liye mushkil tha. Mere jail jane ki wajah se tumhare aur Prem ke beech mein dooriyan badh gayi thi. aur uske baad ek din..
Heer: kya bhaiya? please jaldi bataiye...
she pleaded him.
Nihal: tumhe wo din yaad hai Heer jab tum mujhse jail mein milne aayi thi jab Veera ki maut ko 1 mahina pura hua tha aur maine tumse uski photo pe rose chadhane ke liye kaha tha.
Heer: haan. kaise bhool sakti hoon main us din ko.
she said remembering the day which changed her life.
Nihal: tumhare jane ke baad Prem wahan aaya tha.Usne meri bail karwayi aur mujhe hospital le gaya Veera se milwane. Meri kuch samajh nahin a raha tha ki kya ho raha hai par usne mujhe car mein sab bataya. Jab mein Veera se mila to uski halat bahut kharab thi uski puri body band aid se covered thi aur wo I.C.U. mein admit thi. Use thodi der pehle hosh aaya tha aur usne mera naam liya isliye Prem mujhe wahan lekar gaya.
Nihal: Veera ne use bataya ki maine use maarne ki koshish nahin ki aur phir behosh ho gayi par doctors ne kaha ki uske zinda rehne ke chances badh chuke hain. Prem hospital se nikal kar sabse pehle tumhe ye batana chahta tha par isse pehle ki wo tumhe kuch batata uske paas us hotel se call ayi jahan tum Rajveer ke saath gayi thi aur uske age...
Heer: main us baare mein koi baat nahin karna chahti bhaiya.
she was in tears and don't want hurt herself more.
Nihal: par Heer..
Heer: plz bhaiya apko meri kasam.
Nihal: theek hai. par Heer Veera ko jo kuch bhi hua uske bare mein kuch nahin pata. Prem ne gharwalon ko kuch kyun nahin bataya ye tum usise puch lena kyunki is baat ka jawab shayd wahi tumhe de payega. Par ek baat ka khayal rakhna ki Veera ko kuch bhi pata nahin chalna chahiye. Wo kuch bhi nahin janti aur agar use pata chal gaya to woh bardaasht nahin kar payegi.
________________________________________________________________
I know that this maybe quite boring but it was necessary eagerly waiting for ur comments guys! (fingers crossed)