Dushman na kare dost ne woh kaam kiya hai
Umar bhar ka gam humen inaam diya hai
Dushman na kare dost ne woh kaam kiya hai
Umar bhar ka gam humen inaam diya hai
Toofan mein humko chhod ke sahil pe aa gaye:
Toofan mein humko chhod ke sahil pe aa gaye, sahil pe aa gaye
Na-khuda ka, na-khuda ka humne jinhen naam diya hai
Umar bhar ka gam humen inaam diya hai
Dushman na kare, o....
Pehle to hosh cheen liye julmon sitam se
Pehle to hosh cheen liye julmon sitam se, julmon sitam se
Deewangi ka, deewangi ka phir humen ilzaam diya hai
Umar bhar ka gam humen inaam diya hai
Dushman na kare, o....
Apne hi girate hain nasheman pe bijliyan
Apne hi girate hain nasheman pe bijliyan, nasheman pe bijliyan
Gairon ne aake, gairon ne aake phir bhi use thaam liya hai
Umar bhar ka gam humen inaam diya hai
Dushman na kare, o....
Bankar rakeeb baithe hain woh jo habeeb they
Aa aa aa..
Bankar rakeeb baithe hain woh jo habeeb they, woh jo habeeb they
Yaaron ne khoob, yaaron ne khoob farz ko anzaam diya hai
Umar bhar ka gam humen inaam diya hai
Dushman na kare dost ne woh kaam kiya hai
Umar bhar ka gam humen inaam diya hai